Tm debate contest 2011/12 final round

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam alaikum
supar star ki posts maine parhi hai.jaisa k saif ne kaha k kia taleem urdu zuban me hasil karke taraqi nahi ki jasakti.aur inho ne qaid e aazam ki baat ki hai k unho ne ye attiya hame diya hai.laikin mere bhai ye bhool rahe hain k mohammed ali jinnah ki maadri zuban gujarati thi baad me dheere dheere wo urdu seekhni shru ki.aur aapko batata chalun k pakistan ki sirf ek hi official language nahi balke 2 offial languages hain aur doosri hai english.

main janta hon urdu ek bahetreen language hai jisme ek sheerni ki mithaas hai.laikin bhai har marz ki ek dawa hoti hai har marz keliye ek hi dawa nahi hua karti.agar aap is daur e jadeed me taraqi k manazil taye karna chahte hon to english language ko adopt karna zaroori hai iske baghair hamare paas koi chaara nahi.ab aap hi dekhiye pakistam ne jis urdu ki aap baat kar rahe hain uske bolne walon ka tanasub bhi dekhiye 5th number par ye zuban boli jaati hai.sir syed ahmed khan ne kaha tha k jab tak hum english zuban ko hamare schools me adopt nahi karte tab tak hamari kamiyabi mushkil hai.

aur ye zahir si bata hai jab hum dekhte hain k jitni bhi new invents hain.wo saari ki saari englsih scientist ki hain.ye aur baat hai k muslims bhi ek period me apna science ki field me ek maqam rakhte thei.laikin ye log arabic thei.inki saari kitabein arabic language me likhi hui hain.naake urdu me fir baad me uska englsih translation kia gaya to hum dekhte hain k 90% mawaad english language me hai.jab hum english language se dur rahenge to kaise new invents ka pata lasakenge kaise hum taraqi kar sakenge.

baaz logon ka ye zahan hai k ye nizam e taleem angrezon ka hai to hamari naslen bhi ye taleem hasil karke unhi jaisi hojayengi.te unka ye qayal ghalat hai.jab maulvi nazim sahab se unke walid ne poocha tha k aap angrezi seekh kar kia karenge(kyunke k wo is language se nafrat karte thei).to maulvi nazim sahab ne kaha main angrezi seekh kar quran ka tarjuma english me karunga.aaj hum englsih zuban ki mukhalifat karte hain laikin hum dekhte hain k jo log iski mukhalifat karte hain unhi ke larke larkiyan angrezi zuban me taleem hasil kar rahi hain.

ksi qaom ya mulk ki pahchaan uski zuban nahi balke uska culture aur uski tahzeeb hoti hai.zubanein to dunya me kayi aayin aur kayi mit bhi gayin american surey report k mutabeq dunya me har roz 1 zuban mit ti jaarahi hai.laikin ye qaomein aaj bhi apni shnaqt k saath zinda hain.agar hum waqayi urdu ko bachana chate hon to hamey chahiye k hum apne schools me ek period urdu language ka rakhen taake iski baqa umkin hosake.aur aayinda aane awli naslen isse mustafeed hon.

angrezi nizam e taleem ki ahmmiyat hum is vdeo se bhi laga sakte hainjo arfa kareem rahimahumullah ka hai jisne apne ek interview me kaha tha mulaheza farmaye.

 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
waliekum assalam..
mere bhai janab arshad sahab ne kafi achi ach tafseel pesh ki .me unki kuch points per agree kerti hoon,,
es baat se i nkar nahi kuya ja skta k ajakl ki period me english aik common use hogya hy baron se lekr bachoon tak english ko log kafi tarjeeh de rahe hian es bech agr ksi ko kam value mil rahi hy wo hy hamri qomi zuban urdu,,
jab ke urdu zuban english se kafi behter hy,,hamre pakistan me balke dosre mulkon me aik ehm communication hy,,english seekhna koi masla ya buri baat nahi hy..hm kabhi nahi chahenge k english se koi munh mor dey ..magr english se urdu se ziyada tarjeeh nahi di ja skti..jis englsih ki hm baat ker rahe hian wo hamri national languge nahi hy,,,use bolne wale angrez log kya hmari languge me bolte hian ?to phr unki kun copy keren?
urdu ba tehzeeb aur adab se bhari aik boli hy ,,agr hm kafi saal phel chale jaeyn to hmare mulk ki kitni mahan hastiyan hian jinho ne urdu me aik ehm maqam hasil kiya ..jis me hamre qomi shayer janab alama iqabal,,aur mirza galib jese mashoor shyer hian jinho ne na sirf apne ursu potery me apna naam roshan kiya balke urdu adab ko us makam tak pochnchya jaahn aaj b urdu adad ka naam fakhr se liya jata hy,,
ajkal english aik modern society ka zariya bangyi hy ..language ki apni ajag magr kuch log use bolne me apni shan smjhtey hian,,ye to aisa hogya k english seekhi aur qualified hogye,,jabke aik achi aur khalis urdu seekhna b apne aap me aik qabiliat hy,,urdu na sirf hmari tehzeeb ka ehm rukun hy balke hmari pehchan ka aik ehm zariya b hy jese hm qtan english se kam tarjeeh nahi de skte ...aap dekhogye duniya bhar me balke hamre apne mulk me english ko log bare chah se bolte hian...her eng bolne wala khud ko qabil aur qualified smjhta hy,,,offices me pion se lekr boss tak eng bolne me aagye hy aaj,,,phr kya wohi poin qualifeid khelayega???zahir hy english ka bhes lekr wo apni pehchan nahi badal skta...agr aaj hm english ko apni qomi zuban se ziyada tarjeeh denge to hm me aur magribi logo me kya farq re jayega?libasan hm pakistani rahnge mgr hmare bolne ka andaz kya hmari asal pehchan ko barkarar rakh payga..?

