Tm debate contest 2011/12 final round

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam o alaikum
TM debate contest k 3rd aur final round k saath hazir hoon. Start se pehle mein score's rewind kerwadoon k Bright star's k Total point's hein 8+24=32 or Super star's k Total point's hein 15+16=31.
Bright star's sirf 1 point's se lead ker rahe hein, is round k rules same hein mager 1 rule ka izafa kiya gaya hei wo neeche rule no.1 mien mulahiza karein.

RULES


Ager kisi member ne apne group partner ki post k neeche post ki aur mukhalif ka intezar na kiya to us ki post delete ki jai gi ya debate shamil nahi ki jai gi, ghalati se ho jai to apne saathi se salah mashwarah k baad 1 banda apni post khud hi delete ker de.
Is mertaba fix points ka nazerya khatam ker diya gaya hei aur dono teams ko performance k mutabik points diye jain ge.

Total 25 points honge.

Man of the match ko 5 and also golden words member ko bhi 5 points diye jain ge.

Member k kisi bhi gheir ikhlaqi alfaz k istemal ki soorat mein us member ko pehle warn kiya jai ga aur dobara ghalat herkat ki soorat mein us member ko 2 weeks k liye contest se bahir ker diya jai ga, is k group mein se 1 point *-(minus) kiya jai ga.

Contestant Ke Out of Topic post ko bhi delete kya jaye ga Jis ki surat main un ke Group ke points bhi katey ja sakte hain.

Contestants ke ilawa baqi members Thread pe post nahi karenge aisa karne ki surat main unki post delete kar di jaye gi woh apni pasand ka izhaar Thanks ke button pe click kar ke kar sakte hain.

Capton ke Kisi waja se busy aur out of TM hone ki surat main Caption pe lazmi hai ke woh Thread pe ghaieb hone se pehle apne Kisi partner ko Wise Capton Ship ki command de kar jayega.



Teams


Bright Star Group
1. Aaraaf (c) captain
2. Faari
3. Hooria
4. ?????
5.Sabah
6. Mashriki Larka
BS k saath SHB nahi hein to un ko chahiye k wo apne liye 1 member razi karein ager aap ko debate k doran koi member mil jata hei to aap mujhe keh ker use usi waqt continue kara sakte hei, i mean wo debate mein any time shamil ho sakte hien.



Super Star Group
1. Hansmukh (c) captain
2. Sweet Maha
3. Asma 24
4. Ssafi
5.S_Chiragh
6. Khushi

Super Stars VS Bright Stars



TOPIC
Aaj ka topic English language ka pakistan aur asian countries mein zyada ahmiyat k bare mein hei,
Kya English Language ko apni Qomi zuban se zyada ahmiyat dena theek hei ya nahi?

Bright Star's is topic ka favor lete huwe ye explain kerne ki koshish karein ge k English language ko apni Qomi zuban se zyada ahmiyat dena theek hei.

Super Star's is Topic k against jate huwe ye explain kerne ki koshish karein ge k English language ko apni Qomi zuban se zyada ahmiyat dena theek nahi hei.


Note: Ye final hei so is mertaba kisi bhi kism ki out of topic post hui to warn nahi kiya jai ga aur directly 1 point minus kiya jai ga, meine apne helper zee leo brother se bhi keh diya hei, isi liye aap se guzarish hei k ache tareeke se khelein aur is khel ko apni ana ka masla na banain, koi bhi jeete ya haare mager aap is se bohot kuch seekhein ge, so just go on and perform.

Debate ki Last Date 28 January 2012 hei.


Bright star's is topic k favor mein hein isi liye start wo karein ge.

On your mark



gets it
.
.
.
.
.
.
.
GO.






 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Thread lagey huwe 20 hours ho chukey hain next 4 hours main bright star ki team ka koi member agar post nahi karta toe un ki pori team ke 5 points kaat lye jayen ge aur phir Super Stars ki team se guzarish hogi ke us ke baad woh yahan pe debate start kar den .

