Shikwa,mayoosi,dua ki qabooliyat|QURAN AL HAKEEM|

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalamo alaikum TM aaj kal hum yaani MUSALMAAN eik bohot
bari ghuflat mein hain is tarah ke humare pasandeeda humsafar se le kar
maal o aulaad tak humein agar thore se nafah nuqsaan ka ya kisi ko
gawaane pare to hum NAUZBILLAH ALLAH PAK se shikayaat karne lagte hain
jabke yeh ALLAH PAK ki azmaaiysh ho sakti hai

aur is hi tarah bohot baar jab humaare haath koi fan aa jata hai
to hum kehte hain humen yeh aata hai woh aata hai yeh bhoolte huwe ke
ALHAMDULILLAH = urdu.sub tareefein ALLAH hi ke liye hain,
jo bhi hai us hi ki ata hai humein har haal mein uska shukr ada karna chahiye kyunke ??

Aur woh(ALLAH)har cheez per poori tarah Qadir hai
jisne mout aur zindagi ko peda farmaaya
ke woh tumhein azmaaye ke tum mein se koun amal
ke lihaaz se behetter hai aur woh ghaalib hai
bara bakhshne waala hai

Quran surat al Mulk,ayat#1-2

Har jaan ko mout ka maza chakhna hai
aur hum tumhein bhalaiy aur buraiy me
azmaiysh ke liye mubtila karte hain
aur tum humari hi taraf paltaye jaoge

Quran surat al Anbiya,ayat#35

aur bohot baar to hum yaani ke MUSALMAAN yeh bhi keh dete hain ke
ab is masle per NAUZBILLAH ALLAH PAK kuch behetteri nahin farmayega
lekin ALLAH ke rehmat se mayoosi theek nahin aur aisa kyun ??

Beshak ALLAH ki rehmat se wahi loug mayoos hote hain jo kaafir hain

Quran surat al Yousaf,ayat#87

aur yeh bhi hargiz na socha jaaye ke ALLAH gunehgaar ki nahin sunta
ya NAUZBILLAH ghair mazahab ko ata karne wala koi aur hai
is surat mein taliban e dunya yaani woh jo aakhirat ke munkir hain
aur taliban e aakhirat woh jo qayamat ke ajar ke muntazir hain
dono se mukhaatib ho kar ALLAH PAK ka QURAN AL HAKEEM
mein farman e mubarak hai

Hum har eik ki madad karte hain
un(taliban e dunya)ki bhi aur
in(taliban e aakhirat) ki bhi
aur aapke RAB ki ata(kisi ke liye)
mamnoo aur band nahin hai

Quran surat al Bani Israeel,ayat#20

Yahaan bhi beqaraar MUSALMAAN nahin balke beqaraar shakhs ke liye sawaal hai
ke beqaraar shakhs ki dua koun qabool karta hai

Balke woh koun hai jo be qaraar shaqhs ki dua qabool farmata hai
aur jab use pukaare aur takleef door farmaata hai

Quran surat al Namal,ayat#62
so jese ke humein pata hai ALLAH hi dua
qabool farmata aur takaleef door farmane wala hai

So doston mere is thread ka maqsad QURANI ayaat ke tarjuma ko aap sub tak
pohnchaana tha ke humein ALLAH se shikwa ALLAH ki rehmat se mayoosi
ALLAH ke shukr se ghuflat aur ALLAH ke ibaadat se rogardani nahin karni chahiye

ayeALLAH PAK humein KITABULLAH per mukammal imaan mukammal samajh
aur mukammal pairwi ki taufeeq de taake hum falah paa jaayen Ameen Sum Ameen . . .
 
Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
JazakAllah khair bro dil khush kar dya aap ne intihai umdah sharing ki hai keep it up sharing like this :)
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

SUBHAANA

Hot Shot
Nov 14, 2009
19,371
8,854
713
Qatar

Mashallah
Thanx 4 sharing
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Abgeene

TM Star
Jan 7, 2010
3,620
1,457
413
Usa
JazakALLAH Khair...
prEciOus Sharing kEep sharing...
ALLAH PAk sub kO sahi rastE pE chalnE ki tOfEeq ata farmayE Ameen Suma Ameen...
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top