 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Asalam-o-alaikum Wrwb!
This is my first reply related to the given topic..
Kya English Language ko apni Qomi zuban se zyada ahmiyat dena theek hei ya nahi?
I think ager hum english ko zyada terjeh dete hain apnay qaumi zaban se tu es mei koi buraye nai
kio k humare Qaumi zaban humare native language hai, which we,ve learned from birth and jesay kabhi bhol nai sakte, and aise mei english ek aise language hain jesay hum schools and universities mei seekhna shoro kerte hain for the matter of our studies jaha pe mostly urdu language ya koi bhi native language ho uske zyada usage nai hoti so in that case we Should give more importence to english language... kio k yeh ek international language hain jeska donia k her country mei jayenge you can easily speak to the people of that country and aapnay Studies ko more develope kerne k lie aaj kal k generation american Books k zyada mutalea kerte hain jes se zyada knowledge gain kerte hain tu ofcourse aise books ka melna english mei hoga and buhut kum prior books k urdu translation melenge tu ager serf pure urdu person ho and voh yeh book padhna chahe and due to lack knowledge of english language he couldnt understand so pir kia faida so its quite difficult k hum khud ko educated samjhe voh bhi bena english jane.. eyh baat ghalat hain k english seekhne se hum maghrabi logo ko promote ker rahe hai aisa ager hain then eska Bada Misal mai Dr zakir naik ka dungi jenke talimat english language mei hue jab k unke Urdu thori se weak hain, but he is the one who invites many american and british people to Islam and Alhamdulilah buhut se maghrabi loug Islam kabool kerchuke and ker rahe hain just because they get to know more about Islam and just because Dr. Zakir naik k mostly English lectures hote hain tu unke yahi english Language aaj donia bher mei kafi logu tuk Islam ki awaz phauncha rahe hain..so kia yeh ghalat hain??
ager aise naik kaam k lie hume English ko apnay qaumi language se zyada ahmiat dene chahye so ofcourse I'll be the first one... kio k humare qaumi zaban humare paighaam serf humare loug tuk phauncha sakte hain jub k international language se humare paigham puray donia tuk phonch sakte hain so now aap khud he distinguish kare k humare country,humare generation and humare mazhab ki priority and developement kaunse language se zyada hurahe hain? English or qaumi zaban...
and pir aap khud yeh bhi soche humare daily usage k mutabek english ba nesbat khud k motherhood tongue se kitna zyada bola and likha jata hain, cell phone pe sms kerne k waqt, internet mei search kerne k waqt and abhi humara mostly debators k font bhi english mei likhe jarahe hain so voh language jho itna kaam kerta hain usay seekhne k bena hum kaun kaun se kum nai kersakenge yeh soche zra...
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam Sabah sis
i think is mein bohot zyada buraiy hai kyunke unke qoumi zaban ko apnana humara
pehla step hoga apni khudi ko khone ki taraf ka eik waqt mein jab hum top per the

matlab muslims kya angreizon ne humari zaban mein parhna likhna shuru kar diya tha.???
nahin per aaj woh super power hain humari taraqqi apni buraiyon chorne mein hai
naa ki zaban badalne mein hai

aur URDU ko hum tab bhoolne hi lagengein naa jab isse zyada kisi aur zaban ko tarjeeh dene
lagengein kyunke eik waqt mein hum ise salam karte the aaj hum isse aur zaban se nichla
qaraar de rahe hain aur kal ise bhoolne mein dier nahin karengein

English parhne se yahan koi kisi ko manah nahin kar raha per english language ko seekh lena
alag baat hai aur sirf English bolne walon ki taraqqi ke wajeh se English hi ko support karna
kahan ki aqalmandi hogi????

ji mujhe nahin lagta ke English ko kam importance mila hai Pakistan mein
jab ke hum ne ise apna Officially zaban tak bana liya hai

aur jab yeh keh chuke super stars ke english seekhne parhne bolne mein
koi buraiy nahin to jo english bolna parhna jaanta hoga uske liye
English book ka mutaleh koi mushkil baat nahin hogi naa???

aur is sabab humein angreizi seekhne ke bajaye translate karne walon mein
izafa karna chahiye un achhe books ko itni qadar deni chahiye ke books banane
wale khud translations bhi launch karne lagein PAKISTAN bheijne ke liye
jaise ke windows aur mobile compiniez wale karne lage hain

agar hum aaj unki zaban ko achha maan ker raah e kamyabi maan ker us hi pe chalengein
to kal hum apni rehen sehen bhi un jaisi kar hi lengein so humari taraqqi ka kya faaida
jab hum apni wajood ko hi khone lag jaayen

aur jis tarah se aap ne doctor Zakir naik ki misal di ke woh English mein bayan karke
ghair muslims ko muslims kar rahe hain aur bhi kuch aisa

to behna aap ise wrong way mein le rahi hain Zakir naik
english speech ke sabab dekhe sune nahin jaate apne
ilm apni aqaliyat ke sabab dekhe sune jaate hain
english mein bayan kyun na sirf tab kiya jaaye jab aap angreizon
ke darmyan bethe hon jaise ke Tahir ul qadri karte hain

aur in mohtaram ne bhi ghair muslim angreiz ko islam ki dawat di
aur qabool karwaiy

aur inke ilawa bohot se aise ulma hain jinke bayan to arabic mein hi hote
hain per unhein angreiz khud translate kar kar ke sunte hain ke jaanein to
durust kya hai yeh moulana bohot hi mutaffiq bayanaat karte hain

so mudda simple hai

ke hum English bol ker achhe nahin ho sakte
balke hum Achhe bol ker auron ko Urdu bulwa sakte hain

agar aaj english misilan hum ne URDU se zyada value English
ko de di aur phir China super power ban gaya to phir hum chinese
banne lagengein????

aur bila shuba english mein achhe achhe khitab karne ke liye hum bhi
taiyar hain agar humare ilm hasil karne ke baad yeh karamat ho gaiy ke
humein non muslims angreiz ke darmyan khare ho ker bayan karne ka mouq mila
per tab hum hargiss english nahin bolengein naa jab hum apne mulk ke andar
bayan de rahe hon

aur development kisi ki language bol kar nahin hoti agar aisa hota to Pakistan mein
jitne bhi angraiz bhangi hain woh bhangi nahin rehte balke har buland ohde per
faaiyz hote wahi aur URDU bolne walon ko jhaaru haath mein hota

English aaj ki tareek mein bhi 40 percent Pakistani bol hi lete hain
to kar liya un lougon ne mein TM users ki hi misaal deta hoon yahan ke sub members
English achhi khaasi jaante hain to kya kar liya in lougon ne english ko parh ker
jo ke aur zyada bhi parhna chahengein

humein Angrezion ko taraqqi yaafta cheezon ko apna ker unhein apne Zaban mein naam dena
hai unhein apne haan bhi eik pehchaan deni hai phir use kahengein taraqqi
naa ke zaban ki tabdeeli ko taraqqi kehte hain

to baat aapki bhi waheen aa gaiy ke English mein net search kar rahe hain SMS kar rahe hain
aur din mein achhi khaasi english bol bhi lete hain leikin is waqt bhi humare alfaaz urdu hi mein
ada ho rahe hain taraqqi ke liye hum agar sub se pehle urdu kitabein parh lein aur phir aage
jaana chaahein to kitna hi bhala hoga.????

aur English bol ker hum Net use kar sakte hain mobile istemaal kar sakte hain aur bhi bohot si aisi
cheezein kar sakte hain

aur URDU se zyada bol ker likh kar samajh ker hum khud ko barbaad bhi kar sakte hain kyunke agar English
seekhte seekhte angreizon se Chinese aage nikal gaye tab tak to hum to english bol bol ker angreiz ban
chuke hongein phir hum bolengein aare ab chalo chinese ki taraf they are more successfull now aur phir
Hindi pe bhi aa sakte hain so correct keep changing languages dont concitrate on how to be successfull
really

agar URDU ka apna mulk hi URDU ki value gira de to is mulk ka kya faaida huwa.????

