Shikast

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
apney seene sey lagaay howe umeed ki laash
mud'datoo.n zeest ko na-shaad kya hay main nay
tu nay aik hi sadme sey kya tha do-chaar
dill ko har tarha sey barbaad kiya hay main nay
jab bhi rahoo.n main nazar aay hareeri malboos
sard aahoo.n main tujhey yaad kiya hay main nay
aur jab ab k meri roh ki pehnaai main
aik sunsaan si maghmoom ghata chaai hay
tu damaktey howe aariz ki shoa'ain lay kar
gull shuda shamain jalaane ko chali aai hay
merey mehboob, ye hangaama-e tajdeed-e wafa
meri afsurda jawaani k leye raas nahi
main nay phool chuney they terey qadmoo.n k leye
un ka dhundhla sa tasaw'wer bhi merey paas nahi
aik yakh-basta udaasi hay dill-o jaa.n pe moheet
abb meri roh main baaqi hay na umeed, na josh
reh gaya dab k giraa.n baar-e salasil k taley
meri darmandah jawaani ki umangoo.n ka kharosh
raig-zaaroo.n main bagoloo.n k siwa kuch bhi nahi
saya-e ab'r-e guraizaa.n sey mujhe kiya lena
bujh chuke hain merey seeney main mohabbat k kanwal
abb terey husn-e pashemaa.n sey mujhe kiya lena
terey aariz pe dhaltey howe "seemee.n aanso"
meri afsurdagi-e ghum ka madawa tu nahi
teri mehboob nigahoo.n ka paiyaam-e tajdeed
ik talaafi hi sahi................ .... meri tammanna tu nahi
 
Top