Filhal Bright star aap ke pass 4 hours hain. Topic ko samjhen aur apne aap ko har kism ki debate ke lye tayyar rakhen Shukrya :)
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM DOSTO
AAJ KI DEBATE per hamen js topic per bolne ka chance mila hy wo hy k englishlanguage ko hmari qoam k liye bheter nahi hy..

shuruwat kerte hian es mouzo k sath meri dear dost fari ne bht achi batien wazih ki hian i agree with her some points..
but not for all she said ,,manatey hain hmare mulk me ajakl english ka use bht ziyada brah gya hy.logon ko lgat hy k ye hmare mulk k lye bh behter zriya hy taraki k liye..but ye b sach hy english is not our national language..ajkal schools collages ,insititutess me english pe hi concentrates diya ja raha hy aur urdu per bht kam yahan tak k ziyada tar courses english me publish kiye ja rahe hian,,we cant forget our culture ,urdu se hmen aik pehchan mili bcoz of this we called pakistani poepless...yahan tak k forign countriess me b hmse hmari pehchan urdu se hoti hy..mana k techonolgy se inkar nahi kiya ja skta ..lekin hm use kese bhoolen jo hmari qomi zuban hy...englsih ke courses hmlog urdu me trsanslate kr k smjha jata hy..koi b wik word agr english me hy uski meaning janne k liye hamen urdu ka sahra lena parta hy so es koshish me kon sbse bara support hua that is urdu...our urdu..
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Walaikum Assalam fari.. aap ne achi koshish ki thi ke apni team ke 5 points bachaney ke lye quick posting ki magar as TM Rules watermark images allowed nahi hain especially jis pe kisi dosri urdu web ya forum ka link maujood hoo. aap new ho shayad is waja se aap ko is baat ka pata nahi tha magar aap ki team main kafi seniors maujood hain. aur aap sub ko pehle bhi kaha ja chuka hai ke apas main coordination kar ke chalen. magar phir bhi aisa huwa. is main dekha jaye toe aap ki ghalti buhat kam hai anyways rules sub ke lye equal hain so is ghalti ki waja se Bright Stars ki team ka 1 point minus kya ja raha hai. next time be careful . aap logoon se mazrat chahta hon magar aap ka aik point katna meri majboori hai kyon ke ye rules ke khilaf act hai. next time se kisi team ki double posts pe bhi point katenge aur phir main yahan bataon ga nahi result ke waqt aap ko pata chal jaye ga . abhi aap sub ko phir se remind ho is waja se bata raha hon .

Thanks

regards

Zee
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walikum assalam.
alhamdulillah jo topic par mujhe debate karni hai.wo ye k kia english language ko hamari qaomi zuban par faoqiyat deni chhaiye ya nahi.aur mujhe iske favour me baat karni hai.inshaAllah main poori hadd tak apni bisaat bhar koshih karunga.

asian countries me jahan hum rahte hain dekha jaaye to wahan kayi zubanein aur kayi mazahib k maanne wale log rahte aur baste hain.pakistan ki hi baat agar hum karlen to hame pata chalega k yahan 4 se 5 zubanein booli jaati hain.jinme urdu-punjabi-pashto-sindhi-balochi aur saraiki.

pakistan ki national language agarche k urdu hai laikin iske bolne aur isse jaanne wale pakistan me sirf 7 se 8% tak hi log hain.jabke dosri zubanein jaisa k punjabi ye sabse ziada boli jaane waali zuban hai.iska percentage 44 tak hai.main nahi kahta k hamari qaomi zuban par ksi ghair mulki language ko fauqiat deni chahiye balke main kahta hon k waqt k saath saath hame bhi ruq badalna parta hai tabhi jaakar hum ksi muqam par pahunch sakte hain.iski misal hamare saamne japan ki hai.

