!! Ramadan Eibadaat Or Wazaid !!

  • Work-from-home

Brilliant_Boy

ıllıllı now yoυ ѕee мe ıllıllı
TM Star
Feb 24, 2014
3,688
1,402
413
Islamabad
As Salam-o-Alaykum

Ramdan Shab e qadar aur Shawal k wazaif

"Ramdan Shareef Rehmaton 'Barkaton Aur Magfirat ka Maheena" Allah k Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustuffa (S.A.A.W.W) Ne ramdan ul-Mubarak ki Fazeelat k Baray mein irshad Farmaya K Jis Aimaan k Sath Aur Suwab Samjhtay hue Ramdan -ul-Mubarak k Rozay rakhay Us k Guzashta Gunnah Muwaf kar diy jayein gay (Subhan Allah) Aur Jis Ne aimaan k sath sawab smajhtay hue Ramdan-ul-Mubarak mein Qiyam(Traweeh wagairah parhi) To us k peechlay gunnah muwaf kar diye jayein gay (Subhan Allah) Aur Jis Ne "SHAB -e-QADAR" main qiyam kiya aimaan k sath aur sawab smajh ker Us k Ab tak k Gunnah Muwaf akr diye jayein gay (Subhan Allah)


==================================

Bukhari -o-muslim abi hareerah ne farmaya Fakhar do Alam ne k Rozay aur Quran Banday k liye Sifarish karein gay. Rozay kahein gay"Ae Rab 'Hum ne is ko din mein khanay se aur deegar khwahishat se rok diya lihaza is k haq mein hamari Sifarish qabool Farma lijiye Quraan Arz kare ga k "Main ne Raat ko isay Sonay na Diya Lihaza is k Haq Mein Meri Sifarish qabool kijiye Chunacha Dono ki Sifarish qabool kar li jaye gi


=====================================

Sehri K mutaliq Rasool Akram (S.A.A.W.W) ka Irshad -e-Grami hai k Sehri main Barkat Hai Use Hargiz Na Choro Agar Kuch Nahi To Is Waqt Pani Ka Aik Ghunt He P liya Jaye Q K sehri Mein Khanay Peenay Walon Per Allah Rehmat Farmata Hai Aur Farishtay Un K Liye Du -e- Khair Karte Hain [Masnad Ahmad Alhadees}


================================


Iftaar K Baray Mein Hazrat Abu Hareerah Se Ruwaiyat hai k Rasool Allah (S.A.A.W.W) ne Farmaya K Allah Tala Ka Irshad Hai k Apnay Bandon Mein Mujhe Woh Banda Ziyada Mahboob Hai Jo Roza k Iftaar Mein jaldi Kare(Yani Garoob Aaftaab K Baad Bilkul Der Na Kare) [Jamia Tirmzi Muarif Alhadees}

=====================================


Hazraat Umar (Razi Allah Tala Unhu) Se Riwaiyat Hai k Rasool Akram (S.A.A.W.W.) ne Irshad Farmaya k Rozay Daar ki Aik bhi Dua Iftaar k waqt Mustard Nahi Hoti (Subhan Allah) [Ibn Maja]
=========================================
 

Brilliant_Boy

ıllıllı now yoυ ѕee мe ıllıllı
TM Star
Feb 24, 2014
3,688
1,402
413
Islamabad
Hazrat Anas Se Ruwaiyat hai k rasool Allah (S.A.A.W.W.) Magrib Ki Nimaz se Pehle Chand Tar khajooron se Roza Iftaar farmatay thay Agar Tar Khajoorein *****qt Majood na Hoti To Khushk Khajoorein(Chuwaray) se Roza Iftaar Farmatay' Woh bhi Na Hoti To Chaand Ghunth Pani P Letay ================================== (Jamia Tarmazi) Mein farmaya Rasool Allah (S.A.A.W.W) ne k Jab Tum Roza Kholnay Lago To Khajoor Se Iftaar Karo' Q k Khajoor Sirapa -e- Barkat Hai Agar Khajoor Na Milay To Pani Se Roza Khol le Q k Woh (Zahir -o-Batin) ko paaK karne wala hai [Tirmzi An Salman Bin amir] =========================== Roza Chorne K Nuqsaan K baray mein Hazraat Abu Hareerah Se Ruwaiyat Hai K rasool Allah (S.A.A.W.W) ne Irshaad Farmaya Jo Aadmi Sqafar Wagairah ki Sharayi Rukhsar K bagair Aur bemari jaise Kiis Azar K Bagair Ramdaan ka Aik Roza Bhi Chore Ga Woh Agar Is K Bjaye Umar Bhaar Bhi Rozay Rakhay To Jo Chiz Faut Ho gayi Woh Puri Waa Nahi Ho sakti [Masnad Ahmad Muarif Alhadees] ========================= Farmaya Fakhar E Kaunain (S.A.A.W.W) ne k jis ne Ramdaan K Rozay rakhay Aur us k baad 6 (Nafal) Rozay Shawak(EID) k maheenay mein rakhe To (Puray Saal k Rozay Rakhnay ka Sawab milay ga Agar Hamesha aisa he kiya kare To Goya Sari Umer k Rozay Rakhe [Muslim An Abi Ayub] =============================== Aitkaaf Ahadees Sameeha Main Manqaul Hai k Jab Ramdaan Shareef Ka Aakhri Ashra Aata To Nabi (S.A.A.W.W) k liye Masjid Main Aik Jagha Mekhsoos Kar di Jati Aur wahan koi Parda Chtayi wagaira Daal diya jata ya koi chota sa khaima nasab Hota' Ramdaan ul Mubarak Ki 20 Tareekh ko Fajar ki Nimaz k liye Masjid Main tashreef le jatay thay aur Eid Ka Chand Dekh Ker Wahan Se Bahir Tashreef le jatay thay (Muarif Hadees) jis ne Ramdan ul Mubarak k aakhri ashray main 10 Din itkaaf kia to woh Itkaaf Masal Do Hajj Aur 2 Umron k Ho Ga Yani itna sawab Milay Ga (Behqi Muarif Al Hadees ) ================================ Hadrat Abu Hareera {R.A} Se Ruwaiyat Hay K rasool ALLAH SAWW Ne Irshad Farmaya Sirf Khanay Peena Chor Dene Ka naam Roza Nahi Hay Asal Roza To Yeh Hay K aAdmi Behuda Aur Bekaar Baton Se Bachay PAS Aye Roza Daar Agar Tujhey Koi gali De Ya Jahalat Per Utar Aaye To Tu Keh De Main Roza Rakhay Hue Hoon Yani Mushtail Ho ker Jawabi Karwayi na kere ===============================
 
