Site Rules ( Read Before Posting )

  • Work-from-home

Faisalshehzad

Newbie
Jun 19, 2014
1
0
1
this is the very good rule i am also reed the other forum role but i think in this forum rule are the decent ad the inocent also
 

nisarhamad

Regular Member
Feb 24, 2015
70
36
18
آپ لوگوں نے اتنی دنیا کو جو اکٹھا کر لیا ہے اسکا مقصد اچھا بھی ہے اور ہر چیز کے
سائیڈ ڈیفیکٹ بھی تو ہوتے ہیں
 
  • Like
Reactions: Star24

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
@muttalib wo Bad me Update hoa hy...Staff Disscussion se.
zaroori thi yeh discussion mujhe naam batao discussion walo'n ke abhi main un k PM par itne saary karta hoon keh toba toba kar ke rule khatam karne ki darkhwast karengy lolzzz.. just kidding dear i agree with all rules :)
 

arzi_zeest

Senior Member
Jul 2, 2018
940
554
93
Assalam-o-Alkum Tafreehmela,

TafreehMela ALLAH k fazal o karam se Last Koch years se taraki ki bulandio per hai, or ham ap sab k shukar guzar hain k ap nay is taraki k safar main hamara sath dia.. Isi lie TafreehMela ko mazeed taraqi ki taraf lay janay k lie or muskilat say bachany k lie TM Staff nay kuch Rules banaye hain, jo k TM staff or TM Users k lie faiday mand raheingay...
Rules ko aram say review karnay k lie, hum nay har rules ko us ki Category may dala hai, or sath may ek number bhi assign kia gaya hai.. jo k mustaqbil may reference k lie kaam aye ga.


General Rules:

1.Hamari ap say darkhast hai k kabhi bhi apni personal info (( Real Name, Phone number, Home Address or ho sake to Email address )) kissi user k sath share na karein, siwaye ap us user par trust rakhte hon, Personal info share karnay k bad agar Khuda na khwasta koi masla peesh aya to TafreehMela us ka zemedar nahi ho ga.
2.TafreehMela k kissi bhi hissay may koi bhi Galli Galooch ya koi bhi abusing word use karna sakth mana hai.
3.Kissi bhi kisam ki personal larai se parheeez karain. TafreehMela kissi bhi personal fight ka zemedar nahi ho ga.
4.Tafreehmela say temporary banned hone k baad, dosri id bana k wapis ana mana hai, Rule tornay ki sorat may ap ki temporary banning permanent kar dee gaye gi.
5.Kissi bhi Staff member k sath misbehaving ya batamezi bilkul bardasht nahi ki gaye gi, agar ap ko kissi bhi Staff member ki koi baat ya un ka action pasand nai to please Admin say rabta karein.


Posting Rules:


1.TafreehMela may sirf English and Pakistani Languages allow hain.Agar ap kisi or language may post karte hain to us k sath translation b post kijye.
2.TM may limited arguement allow hai, laykin dehan rahe k koi bhi bahess kissi larai may tabdeel na hone paye..
3.Kissi bhi thread may topic se hut kar baat karna(off topic) allow nahi, however, TM staff is rule ki khelaf warzi par tab tak action nahi lay ga jab tak Topic Starter report nahi karta/i.
4.Koshish karain k Thankz button ka use munasib jagha per istimal karain.baghir kisi waja k thnakz use karne se parheez karain.
5.Post may baysharmi or nudity wali picz post karna sakhti say mana hai, is rule ki khelaf warzi par hamesha k lie Banned kar dia gaye ga.
6.Kissi bhi post may koi bhi external link bilkul allow nahi, sirf non commercial or productive site ( google.com, Microsoft.com, yahoo.com, Wikipedia.org waghera) k links allowed hain. Is rule ki khelaf warzi par Warning k baad suspension ka samne karna ho ga.
7.Kissi bhi Image may watermark allow nahi.
8.Agar koi User ap say mazak ya ap say baat nai karna cahta/ti to us ko mazeed pareshan na kiya gaye.
  1. No more Warez posting ( updated June19-2010)
  2. No virus and malicious programs posting. ( Updated June 19-2010 )
  3. Please read our ISLAMIC RULES. These rules applies through out the forum(not just Islamic Section). (Updated June 28-2010)


Blog Rules:

1.Filhal Blog sirf 300 post say upper walay users k lie allow kia gaya hai.
2.Koi bhi Blog, warez blog, downloading blog, online movies waghera k lie allow nahi
3.Blog ko sirf non commercially use kia gaye.
4.Forum k saray rules, blog may bhi apply hote hain.


ChatRoom Rules:

1.ChatRoom may kisi bhi Qism ki Larai jhagra sakhti say mana hai.
2.Koi bhi bad word use karna mana hai.
3.Smilies ka fizool istemal mana hai.
4.ChatRoom may gher zaroori message ko bar bar post karna sakhti say mana hai.
5.ChatRoom may dosro ko ayse Treat karein, jayse ap kudh dosro say treat hone cahte hain.
6.Kissi ko gahlat naam say na pukara gaye.
7.Agar koi user ap say Mazak ya ap say bat karna nai pasand karta to us ko mazeed pareshan na kia gaye.
Kissi bhi rule ki khelaf warzi par, ek ya do warning mileingi staff ki taraf say, mustaqil rule tornay par temporary ya permanent banned bhi kia ja sakta hai. Yaad rahe warning ya banning rules ki khelaf warzi ko dekh k di jaye gi.


Note: Rules in urdu(images below) are not up to date:

View attachment 9410
View attachment 9411
View attachment 9412
View attachment 9413
View attachment 9414
Good
 
  • Like
Reactions: Don
Top