japan par jab america ne world war2 1945 me attack kia tha aur uski mayishat(economic) ko tabah karke rakhdiya tha.jiski wajah se japan kayi barson peeche chala gaya tha.laikin america ne wahan japan me apna education system qaayem kia.ye soonchkar k hum aise log mustaqbil keliye tayyar karenge jo jismaani taur par to japani ho laikin zahni taur par americi ho.laikin aaj hum dekhte hain chund saalon me hi japan is education system ko apne kaaz keliye istemaal karte hue aaj dunya ki bulandiaon par pahunch chuka hai.aaj hum dekhte hain k japan ko industrial giant kaha jaata hai.

ye kis bunyaad par hua kia unho ne ye kaha k nahi hame is system ki mukhaalifat karni chahiye aur ye system hamari saqafati wirse ko mitaa dega.nahi na balke unho ne isse apne mafaad keliye istemal karte hua aaj ye maqaam paalia.

jab britishers united india aaye to unho ne yahan par business ki gharz se dheere dheere apni hukumat banani shri ki.aur jaise hi unho ne apni hukumat banayi yahan par bhi apna nizaam e taleem adopt karne ki koshih ki.jisse chund ek muslim leaders k ilawa ksi ne qabool nahi kia.jinme se ek sir syed ahmed khaan ka naam sir fehrsit aata hai.aur sabne iski khl kar mukhaalifat ki.aur hum dekhte hain k anjam kia hua.aaj india aur pakistan ko aazadi mil kar 50 saalon se ziada hogaye hain.aur wahin japan par war hokar bhi yahi same period hogaya laikin aaj hamare mulkaon ka haal dekhiye kitne hum dori dunya se peeche hain kyun?jabke japan ko dekhiye aaj wo kahan hai.
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

ASSALAM WALIEKUM frdssss{(thx)}
debate ko agye barahtey hue me jawab me apne bhai arshad se kuch kehna chahti hoon ..unho ne kafi achi daleel pesh ki as example of japan..
but bhai yahan hmen ye nahi dekhna k kon sa mulk konsi bulandi per hy ...her mulk apni governemnet aur culture pe ziyada focuss kerta hy..
mene jo pehle bola ka aaj hamri pehchan urdu zuban se coz wo hamri national language hy aur hamri nationality pakistani hy ,,just as japinease japan ki apni zuban hy ,,mantye hian unho ne b english ki tarjeeh di hy but kya unki national languege kya unho ne badl di..??
nahi na...phr hum pakistani poeples kun american ki copy karen,,ksi b beroni mulk ki languege ko ziyada ehmit dena hmen hamri zuban se door kerne ka bais kerne jesa hoga,,but jahan tak urdu ka taluq hy ,aik bacha jab pehlea lafz seeekhta hy wo lafz hota hy maa,,not mother..this is our culture and our identity ..english can support us for facing other countires poeple talk but as we are today we knows today as muslimss and pakistanisss:)
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
Aslamoalikum

ML bhai jaisa k aap ny kaha k zuban kisi b mulk ki tehzeebi smaaji or saqafti iqdaar ki akaasi krti hai to ye baat bilkul theek hai...

kia hmaary mulk ki tehzeeb saqafat ya smaaji iqdaar ki koi value nahi hai?

hamen b apny mulk k liye kuch krna hai ya nahi?to kion na hum english ki bjaaye apni qomi zuban Urdu ko ahmiyat dain?

tareeekh shahid hai k urdu ny bohat c zubanon k dastar khwaan say khosha cheeni ki hai....jo khud apny mulk main mukamal or wasee rahi hain...
urdu zuban ka bra maakhaz farsi zuban hai jo na sirf Iran hi main daftari o sarkari hasiat ki hamil hai bal k Hind ki sr zameen main b Mughlia badshahon k dor main drbaari zuban ka fkhr rkhti hai...