  • Like
Reactions: Parisa_

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
As Salam-o-Alaykum

Ramdan Shab e qadar aur Shawal k wazaif

"Ramdan Shareef Rehmaton 'Barkaton Aur Magfirat ka Maheena" Allah k Pyare Nabi Hazrat Muhammad Mustuffa (S.A.A.W.W) Ne ramdan ul-Mubarak ki Fazeelat k Baray mein irshad Farmaya K Jis Aimaan k Sath Aur Suwab Samjhtay hue Ramdan -ul-Mubarak k Rozay rakhay Us k Guzashta Gunnah Muwaf kar diy jayein gay (Subhan Allah) Aur Jis Ne aimaan k sath sawab smajhtay hue Ramdan-ul-Mubarak mein Qiyam(Traweeh wagairah parhi) To us k peechlay gunnah muwaf kar diye jayein gay (Subhan Allah) Aur Jis Ne "SHAB -e-QADAR" main qiyam kiya aimaan k sath aur sawab smajh ker Us k Ab tak k Gunnah Muwaf akr diye jayein gay (Subhan Allah)


==================================

Bukhari -o-muslim abi hareerah ne farmaya Fakhar do Alam ne k Rozay aur Quran Banday k liye Sifarish karein gay. Rozay kahein gay"Ae Rab 'Hum ne is ko din mein khanay se aur deegar khwahishat se rok diya lihaza is k haq mein hamari Sifarish qabool Farma lijiye Quraan Arz kare ga k "Main ne Raat ko isay Sonay na Diya Lihaza is k Haq Mein Meri Sifarish qabool kijiye Chunacha Dono ki Sifarish qabool kar li jaye gi


=====================================

Sehri K mutaliq Rasool Akram (S.A.A.W.W) ka Irshad -e-Grami hai k Sehri main Barkat Hai Use Hargiz Na Choro Agar Kuch Nahi To Is Waqt Pani Ka Aik Ghunt He P liya Jaye Q K sehri Mein Khanay Peenay Walon Per Allah Rehmat Farmata Hai Aur Farishtay Un K Liye Du -e- Khair Karte Hain [Masnad Ahmad Alhadees}


================================


Iftaar K Baray Mein Hazrat Abu Hareerah Se Ruwaiyat hai k Rasool Allah (S.A.A.W.W) ne Farmaya K Allah Tala Ka Irshad Hai k Apnay Bandon Mein Mujhe Woh Banda Ziyada Mahboob Hai Jo Roza k Iftaar Mein jaldi Kare(Yani Garoob Aaftaab K Baad Bilkul Der Na Kare) [Jamia Tirmzi Muarif Alhadees}

=====================================


Hazraat Umar (Razi Allah Tala Unhu) Se Riwaiyat Hai k Rasool Akram (S.A.A.W.W.) ne Irshad Farmaya k Rozay Daar ki Aik bhi Dua Iftaar k waqt Mustard Nahi Hoti (Subhan Allah) [Ibn Maja]
=========================================

Jazak Allah Khairan :)
bro aap deen k mutalliq jo bhi share karen khayal rakhen ke sath me authentic reference ho

jin posts me reference nahi hai wo delete kardi gayin hain
 
Top