at last i will say

urooj pe angraiz hain english nahin unke cheezein unke research ko humein rename karne mein
koi zyada waqt nahin lagega

is hi urdu zaban se aise aise loug aaye ke fazl e ILAHI se sadi guzarne ke baad bhi hum unheen ko
parha karte hain

agar zaban ki tabdeeli taraqqi ka raaz hota to angreiz poetry nahin shayari kehte kyunke
hum is meidaan mein sub se aage hain aur rahengein bhi insha'ALLAH
per kuch na samajh chaahte hain ke hum urdu ki value ko English se hi kam kar dein

aur rahi baat Arshad bhai ke share kiye huwe
us speech ki to us speech mein Arfa r.a ne kaha ke british
system ko hum ne late start kiya
mulk mein aurkaha ke
humein basic change karna chahiye
hum education ki taraf nahin hain
mujhe is sharing mein kahin nahin
dikha jahan kaa gaya ho
URDU se better to english hai
balke us speech mein education
system ki baat ki gaiy hai
thats it.......
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
well say bro chirag ap ne kaha k hum auroon se urdu bulwa sakty hein lkn kis tara ap janty hein hein k foreign countries k qadam se qadam mila kr chalne ko taraki krna bolty hein lkn abhi taak kitni countries esi hein jin ko pakistan ka naam taak nae maloon kiyun ?????isi waja se k hum abhi taak us level taak puhanchy hi nae hum hr baat me urdu ka sahara lete hein jb k hume us muqam taak puhanchne k lye international language chahiye is waqt ,in pakistan english language has a very important position
in our educational curricula
english is language of comerce and industry
Language of science and technology
Lenguage of higher education
Language of international diplomacy

the english has the standard terminology in all sciences and technology ,there proper translation is not available in our national language (URDU) we can not make use of the great advancement of modern sceience without standard terminology available in the english
ab ap dekhein 1942 me bi urdu zubaan thi lkn Quaid ne kiyun sab ko waha ki zubaan sikhne aur waha ki mojoda taleem sikhne ko bola tha tb bi english hi thi wo janty thy k urdu me muslim apna wo muqam nae pa sakty jo english sikh kr hasil kr sakty hein aur unhoon ne kya bi .........thats it k agr hum english ko urdu pr kuch foqiyat de rahe hein tu koi galt baat nae kiyun k hume bi isi era k lihaz se sab ko maat dene k lye internation language ki zaroorat hai english is one of the most important means of promoting international understanding and co operating , today the world has turned into a global village our relation with other nations are on co _operation and mutual understanding ,for this purpose english can play a very important role promoting understanding with other nations of the world
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
faari sis ki baat theek hai ....lakin,

jaisa k main pehly b bta chui hoon k bohat say aisy mumaalik hain jinon ny apni language k bal booty pr taraqqi hasil ki...to hum kion nahi kr skty?

English seekhan chahiye bolna chahiye lakin is ka ye mtlb nahi k hum apni Qomi zuban ko pas e pusht daal dain....aakhir ye sb Pakistan main hi kion?

Urdu hmaari Qomi zuban hai or hamen na sirf is ki respect krni chahiye bl k isy zinda b rkhna chahiye kion k ye hmaari identity hai...

or rahi baat taraqqi ki to zuban doosron ko taraqqi nahi dia krti bl k ahl e zuban khud zuban ki taraqqi ka bayes bnty hain....to hamen b apni Qomi zuban ki taraqqi k liye sochna hoga...


urdu zuban main zubaan-daan (linguists) kaam nahi ker rahy.... jaisy k english main her nai ejaad k saath dictionary update ker li jati hai ...

ab agar zuban daan kam nahin kr rahy to is ka matlab ye hai k jo lughat pehly ban chuki hai Usko bhi khatam ker diya jay ........
hum kam az kam mojooda lughat ko to zinda rakh saktay hain na aur kiya maloom ehsaas delany per aur koshish kerny per hum main say hi zuban daan bhi paida ho jayen jo k lughat ko waqt kay sath sath jadeed alfaz say arasta kernay ka bera utha lain....


Baat to ehsaas ki hai na
jab zaroorat paida hoti hai to ejaad bhi hoti hai ...........wo kehty hain na zaroorat ejaad ki maan hai ..........so agar hum apna kaam doosri zuban kay alfaaz say chala ker tasalli sy baith jayen gay to kabhi naye alfaaz takhleeq nahi paa sakty bal k purany bhi matrook hoty jaty hain ......... sochny ki zaroorat hai .......yeh aik lamha-e-fiker hai....

agr hum Urdu ko chor kr English k peechy hi bhaagty rahy to aik din hmaari
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Wa'alaikum assalam Sabah sis
i think is mein bohot zyada buraiy hai kyunke unke qoumi zaban ko apnana humara
pehla step hoga apni khudi ko khone ki taraf ka eik waqt mein jab hum top per the

English parhne se yahan koi kisi ko manah nahin kar raha per english language ko seekh lena
alag baat hai aur sirf English bolne walon ki taraqqi ke wajeh se English hi ko support karna
kahan ki aqalmandi hogi????

ji mujhe nahin lagta ke English ko kam importance mila hai Pakistan mein
jab ke hum ne ise apna Officially zaban tak bana liya hai.

agar hum aaj unki zaban ko achha maan ker raah e kamyabi maan ker us hi pe chalengein
to kal hum apni rehen sehen bhi un jaisi kar hi lengein so humari taraqqi ka kya faaida
jab hum apni wajood ko hi khone lag jaayen

aur jis tarah se aap ne doctor Zakir naik ki misal di ke woh English mein bayan karke
ghair muslims ko muslims kar rahe hain aur bhi kuch aisa

to behna aap ise wrong way mein le rahi hain Zakir naik
english speech ke sabab dekhe sune nahin jaate apne
ilm apni aqaliyat ke sabab dekhe sune jaate hain
english mein bayan kyun na sirf tab kiya jaaye jab aap angreizon
ke darmyan bethe hon jaise ke Tahir ul qadri karte hain

aur in mohtaram ne bhi ghair muslim angreiz ko islam ki dawat di
aur qabool karwaiy

aur inke ilawa bohot se aise ulma hain jinke bayan to arabic mein hi hote
hain per unhein angreiz khud translate kar kar ke sunte hain ke jaanein to
durust kya hai yeh moulana bohot hi mutaffiq bayanaat karte hain

so mudda simple hai

ke hum English bol ker achhe nahin ho sakte
balke hum Achhe bol ker auron ko Urdu bulwa sakte hain

agar aaj english misilan hum ne URDU se zyada value English
ko de di aur phir China super power ban gaya to phir hum chinese
banne lagengein????

aur bila shuba english mein achhe achhe khitab karne ke liye hum bhi
taiyar hain agar humare ilm hasil karne ke baad yeh karamat ho gaiy ke
humein non muslims angreiz ke darmyan khare ho ker bayan karne ka mouq mila
per tab hum hargiss english nahin bolengein naa jab hum apne mulk ke andar
bayan de rahe hon

aur development kisi ki language bol kar nahin hoti agar aisa hota to Pakistan mein
jitne bhi angraiz bhangi hain woh bhangi nahin rehte balke har buland ohde per
faaiyz hote wahi aur URDU bolne walon ko jhaaru haath mein hota