Arbi zuban b urdu zuban ki mamnon ehsaan hai ...urdu zuban tmaam gher mulki zubanon k alfaaz ko apni aaghosh main leny ki istdaad rkhti hai....ps hamen ye daawaa krny main koi taamal nahi k urdu zuban main taraqqi krny or wusatt paany ka fitri johar mojood hai....

so hamen English say zyada apni qomi zuban ko tarjeeh deni chahiye...

or ye hum hi kr skty hain...

ab to air ports pr Arab or Doosry mumalik k log jo kaam krty hain wo b urdu seekhty hain....

or ML bahi ko ye b kehna chahti hoon k jo pakistani students doosry mumalik main taleem hasil krty hain wo English main to achy hoty hain but un ki urdu bilkul b theek nahi hoti bolny main to jo ghltiaan hoti hain so hoti hain unen to urdu likhni tk nahi aati...

to kia hmaari tehzeeb hmaari saqafat is qabil nahi k hmaary apny nojwaan usy pehchan sken us ki taraqqi k liye kuch kr sken...

agr English ko bain ul aqwami zuban qarar dia jaa skta hai to urdu ko kion nahi?
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Assalam-o-Alikum

Aaj ki debate Jis topic pe hay woh kafe comprehensive hay. Urdu humari Qomi zuban hay humain is ki qadar hay aur is se muhabbat hay. Koi shaq nahi k yah humari pehchan hay. Laken doseri terf humain is haqeeqat ko bhi tasleem kerna parta hay k English ki apni Imporatnce hay kyun k yah aak Universal language hay. So aaj koi bhi is baat se inkaar nahi ker sakta K English ki duniya main, Humari society main aur daily Life kitne ahm Jagha hay. Even un countries main bhi Jin ki national Language English nahi like Pakistan n Other asian countries. Because we’re competing with other countries in terms of Education, business, sports and many other things. Hence we’re forced to meet Global standards. To meet the Global standards we need a Global Language that is none other than English.

Yahe waja hay k Educational Institutes main English ko as Major n compulsory subject perhaia Jata hay. Parents apnay bachon ko English medium schools main issi liye admission dilwatay hain takay woh International Criteria ko meet ker sakain. kyun k International level pe Jab logo se negotiate kernay ki zurorat parti hay Like world wide meetings, seminars, reality shows etc tu wahan apna massege convey kernay aur doseron ki baat ko samjhnay k liye aak aise langaguge ki zurorat perti hay Jo zyda se zyda log samjh sakain, so English universal language honay ki waja se negotiation ka best source hay. Asian countries main English second language k tor pe use hote hay so is ki ahmiat ka andaza issi baat se lagaia ja sakta hay Official, Governmental, Educational Institutes main English ka istymal aam hay.

The modern English is quite described as global lingua France, and it is the major communication tool for Science events, Business, Aviation, Entertainment and diplomacy. Issi waja se humain aaj numerous English Language Learning Centers nazer atay hain Jahan logo ki bari tadaad English seekhnay k liye aati hay kyun k woh Jantay hain agay bharnay k liye English Language sekhna bohat zurori hay. Tarqee ki rah main English aak basic element ki hasiat rakhti hay.

English Language has special status in Pakistan and other countries because..!

1. English is Language of International Communication

2. English is the Language of Science and Technology

3. English is the Language of Computer

4. English is the Language of Higher Education

5. English is the Language of Higher Examination

6. English is the Language of High Offices and Courts

7. English is the Language of Entertainment

8. English has a Rich Storehouse of Literature

9. English is a Language with Market Value
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
agr English ko as compulsory subject prhaya jata hai to Urdu ko b as compulsory prhaya jata hai...

bohat c aisi aqwaam hain jinon ny English k bagher hi taraqqi kr li....herat hai k kaisy kr li...

misaal k tor pr France,German Etc

USA main b bohat say ilaaqon main Spanish boli jaati hai...

to phir hmaary haan hi english prny or seekhny ka rona kion?

