Quran Father Of Sciences Part 3

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0

Assalam o alaikum dosto :)

dosto jaisa k aap jante hain k aaj k daur e jadeed me science ka kahna hai k zameen.aahista aahista choti(small) hoti jarahi hai.famouse astronomer sir james jeans (1877-1946) ka qayal hai k starting me ek bahot bada sitara suraj k qareeb se guzra iski quwwat e kashish se suraj ka ek tukda cut kar dur hawa me ghoomne laga aur yahi zameen kahlaya.shru me zameen ka darja e hararat wahi tha jo aaj suraj ka hai.laikin rafta rafta zameen thandi hoti gayi.aur abtak bhi ye amal jaari hai.

jab ye garam(heat) thi to iska area ziada tha.laikin jaisa jaisa ye thandi hoti gayi waise waise iske area me furq aata gaya.aur ye amal abhi bhi jaari hai.aur is baat par saare scientist ka ettefaaq hai.laikin ye kitni hairat ki baat hai k aajse 1400 yrs pahle logon k zahnon me ye baat aana namumkin si baat hai.laikin quran e majeed me Allah taala irshaad farma raha hai.

أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا نَأْتِي الْأَرْضَ نَنقُصُهَا مِنْ أَطْرَافِهَا ۚ وَاللَّـهُ يَحْكُمُ لَا مُعَقِّبَ لِحُكْمِهِ ۚ وَهُوَ سَرِيعُ الْحِسَابِ ﴿٤١
kia wo nahi dekhte k hum zameen ko uske kinaron se ghatate chale aarahe hain.Allah hukum karta hai koi iske ahkaam peeche daalne wala nahi wo juld hisab lene wala hai.(al-raad.41)

sawal ye paida hota hai k ye jo maloomat ab science ko hui hai.quran e majeed me kis tarha bayan hue? wo kaun hai jo hazrat mohammed(pbuh) ko ye baatein batadi.jab k us waqt nahi aisi machines/tools thei aur nahi aisi logon me samajh thi k aisi baatein kare ya likhe.balke ye kalaam us Allah ki taraf se nazil kia hua hai jo dunya k bhedon se bakhubi waqif hai.Allah taala irshaad farmata hai.


قُلْ أَنزَلَهُ الَّذِي يَعْلَمُ السِّرَّ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ إِنَّهُ كَانَ غَفُورًا رَّحِيمًا
aap kahdijiye k isse to Allah ne utara hai.jo aasman o zameen ki tamam poshida baton ko jaanta hai.beshak wo bada hi bakhashne wala meherbaan hai.(al-furqan.06)


isse is baat ka saboot milta hai k ye kalaam Allah ki taraf se hum logon ki hidayat keliye wahi k zarye nabi(pbuh) par utara gaya hai.Allah hame quran ko samajhkar parhne ki taufeeq ata farma aameen.
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
JazakAllah..! Beshak Quran-e-Pak main Allah talah nay apni khuli nishanyan rakhi hain aur Humray Nabi Hazrat Muhammad salah u alaihi walalhi wa salam nay In Nishanon ko logo ki samjh k liye biyan Fermaya. Mager afsos k Hum phir bhi Is haqeeqat se aankhain band ker k beithy hain aur nOn-Muslims Faida utha rahay hain. Allah humain bhi Quran samjhny aur amal ki Tofeeq ata fermaye Aamin.

Thx 4 sharin
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
beshak...
Quran haq aur sach pe mabni Kitab hai
isi tarha esi umdah malumat share karte rahen
jazakAllah
 

Habeel

Active Member
Nov 28, 2010
272
132
943
ameen ameen suma ameen

walikum asslam Arshad bhai beshak quraan Allah ki bohat se neshanion main say aik nishani hai jo haq ko khol kar byan karte hai jis khabar ki taraf ap nay ishara kiya ya khabar bhe haq k mutlashion k wastay meshalay rah ho sakte hai

han afsos tu ham muslaimen ko hona chahiay jo is hadait ko pasay phusht dalay hoay han ur is ki bajay hadait k leay kise ur taraf dekhtay han jis ki waja say ham deen say bohat door ho chukay han hamray dil utne dair tak apne asal(islam) ki taraf janay ko tayyar nahi ho saktay jabtak ham is mujzay (quraan ) say hadait na lena shuro kardian ur ya tab hi mumkin ho ga jab ham Allah swt ko hi deen saz smajna shuron karin gay,,aj bohat say logon nay qurran ko chor kar bohat se books bana le han jin ko wo apnay mannay walon par lazim kartay han k in ko zaror paro ur dosron ko bhe is ka daras do kassh ya log Allah s w t k rang main ragtay na k kise ur k

ya Allah hamin us hadait say nawaz jo tere taraf say hai ameen


bohat shukria Arshad bhai Allah ap k ilam main izafa farmay ur ap k nek kam main barkat ata farmay amen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
subhan Allah bohot hi mufeed sharing janab
jazakallah khair

quran ki har aayat hamare liye daleel hai aur islam ko na manne walon ke liye hujjat hai
har aayat duniya ke liye challenge

agar ham isse naseehat aur sahi raah hasil karna chahte hain to hame milegi nahi to phr aur gumrahi me parh jayenge

Allah hame Quran aur hadees ko sahi maino me samajhne us par amal karne ki taufeeq aata faramaye Aameen
 
Top