English aaj ki tareek mein bhi 40 percent Pakistani bol hi lete hain
to kar liya un lougon ne mein TM users ki hi misaal deta hoon yahan ke sub members
English achhi khaasi jaante hain to kya kar liya in lougon ne english ko parh ker
jo ke aur zyada bhi parhna chahengein

humein Angrezion ko taraqqi yaafta cheezon ko apna ker unhein apne Zaban mein naam dena
hai unhein apne haan bhi eik pehchaan deni hai phir use kahengein taraqqi
naa ke zaban ki tabdeeli ko taraqqi kehte hain

to baat aapki bhi waheen aa gaiy ke English mein net search kar rahe hain SMS kar rahe hain
aur din mein achhi khaasi english bol bhi lete hain leikin is waqt bhi humare alfaaz urdu hi mein
ada ho rahe hain taraqqi ke liye hum agar sub se pehle urdu kitabein parh lein aur phir aage
jaana chaahein to kitna hi bhala hoga.????

aur English bol ker hum Net use kar sakte hain mobile istemaal kar sakte hain aur bhi bohot si aisi
cheezein kar sakte hain

aur URDU se zyada bol ker likh kar samajh ker hum khud ko barbaad bhi kar sakte hain kyunke agar English
seekhte seekhte angreizon se Chinese aage nikal gaye tab tak to hum to english bol bol ker angreiz ban
chuke hongein phir hum bolengein aare ab chalo chinese ki taraf they are more successfull now aur phir
Hindi pe bhi aa sakte hain so correct keep changing languages dont concitrate on how to be successfull
really

agar URDU ka apna mulk hi URDU ki value gira de to is mulk ka kya faaida huwa.????
I Would like to qoute and Reply Chiragh Bro!
Baat yaha pe angraizo ko Imitate kerne ka nai hain Baat hain yaha pe International Language ko zyada importance ka hain chahe voh angraizo ka he ho but hum tu yaha pe International langugage k bunyaad pe eske favor mei bol rahe hain, jessay serf hum nai balke puray donia maante hain... pir aise language jeska puray donia, jaante hu usay importance dene mei humare hasool aur developement kharab hune ka and humare rahen sahen un jaiso k hune ka, kia taluq hain.. aur es se urdu ki value khatam nai huti aur mulk mei ab kaunse faida mel raha hain awam ko jho k English language k wajah se aur nuksaan hugi, aise typical soch pe I feel strange kio k yeh soch 20th century k logu k paas bhi nai the pir 21th century mei kaise paida hue... shayed aaap bhol gaye hain 20th century k Mohammad Ali jinnah leader of the nation ko, unke bhi Taleemat english language mei hue the but unhone apanay ese taleemat se pakistan ki history banaya tu kaise aap kah sakte hain k Angraizi zuban humare success nai ban sakte... jho k ek english Speaker khud Pakistan ka founder bana!

aap kah rahe ho k ager hum dusre zuban ko zyada ahimat dene lage then ek den aapna qaumi zaban bhi bhol jayenge... then let me tell you,mere khud ki native language Persian hai, I know pashto very well haa bolne mei problem hain, even I know urdu also but actually mai Urdu ko ajkal zyada terjeeh dene lagi hu aur zyada bolne ki try kerte hu mere pronunciation beshuk utne ache nai but I try my best to improve my Urdu and at the same time English bhi seekh rahe hu jub k mere khud ki language mei koi masla nai araha....
aur jaise k aap ne saath mei Tahir ul Qadri ka misaal diya and kaha k bena voh english urdu mei he ghair muslims ko Islam ki dawat dete hain, yeh buhut ajeeb baat hain k voh ek Alim hoker ghair muslim ko serf islam ki dawat nai balke unke occassion ko bhi celebrate kerte hain I saw a video of him in youtube jaha pe janab christians k saath Christmas day Celebrate ker rahe hain... kitna ajeeb hain aap kah rahe ho k angrzio k zaban ko zyada ahmiat dene se unke rahen sahen apna lenge pir aapke kahne k mutabek yeh tu angrazi zaban ko zyada tarjeeh nai dete pir Christmas kaise celebrate kiya...
so brother Let me Tell you ager insan k saath shaur aur aqal ho tu voh itna zaroor fark kersakta hain hain k language jho bolna hota hain so uske cultures voh way of life nai ban sakte buss life k her kadam pe jho k different type of destination melenge unke logu k saath manage kerne ka aur apnay manzil tuk phauchnne ka buss ek zerya hain..
yeh tu aapki khud ki tehzeed and faith ki baat hain k aap serf zaban ko apna lete hain ya pura culture ko...
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
to agar yeh baat hai ke saari dunya ise international language jaanti aur maanti hai
to saari dunya to is language ko apne qoumi zaban se zyada value nahin deti

china ko dekh lein Iran ko dekh lein India ko dekh lein Saudia ko dekh lein
to hum hi kyun.????

hum aaj ke dour mein English ki taraqqi se inkaar nahin kar rahe english parhna aaj
ki tareekh mein zaroori hai khaaskar professional job ke liye English eik zaroorat hai
per URDU farz hai aur is per qoum ko gharaz hai urdu laazmi hai humare liye
kyunke yeh humari qoumi zaban hai aur in alfaaz ka matlab hai ke yeh PAKISTANION
ki zabaan hai hum kahin ise hi chorh dengein to bahir mulk jaa ker taraqqi karke
kya kar lengein English ki value jitni bhi ho English ko seekhna koi badi baat nahin
uska course ab to chand dinon mein mukammal ho jaata hai masha'ALLAH mene
dekha hai students centres se angreizon ki tarhf english seekh ker nikalte hain
to thats enouf ke hum English ko eik zaroorat tak hi rakhein aur pyar mohabbat
fakhar gharaz aur ehmiyat apne qoumi zaban ko dein zinda qoumon ki pehchan nahin
apni qoumi cheezon ko kho dena

mulk mein is waqt eik sub se bada faaida URDU se humare risaalon aur ashaar hain URDU
ke rouz ba rouz mazeed shayar ubher rahe hain jinki kitabein deegar mumalik mein jaa rahi
hain aur mashhoor ho rahi hain
agar URDU mulk hi urdu se zyada aur zaban ko value dene lage to value rahegi kahan

sis zinda zameer aur murda zameer loug har dour mein aate hain bas faraq hai ke koun kahan
kisse takarta hai agar qoumi zaban pehchaan na banti to Urdu pe dabao kyun dete humare
Quaid humare buzarg aur aala shayar urdu ke liye nazmein naghmein tartane ghazalein kyun
likhte

ooh behna to aur kitni dafa kahoon ke english parhne mein koi harj nahin balke use apne qoumi zaban se
zyada value dene mein harj hai aur kya Quaid ne kkabhi kaha ke english ko zada value do

aur apne misaal di uspe no comments sorry phir meri taraf se comments personal ho jaayengein

aur phir tahir ul qadri ke life pe baat chali gaiy jo mujhe on the topic hi nahin lagi so uska
jawab kahin aur de dengein insha'ALLAH

kya pata aaj us insan ke shaoor ne use english zaban mein behetteri dikhaiy kal unke culture mein dikha
de aur phir kisi aur shey mein behetteri english ko apnane mein nahin hai behetteri khud ko
sudhaarne mein hai