Urdu hmaari qomi zubaan hai or isy wo muqaam hasil nahi jo hona chahiye...

is ki sab say bari waja hamara ehsas e kamtari hai ham hamesha say apny aap ko ahl-e-maghrib say kamtar samjty aaye hain or ham ny isi waja say apni zuban ko bhi English say kamtar samja or yahi waja hai k hamari taqareer hon kisi leader ki taqreer ho to urdu kam or english ziada nazar aati hai
yeh hamary liye zaroori hai k ham english seekhein magar is had tak us ko apni zindagion main shamil ker lena k hamari zuban ki pehchan hi na rahy ghalat hai.
aur yahi waja hai k aaj bohat say logon ka to ye haal hai k un k bachon ko english to aati hai magar urdu nahi aati aur woh is baat per fakhar kerty hain
kia aisa hona chahiye?

nahi aisa nahi hona chahiye hmaari qomi zuban ko us ka muqam milna chahiye jo hum hi day skty hain...

Hmaari qomi zuban urdu ki qadar sb say pehly Urdubolny walon ko krni hogi...

is liye English nahi bl k Urdu ko apnana chahiye ....

or rahi baat computer ki k English computer ki language hai to computer ko Urdu zubaan ka b ehsaas hai is liye computer b urdu zuban janta hai...jo k hmaari qomi zubaan hai....

Allama iqbal ka aik shair Urdu k liye

gaisu-e-Urdu abhi minnat pazeer-e-shaana hai
shama yeh sodaii-e-dil'sozi-e-parwana hai


 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
PAUSED

ab se dono teams repliez nahin dengein matlab ke debate ko pause kiya gaya hai
kyunke is debate ke hawale se humari kkuch discussion chal rahi hai judges ke saath
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam-o-Alaikum .. mujhe Tayyab ka Pm mosool huwa jis main pocha ja raha hai ke thread ko push kyon kya gaya. first of all i clear ke maine kisi ko push karney ko nahi bola na he khudh aisa kya hai. chiragh ka pm aya jis main woh topic change karwana chah rahe hain. tayyab bhi pehle is silsiley main pm kar chuka hai waqas ko jis ko Admins se pochney ke baad refuse kar dya gaya tha

Now saif ne mujhe kaha hai dono teams ke members is topic pe debate nahi karna chahte toe mujhe filhal batayen ke kaun karna chahta hai aur kaun nahi? aap log agar koi aur topic chahte hain toe main new sirey se thread bana deta hon aur kisi new topic ke sath.

magar us se pehle aik baat kehna chahon ga ke aap log debate ka asal maqsad nahi samjhe hain shayad abhi tak.. aap ko hameesha apne aap ko har kism ke topic pe baat karney ke lye khudh ko tayar rakhna chaye. zaroori nahi ke Jis topic pe aap ki knowledge zyada ho ya behtar tareeke se debate kar saken wohi chose karen. aap ko kisi bhi topic ko apne haq main behtar karna hai this is true mean of knowledge..

agar ye topic change hota hai majority ke kehne par toe after final result main aur waqas bro aap 12 persons ka isi topic pe samna karen ge aur ye bhi aap ki choice hogi ke aap 12 persons favor pe jao ya against.

now u all tell me what do u want

Thanks
Regards


Zee
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam zeeshan
nahi bright star ko yahi topic chahiye debate start hone se pahle humne kaha tha k topic change karo laikin waqas ko admins ne mana kardiya tha.uske baad maine apne team members ko is topic par debate keliye agree karliya.aur ab hum tamam ispar hi debate karna pasand karenge kyunke ab aadha debate to ho hi chuka hai.lehaza isse ab change karna sahih nahi rahega.
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Asalam-o-alaikum Wrwb
I also think es topic mei koi masla nai but actually its more interesting and jaise k zee ne kaha k debate ka maksad yahe hai k aapko aapne knowledge usay topic pe zahir kerne hai jho diya gaya hain so change kerna is not prefferable I also think we should go with the same topic else result jho bhi aye atleast ideas to share ho...
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Mera jawab

