Quran Father Of Sciences Part 4

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم 0


40 Days Ago In Fetus Development



Assalam o alaikum dosto
:)

Dr, joel simpson houston(america) k baylor college of medicine
me shoba hamal o zajgi aur amraaz e niswaani(ob-gyn) k chairman aur molecular and human developments k professor hain.isse pahle wo mems university of tennessee me "adab gaayin" k professor aur chairman rahe.1992 me inhe kayi award bhi mile.professor simpson ne nabi(pbuh) ki darj zail 2 aahadees ka mutaala(reading) kia.


إن أحدكم يجمع خلقه في بطن أمه أربعين يوما
tum me se har ek ki taqleeq k tamam ajzaa iski maa k peth me 40 din tak(nutfe ki surat me) jama rahte hain.(sahih bukhari 3208)


aur isi tarha dosri hadees


إذا مر بالنطفة ثنتان وأربعون ليلة بعث الله إليها ملكا فصورها

jab nutfa qarar paaye 42 raatein guzar jaati hain to Allah ek farishte ko iske paas bhejta hai.jo(Allah ki marzi se) iski shakl o surat banata hai.aur iske kaan aur iski aankhen aur iski jild(skin) aur iska ghosht aur iski haddiyan banata hai.(Sahih Muslim-2645)

jab
professor simpson ne in dono aahadees ka mutaala kia to is natije par pahunche k embryo k pahle 40 din iski shakl o surat aur iski jismani kaifiat ko banaya jaata hai.aur wo in 2 aahadees se itna mutaasir huye k inho ne ek press conference k dauran apne darj zail taassuraat pesh kiye.

"
dono aahadees jo parhne me aayi hain.wo hame pahle 40 dinon me beshtur genetics k irteqaa ka time table farahum karti hain.main samajhta hon aaj subha dosre muqarareen ne bhi baar baar is nukte ko dohraya hai.ye aahadees jab kahi gayin jab science ka naam o nishaan tak na tha.mere qayal me isse ye natija nikalta hai k na sirf genetics aur mazhab k darmiyan koi tasadum nahi balke haqeeqat me ye kalaam hamari science me rahnumayi karta hai.aur ye quran me aise bayanaat moujood hain jo sadiyon baad durust hoye.isliye ye insan ka kalaam nahi balke Allah ki taraf se bheja gaya kalaam hai."

subhanAllah ek christian professor ne in 2 aahadees ko read karke ye kahta hai k ye kalaam e ilaahi hai.aur hamare paas to saara quran para hua hai.fir bhi hum is maamle me itne peeche hai.



 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
subhan Allah islam ke har ek lafz me hikmat aur dalail bhi hain

jazakallah khair janab
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
jazaakAllah Khair for such a nice and informative sharing.....

iss maen kuch shuk naheen keh Huzoor Salallah-o-Alaeh-e-wasallam ne 1400 saal qabl jo kahaa thaa wohi 100% such or haq hai.... uss maen zaraa se bhee right ya left ki gunjayish naheen hai, beshuk ke aaj science iss ko various ways se proof kar rahi hai, laikin eik mussalman hone ke naate hamara yaqeen wohi hai jo Huzoor Salallah-o-Alaeh-e-wasallam ne farmaya, coz musalmaan ka yaqeen khabar pe hai, nazar pe naheen....
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Allahi baarik fee
shukriya aap tama doston ka k aapne apna waqt nikal kar isko parha.
Allah hame quran o sahih aahadees ka ilm ata farma aur us par amal ki taufeeq ata farma.aameen
 

Habeel

Active Member
Nov 28, 2010
272
132
943
SUBHAN ALLAH

waqi quraan ur hadees hamray pas majod hai par ham phir bhe andhay han waja saf hai k ham nay kabhe quraan ko sahi tor par samjnay ki koshish hi nahi ki ur na hi hadeesay mubarka say rehnumai hasil karnay ki khoshish ki Allah ham par rehma farmay ur hamin quraan o hadees say pore tarha fida hasil karnay ki tufeeq ata farmay ameen


bohat shukria Arshad bhai & jazak Allah
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Jazakallah Khair Qasim bhai , No dout Quran-e-Majeed Furkan Hameed Daemi Kitab hai , science men bht se razoon par se parda uth raha hai Wo raz jinka Zikar 1400 Saal pehle Kar dia gia ..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wsalam u alaikum
jazakAllah..
beshak islam ki talimat dunya aur akhrat dono me kamyabi ka zariya hai ..
aj dosre mazahib se taluq rakhne wale log humari Deen se faida utha rahe hain hum khud zilat ki pastiyon me girte ja rahe hain kyun k hum amal se khali hain
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Allahi baarik fee bilkul sahih farmaya aap dono ne.Allah hame is par amal ki taufeeq ata farma aameen.
 
Top