URDU woh zaban hai jise poori qou salam karti hai is zaban se humein shayar humein shaan o shaukat ki
sabab bani hai kaise.??? yeh bolne ki zaroorat nahin sub hi jaante hain

kya jab Hum top per the aur humari zaban sub se achhi maani jaati thi
tab koun koun urdu speaking bana.????
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Mere baate sabhe saaf and Clear hain, mai voh baate kah rahe ho jho general hain aajke life mei jho sab dekhe and suni hain serf sunne hue nai bata rahe aapko... Country ko lekar jitne masayel hain us pe ghaur karenge then language ki baat sub se least point hugi so yeh k english ko zyada tarjeh de ya urdu ko its not a deal and matter to pondor about... baki jes countries ki reference aap derahe ho ager voh loug aapnay language ko itna he importance derahe hai then unke products mei zyadater english language kio hote hain? because they know yeh product kahe bhi jaye eske use kerne ka tareeka logu ko samajh ayegi...khair... yeh debate hain ager mai jitna he aapko about this topic reference du so it wouldn,t end.. tu oper de gaye mere jho points hain they are enough to make it clear what I think about this topic..
Regards...
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ASSALAM WALIEKUM
DEAR SISTER SABAH{(thx)}
ye sach hy k debate ko jitne points batyen jayen wo kam hian..aap apni taraf se koshish karen aur hm apni taaraf se karenge ..
ok lets move on to the topic..
forign countries agr apne products eng me marketing kerti hain ..bcoz unki real lang eng hy.wo eng bolty hian to zahir hian ksi b porduct ki amrketing eng me hi karnge na,,but hmare mulk me hmare productsbhale english names per banye jayen sale to urdu me hi karnge na..
baat yahan phr wohi jati hy,,ks languge ko kitni ehmiat di jye..agr froiegn countires b hmari trha urdu per apne products ki marketing kaerga to sunne me kitna ajeeb lagega ..phr hm pakistani log kun unki language ke peehce bhag rahe hian,,
dunioya bhia me boli jane wali english ko ziyada tarjeeh dena hm muslim poepls ko magribi saqafat ke qareeb laana hy,,
aaj eng la level itna bhr raha hy k log ajakl salam b eng me helo hi ker de rahe hian ..wo din door nahi kab hm paksitani log aik dosre ko salam kerna b bhool jeynge..baat english ki burayi ki nahi ..education department me english languge ko ehmiat dene wa;e insitute b mantye hain eng me hi her subject hiona chahiye but ,,jo hamri zuban hy urdu kya us me subjects hongye to kya hamri knowledge kam hojyegy?
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Sab se pahlay main khushi sis K aak reply ka Jawab dena chahon ge. Woh yah k urdu as Compulsory subject sirf PAKISTAN main perhia Jata hay not world wide..! Humari Mukahlif team k sabhe Frends nay un countries ki example de jinhon nay English Language adopt kiye bina Taraqi ki. Tu humain is reality ko bhi samnay rakhna chahiye k in sab countries ki Economy kitne strong hay, un ki money value n man power kitne High hay, In main se akser First world countries hain..! so unhon nay apni strong economical power ki base pe taraqi ki na k apni native Language ki Base pe. Pakistand Jin Financial crisis se guzar raha hay aur is ki economy Jis terah buri se HIT ho rahe hay. Wahan ager hum being Pakistan International Forum pe Ja ker yah kahain k hum world wide Trade sirf ussi surat main keran gay Jab humari National Language main hi communication kia Jaye ga ! Tu Humari baat ki koi value nahi ho ge because in Current situation humain agay bharnay k liye doseray countries k sath mil ker chalnay ki zurorat hay na k unhain humray sath..! yah wahi matter hay "Jis ki Laathi us ki bhains". Jin countries ki National language English hay woh duniya pe apni economy aur other developments ki waja se chaye huye hain so woh apni Language ko strong economical power ki waja se spread ker rahay hain acrose the world. So kise bhi mulk ko Tarqi kernay k liye strong Economy and Financial strategies ki zuorat hote hay na k Language ki. So ager hum chahtay hain k urdu Interntaional forum pe humari pehchan banay tu pahlay humain apnay country ko Financially us level pe laana ho ga Jahan hum apni baat manwa sakain.

Khushi sis nay kaha k Humain apni zuban bolnay main ahsas-e-kamtari hota hay so hum ahl-e-maghrib ki zuban ko tarjeeh detay hain…! Main kahon ge Jahan humain urdu bolnay ki zuorart hay wahan sirf urdu hi boli Jaye Laken Jahan urdu masalay ka hal nahi wahan English bolna koi ajeeb yah sharm ki baat nahi. Kyun k sirf English language bolnay se hum western nahi ho Jatay. Jis ki bari Examples, sir syed Ahmed Khan, Quaid-e-azam aur aisay bohat se naam hain Jinhon nay English perhi, English main apna piont of view biyan kia Laken woh kitnay baray muslims aur Patriotic thay yah un k dushman bhi mantay hain. English Language is Jus a medium of Communication acrose the world. Humain isay aana ka masla nahi banana chahiye balkay is ka positive use ker k agay bharna chahiye.

Computer can understand urdu Laken un countless logo ka kia Jo urdu nahi jantay aur internet pe un se communicate kernay k liye humain English ka sahara laina parta hay. One of the main reasons why the English is dominant in the present time, use it in the field of education by universities and institutes and, they use it in scientific research. It has become an addendum to the mastery of scientific individual stock. On the other hand, the English is an important requirement in most government jobs and private. Jo compnies online Bussiness k liy employers hire kerti hain, Online Trade kerti hain un ki basic requirement English hay. so English Language jannay ki waja se kitnay logo ka rozgar in compnies se jura hay. aap jitney marzi talented hain laken Jab aise post k liye interview denay jatay hain Jis main English aana zurori hay tu aap ka talent pani ka aak bulbula sabit ho ga .Hum jitney merzi Educated ho jain laken Jab hum internet pe yah real world main kise aisay person se baat kertay hain jo urdu nahi janta aur woh humain bolay k “I know English would u translate it in English please” so at that stage we are Just an Educated stupid..! Who even don’t know to convey his/her msg to others?

Aur Jis dor ki baat aap kertay hain k muslamano nay apni zuban main taraqi ki us waqt musalmano ka urooj tha woh strong thay non muslims ko bhi un ki Language ko adopt kerna para cuz unhain us dor k mutabiq agay bharna tha. Aur aaj non muslims urooj pe hain so humain un ki language seekh ker agay bharna hay. English is not a passion or Fashion anymore but it is a necessity today to move in Global world. so ager hum isay apni National Language se zyda Imporatnce detay hain tu yah waqt ka taqaza hay..!

 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
Hooria sis main aap ko btana chahti hoon k English say hamen koi problem nahi hum maanty hain k is wqt english zaroori hai lakin hum apni Qomi Zubaan ko peechy chorty jaa rahy hain us ka kia?

or jaisa k aap ny kaha un mumalik ny apni zubaan ki base pr nahi bl k economical power ki base pr taraqqi ki....

to main ye poochna chahti hoon k agr unon ny apni economical power ki base pr taraqqi ki hai to mukhalif team ye baat baar baar kion keh rahy hain k bohat say mumaalik ny English language ki base pr taraqi ki ?