Wa'alaikum assalam Taiyab bhai bhai bilkul sub ek dam se nahin ho jaata
per agar hum aqal larayen to hum taraqqi ki aarh mein barbaad ho jaayengein
agar apne qoumi zaban se zyada value english ko dengein to aap ki team
keh rahi thi ke Pakistan mein daftari zaban bhi english hai to be shaq hai
aur jahaan tak hai wahin tak achha hai naa ke qoumi zaban se zyada value
ise milni chahiye kyunke yeh ata hai humare quaid ki ji bilkul they decided
it to agar humari taraqqi isse bhali english mein hoti to woh na hoti humari
qoumi zaban????

inke mutabiq is baat se hum ehsaas e kamtari ka shikaar hain

nahin balke hum Urdu mein parhne se taraqqi nahin karengein nichli soch to yeh hai

jo science hum english mein parhte hain use URDU mein parhne se
kya buraiy hogi.????

baat agar english language se kamyabi mein hai aur USA jaa ker job karne per hai
to ab to 100 din mein english ka course mukammal ho jaata hai to
hum usse pehle aur usse baad ki zindagi english seekhne mein kyun gawayen????

taraqqi ke liye khud ko aage laana hota hai woh taraqqi hoti hai kya jab humari
hukumat thi dunya per matlab jab hum muslims super powers the tab Angreiz
arabic bolte the????

tube light muslims ne eijad ki jiska pehla naam Urdu//arabic mein tha per angraizon
ne ise own kiya aur english naam se ise aaj saari dunya jaanti hai to is hi tarah
hum unki cheezon ko apna naam dein eik apni pehchaan banayen taake faraq sub
ko lage ke kounsa mulk USA hai kounsa PakistaN haiaisa nahin hona chaiye ke

aap ne kaha ke aap nahin keh rahe urdu ko pas pusht daal kar uske hone wali nasho numa
ko bhi roundh diya jaaye to janaab Urdu ke hi mulk mein Urdu se zyada English ko
value mile kis baat ka ishaara hai

to present mein english parhein bilkul parhi jaaye per eik Cigerate ke packet se le kar
sign boards tak English ki kya zaroorat.???

hum se zyada to urdu ki qadar ab shayad nokia walon ko hai jo kam az kam urdu typing cell phones
banane lage hain Pakistan bheijne ke liye

ji to schools mein English parhne se koi manah nahin kar raha aur school mein koi bacha 1-2 ghante
ki period se English ko qoumi zaban se bada darja bhi nahin dega

aur poora TM forum to badi baat ho jaayegi humein aap hi ke post urdu mein dikh rahe hain

aur URDU ki value aaj bhi itni hai ke sub se zyada ashaar is hi zabaan ke dunya bhar mein parhe jaate
hain aaj ki baat karein to aaj mein Dunya bhar ka behetereen mashhoor tareen shayar koun hai
aur kis zaban mein shayari ki thi unhone Faraz Ahmed Faraz ko sub hi jaante hain

to is hi tarah behetereen shayari ke sabab hum dunya bhar mein mashhoor hain to behetter se behetter
taraqqi hum aur bhi apne zabaan mein hi kar skate hain jiske sabab dunya bhar mein humara naam ho

aur Pakistan ke one of the best tajziya kaar column kaar Orya Maqbool jan ne kaha ke Urdu ke value ko peechhe karke
hum kabhi taraqqi nahin kar sakte

Urdu zaban ko supported window bhi hain naye wale hum hi hain ke apne zaban ko peechhe karne pe tule hain
warna youn to

Urdu hai jiska naam hum jaante hain Daagh
saare jahan mein hai dhoom humare zaban ki
 
Status
Not open for further replies.
Top