English aaj bain ul aqwaami ahmiyat ki haamil ho chuki hai lehaza is k seekhny ya bolny say main inkaar nahi kr rahi or na hi krna chahiye....msla ye hai k hmaari apni Zubaan k saath hmaari amoomi rawiyya kia hai?kia aap apny ird gird nzr nahi doraaty?kia aap ko bohat c misaalen aisi nahi milteen k hum log apni zubaan k saath dghaa krty hai....hum apni zubaan k saath sotely pn ka muzaahira krty hooye isy un jgaaoon pr bolny say b ktraaty hain k jahan khasoosiat k saath boli jani chahiye.hum shrmaaty hain urdu boly hooye or English tooti phooti bol kr b fkhr ka muzahira krty hain.

mukhalif team ny english ko technology ki zubaan kaha...to main kehna chahoon gi k technology ki apni koi zubaan nahi hoti kion k technology bunyaadi tor pr ilm a aik aisa qzia hai jo chnd sabit shuda hqayeq k saath zahoor main aa kr ilm bnta hai....
lehaza is ka kisi b zubaan k saath braah e raast koi taluq nahin...or is k saath saath zubaan b bzaaty khud kisi ilmi qaziye ka naam nahi...bl k zubaan say pehly b ilm mojood tha lehaza khud zubaan ko braah e raast ilm qraar nahi dia ja skta.jb k zubaan kisi b ilm tk puhanchny ka or is ko aagy brhaany ka aik zariya zaroor hai...

lehaza hamen chahiye k angrezi zuban jo is wqt ilm tk rsaa e ka sb say bra zariya smjhi jaati hai isy zaroor bilzaroor seekhen mgr is ka mtln hr giz ye nahi k ilm sirf English zubaan main hi mehdood ho gya or sirf wahi ilmi (technology ki) zubaan kehlaany k layeq hai.

English ilm ki zubaan ka drja paa chuki hai mgr ilm saary ka sara fqt English main hi nahi or ye b yaad rahy k English ko ye drja khud English ki hesiat say hasil nahi hooa or na hi is zubaan main koi bohat zyada khasoosiaat theen k ye aaj bain ul aqwaami zubaan bnti bl k English bolny waaly ahl e zubaan ny is zubaan ko is muqaam tk puhanchaya.

wrna ilm or technology to us wqt say bohat pehly b thi k jb English language ka koi wajood b na tha.
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam mein janab Taiyab bhai ko batana chahoonga ke urdu ke shedaiy
thetars dramas aur web sites tak mehdood nahin rahi balke urdu kahaniyan urdu
books urdu poetry dunya bhar mein aaj bhi shaya hotin aur parhi jaati hain ALHAMDULILLAH

aur URDU ko pasand karne walon mein kabhi kami nahin aaiy balke izafa hota jaa raha hai

aur aap ne kaha ke aisa bilkul nahin ke zaban sirf taraqqi ka bais hai
to hum bhi wahi baat kar rahe hain ke English ko zaroorat tak aur parhaiy tak mehdood rakhi
jaaye har jageh iska istemaal na kiya jaaye aur na hi ise URDU se zyada ehmiyat di jaaye

aur janab ki eik aur baat ke un computer courses mein pass hone ke liye ya certisfied hone ke liye
exam english mein dena parta hai to usse ab tak kisi ne aetraz zahir nahin ki humari team mein se
humara aetraz URDU per English ko fouqiyat dene ki hai

to qissa e mukhtasir bilkul hi durust hai aur mein apne pehle post se kahe jaa raha hoon ke
zaroorat ke liye angreizi seekhna parhna bolna koi buri baat nahin

aaj ki tareekh mein bhi ALHAMDULILLAH dunya bhar mein URDU bolne wale loug hain aur URDU scientists
bhi hain na jaane kitne hain bila shuba unhein bohot angreizi aati hai aur woh urooj per bhi hain
but they are working for USA why not for us.???

wahi jo URDU bolte huwe paida huwe phir bade hote hote angreizi bol bol ker angreiz bane aur aaj
USA ko cheezein eijaad kar kar ke de rahe hain

dunya ke sub se kam umera MCP ka fav subject URDU tha aur unhein URDU mein storiez parhna achha lagta tha

Police ko sub se eijad karne aur naam dene walon ne naam rakha tha iska Policia
phir angreizon ne ise Police kar diya matlab unke eijaad ko apne mulk mein apna naam diya

Sui to musalmaanon ki hi eijaad hai phir bhi ise sub hi ne aage barhte barhte apne zabanon
mein khaaskar apne qoumi zabanon mein naam diya

aur bhi aisi bohot si misalein hain jo mulk ke apne zaban ko ujagar karne mein bhalaiy ko sabit karti
hain

jab yehi Angreiz zawal pazeeri ke shikar the tab in lougon ne URDU aur irabic nahin seekhi kyun.????

humein agar apne qoumi zaban ko chorh kar unki naqal karni shuru kar di to is tarah ki taraqqi ka
kya faiyda hoga aur phir schools colleges aur centres ke bahir bhi english ko hi support karna
english ko hi parhna bolna kaise mulk ke mufaad mein aa jayega

misilan mulk ke 99% loug english seekh gaye to kya ho jaayega faaiyda humara.????

humare delevopment ka raaz zaban ki nahin soch ki
tabdeeli mein chupa hai

at the end i will like to say

hum barbaad ibtidah se na the hum barbaad ab huwe hain yaani abhi ke kaamon ke sabab
barbaad huwe hain to humein apne buzargon ke teyh shuda cheezon ko nichla dikhane
aur unke saath khilwahat ke bajaye yeh karna chhaiye ke hum sochein hum ne kya kho diya
hai ab jo pehle tha humare paas naa ki zabanon ki value se taraqqi lene ka sochein
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Assalam o Alaikum Dosto

Kafi behess ho chuk hy is topic per tu ma nay sub k views pernay k bad socha k ma be kuch hiss apna daal do sub k views kafi interesting hy chahay wo favor ma ho yeah us k opposite

khair mujhey tu is against he jana hy is liye ma tu is ka against per tabsar karo ga

Debate ka aghaz main is baat se karna chahoon ga ke jo loog apni saqafat ko nazar andaz kar ke dosroon ki saqafat ko apnaney ki koshish karte hain woh pasti main chala jate hain aur us ki aisi hesiat hoti hai ke na ghar ka na ghaat ka. is ka ibtadai jumla moozoon nahi tha is lye nahi bol raha..

debate ka topic hai ke kya english zuban ko urdu zuban se zyada tarjeeh dena chaye. main apne mukhalif team ke dostoon se kahon ga ke woh ub tak ye samajh rahe hain ke hum english zuban ki mukhalfat kar rahe hain to un dostoon ko ye bolna chahoon ga ke hum urdu ko defend kar rahe hain mukhalfat kisi zuban ki nahi .. qoomi zuban har mulk ka sarmaya hoti hai apas main communication ka behtreen zarya hai koi village se aney wala english nahi urdu bolta hai . ye woh zuban hai jis ki waja se humen apna mulk pakistan hasil huwa. aaj hamarey muashrey main indian aur maghrabi culture ka riwaj hai hum naach ganoo aur maghrabi tarz ke tehwaroon ki zad main hain kyon ke hum zehni toor pe un ke ghulam ban chukey hain hum apne qoomi heroes ko bholtey ja rahe hain jo log urdu zuban ko tarjeeh dete hain woh dosroon ki nazar main intelligent nahi samjhe jatey jab ke woh urdu behtar bol saktey hain. saaloon guzar gaye hain humen phir koi ahmed faraz, faiz ahmed faiz ya phir parveen shakir jaisa nahi mila. urdu adab main phir koi anwar maqsood jaisa nazar nahi ata. hum apne ander jhankey to sub kuch khali khali sa nazar aye ga. kyon koi angraiz urdu zuban ko english pe tarjeeh nahi deta? aap dekh sakte hain un ki hukoomat aaj sari dunya pe hai. us ki sub se bari waja woh apni zuban pe kisi dosri zuban ko tarjeeh dena pasand nahi karte hain jaisa hai kuch dostoon ne kaha ke har product pe english likhi hoti hai. har test main english use ho rahi hai. english zuban ki afadiat apni jaga qaiem hain har zuban ki apni aik khasiat hai. kyon aaj koi bacha urdu adab se buhat daur chala gaya hai ye sirf us ki hone wali tarbyat ka nateeja hai aaj woh shakspare ko to yaad karta hai magar ghalib ka naam bhi shayad he janta ho . kya pehle hum taraqi pe nahi thay jab hum zyada apni zuban ko tarjeeh dya karte thay? Sir Syed Ahmed khan jin ka urdu adab main aik buhat bara naam aur muqam hai . unhoo ne musalmanoo ko targheeb di ke english zuban seekhne ki magar unhoo ne ye kab kaha tha ke maghrabi zuban ke agey apni qoomi zuban he bhool jao? kya mukhalif team ka koi banda bata sakta hai ke woh urdu lughat kitni dafa parhta hai? english dictionary se har koi help ke kar english zuban har koi seekhta hai magar apni qoomi zuban se itni nafrat kyon.. hum jo aaj boltey hain woh bhi urdu nahi balkey uski tooti huwi shakal hai. asal urdu shayad aap ya khudh main bhi na samajh paon. kahan khoo gai humari qoomi zuban urdu? koi dhondta kyon nahi hai us zuban ko jo humari pehchan hai.. beshak aaj har taraf english zuban ka raaj hai magar hum kyon khudh ko english se zyada urdu main peeche rakhte hain. aap ko koi mana nahi karta ke aap english na parhoo ya na seekho. magar khuda ke waste pehle apni pehchan toe barkarar rakhoo.. logoon ki nazar main jo english bol raha hai woh intelligent hai us ne buhat taleem hasil kari hai mana ke kari hai aur dunya ke hisaab se woh chal sakta hai kya koi angraiz jo jharoo dene wala hai jo us qabil shaks se behtar english bol raha hai kya woh zyada qabil huwa? taraqi ka asal daroo midaar seekhne aur samjhne pe hai aur apni qoomi zuban jis se behtar koi aur tareeka nahi apas main qareeb hone ka..

mukhalif team ki moaziz sahiba MISS SABAH se main pochna chahta hon woh english learning hasil karne ke lye seekhne ke marahil main hain jaisa woh keh chuki hai aur sath ye bhi ke unki urdu weak hai. to mera un se pochna hai ke woh kyon pehle apni public communication ko behtar karne ki koshish nahi karti hain? english language centre ki terha kuch dhool main atey huwe urdu adab ke adarey bhi hain kya unhoo ne wohan janey ki aik baar bhi koshish kari hai?

humen pehle ye faisla karna hai ke hum kehlana kya chahte hain angraizi libada orhey huwe musalman ya urdu adab ke shahkaar musalmaan jinhoo ne sadiyoon tak dunya pe raaj kya..

Mashraqi ne aik baat kahi ke english bolney na bolney ka inhisaar khudh hum par hai ke bolen na bolen sharam ki baat nahi to main apne bhai se janna chahoon ga ke aaj kal logoon ko roozgaar milney ki sub se bari rukawat kya baat banti ja rahi hai? Jab koi acha qualified banda interview dene jata hai to kyon usey sirf is waja se reject kar dya jata hai ke us ki english speaking achi nahi thi? kya ye riwaj porey mulk main nahi phela huwa? logg degree se zyada zuban kyon dekhte hain.. kya aise main us ko sharam mehsoos nahi honi chaye ke us ne sub kuch toe apni qabliat se hasil kar lya magar apni english speaking power achi na kar saka jis ki waja se naukri na mil saki

HOORIA ke aik sawal ko quote kar ke jawab dena chahta hon

English Language adopt kiye bina Taraqi ki. Tu humain is reality ko bhi samnay rakhna chahiye k in sab countries ki Economy kitne strong hay, un ki money value n man power kitne High hay, In main se akser First world countries hain

Hooria beta Bari achi baat ki aur aap ne debate humare lye kafi asaan kar di aap ne kaha ke un ki economay kafi strong hai money value man power sub high hai to kya unhoo ne ye sub english zuban bol ke hasil kya? to hum kyon english bool kar bhi peeche hain hum to ye samjhne lagen hain ke hum english bolna ache se seekh jayen ge to humari economy barh jaye gi aur hum zawal pazeer se phir se taraqi pazeer ki door main shamil ho jayen ge.

aaj kal logoon ki nazar main qabliat nahi english zuban ki dhun sawar hai yahi waja hai ke hum sub se buhat peeche hain
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
walikumu salaam..!

Well Respected uncle sab se pahlay tu main is baat ka Jawab dena chahon ge Jo aap nay kaha k hum Urdu ko defend ker rahay hain English ki mukhalfat nahi ker rahay..! Laken aap ki team members k kuch Extreme level comments se tu lagta hay k unhan siwaye English k barbadi ka zimadar aur koi nazer hi nahi aata. Jaise chiragh bro nay kaha k English language humain barbaadi ki terf lay Ja rahe hay main in se yah pochna chahon ge k ager hum apny mulk se English khatm ker dean tu kia woh humari khush hali ki guarantee detay hain..? If yes tu is se ache koi baat hi nahi. Laken is ko prove kerna hay sirf khyali pulao nahi pakana..! aur main aap se yah pochna chahon ge k humari saqfat se dor kernay main kia English ka haath hay..? ager hum log Indian n western dresses pehan ker sharm mehsos nahi kertay, Indian movies jo k Pakistan ki akseriat ki Jaan hain, Indian ganay Jo k urdu main hotay hain bachay se lay ker baray tak ki zuban pea am hain, Indian actors and actresses ki pics lagaty hain aur sab se bari baat Jo main akser note kerti hon woh yah k humary akser larkay aur larkyan apni daily life main HINDI words bohat sukon se use kertay hain. Even On TM main nay bohat bar members ko indain language use kertay dekha hay..! Jab yah sab kertay apni saqafat apni taraditions aur apni zuban yaad nahi rehti tu phir English pe aitraz kyun Jo k Education, Computer, Science and Technology, international Media, Tourism, Diplomacy, Defense, Politics aur communication ki major language hay.

Aur humain apni zuban se nafrat nahi na isay boltay koi ahsas-e-kamtari hay aur main apni baat kerti hon ager aisa ho tu main aur woh countless Designers jo urdu poetry design kertay hain unhain itne sir khapae ki koi zurorat nahi. Yah baat sirf waqt k taqazay ko samjhnay ki hay. Jahan urdu bolna chahiye wahan humain apni zuban se bhar ker koi doseri zuban nahi honi chahiye Laken Jahan urdu masaly ka hal nahi wahan hum kaisay urdu main communicate ker saktay hain..? ager aap k pass is ka hal hay tu kindly hum se bhi share keran. Doseri baat is main koi shaq nahi k urdu adab ka duniya main aak muqam hay Laken humain sirf urdu adab ko tu hi nahi lay k chalna, Kia Pakistan ko sirf shair hazraat aur urdu adab likhnay walon ki zuorat hay…? Jab aap Ahmad Faraz, Faiaz Ahmed Faiz ka naam laitay hain tu aap un Pakisanis ko kyun bol Jatay hain Jinhon nay doseri fields main Pakistan ka naam roshan kia hay, aap Dr Abdul salaam, Dr Abdul Qadeer Khan aur Dr Atta ur Rehman ko kyun bhool jatay hain jinhon nay science, Technology n Research main Pakistan ko dunya main pehchan de, Pakistani Scientist Asim raza Jo NASA main Pakistan ki pehchan hain, Ali Moeen Nawazish and Arfa Kareem Jinhon nay Modern Education main Pakistan ko izzat bakhshi.! aur in tamaam Fields ki language English hay. Laken ilm koi bhi ho Language matter nahi kerti ilm hasil kerna matter kerta hay Chahay woh English Langauge main hi kyun na ho. aur ilm ki zuban aur had ko kabhe bhi agay bher Janay yah peechay reh Janay yah Teri meri se compare nahi kerna chahiye warna hum issi main uljhay reh jain gay. So ager kaheen Urdu English se peechay nazer aati hay tu woh us field ki requirements pe depend kerta hay so urdu zuban se bhar ker humain is knowledge ko dekhna chahiye Jo hum hasil ker rahay hain.

Ab main us baat ka reply dena chahon ge Jo aap ny Quote kia, us se agay mera yah reply tha jo shyed aap nay ignor ker dia “yah wahi matter hay "Jis ki Laathi us ki bhains". Jin countries ki National language English hay woh duniya pe apni economy aur other developments ki waja se chaye huye hain so woh apni Language ko strong economical power ki waja se spread ker rahay hain acrose the world. So kise bhi mulk ko Tarqi kernay k liye strong Economy and Financial strategies ki zuorat hote hay na k Language ki. So ager hum chahtay hain k urdu Interntaional forum pe humari pehchan banay tu pahlay humain apnay country ko Financially us level pe laana ho ga Jahan hum apni baat manwa sakain”.

Means Jin countries ki example di ja rahe hain unhon nay pahlay tarqi ki hay phir apni language ko promote kia hay aur aaj un ki language Global Langauge ban chuke hay.English ko Ahmiat waqat aur halaat aur taraqi ki rah main is ki demand nay de hay hum nay nahi..! so humari majbori hay k humain is ka sahara laina parta hay aur bohat se jagha pe is k importance humari native language se bhi zyda ho jati hay kyun k English humari majbori aur zurorat ban chuke hay. Urdu ko duniya main ahmiat dilanay k liye humain Pakistan ko us muqam tak laana ho ga Jahan urdu bolna aur samjhna doseron ki bhi majbori aur zuortat ban jaye kyun k duniya Charhtay suraj ko hi Salam kerti hay..! That was my Point. thx


 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
As Salam alikum Hazreen
Mauzoo hai Humari Qaumi zaban Ya Bainul aqwami zaban Angrezi
Mujhe apni Quami zaban Urdu ki tayeed me kehna hai aur Angrezi jo k bainul aqwami zaban hai jisse k samjha jata ahi k iske bian taraqi mumkin nahi par apne tassuraat pesh karna hai
Pichlay kai salon se dekha gaya hai k hamari zindagi main Angrezi yaani English Language ko Sanvi nahin bal k bunyaadi haisiyat hasil ho gai hai. Log angrezi bolna baes e fakhr samjhty hain aur angrezi bol kar khud ko alaa aur bartar samjhtay hain jab k agr koi angrezi na bolay ya na bol sakay to ussay kamtar aur jahil samjhty hain......

Aisa sirf hamaray hi mulk main hai ya phr yun keh lain k sirf hamaray mulk k bashindon main hai khwah wo kahin bhi reh rhay hon Pakistan main, mashriq e wustaa main, mashriq e baeed main, maghribi mumalik main ya khusoosan riyaasat hai muttehda America main...laikin amoomi tour per mushahidaat main ye baat wazeh hai k her mulk k bashinday ya un ka hukumati ya sarkari amla, apni zubaan ko tarjeeh deti hai jab k Angrezi zubaan ko Sanvi haisiyaat girdanti hai, kitnay hi mumalik hain k jahan k sarbrahaan e mumlikat apni madri ya qoumi zubaan main taqreer karty hain khwah wo apnay mulk main hon ya bairoon e mulk, laikin hamray sarbrahaan angrezi ko tarjeeh detay hain khwah us main 26, 26 ghalatiyaaN hi kyun na hon.....

swal ye hai k kya waqai hum angrezi k beghair taraqqi nahin kar saktay ??? ya angrezi bolnay se hum Taraqqi yaafta ho gaye hain ? kya is tarha hum un hunr mand afrad ki haq talfi nahin karty jo k apnay kaam main maharat rakhty hain laikin un k naam sirf is liye qalam zadd kar diye jatay hain k wo angrezi nahin bol saktay..........
Kya main agr angrezi bolon to meray maratib main izafa aur na bolnay se kami ho sakti hai ? kya hamari tarjeehaat main hamari qoumi zubaan ya phr wo zubaan jis ko Allah aur us k Rasool ne pasand farmaya, jis mubarak zubaan main Quraan ka nazool huwa, aur jo zubaan Jannat main boli jaye gi yaani Arabi zuban ko tarjeeh nahin deni chahiye ???

agarcha is bat cheet ka unwaan "hamari zuban main angrezi zuban kki ahmiyat ka hia" lekin is p bat karne se pehle ye janna bht zaruri hai k aya hamari apni zubaan ki ahmiyat kiya hai.....tareekh gawah hai k urdu ne un zubaanoon se khud mian lafz taraashe hian jo khud apne mumalik mian mukammal or wase'e haiN...urdu zubaan ka barra ma'akhuz "faarsi" hai.. jo na sirf iran mian boli jati hia bal k ek waqt main hind ki sarzameen main bhi mughliya baadshaahon k dour main darbaari zubaan ka fakhar rakhti thi,faarsi k sath sat urud main "arbi" zuban bhi shamil hai...urdu zubaan tamam ghair mulki zubaanoon ko apni aaghosh main laine ki istedaad rakhti hai ' isi liye hamain ye da'awa karne ki zarurt nahi hai k urdu zuban 'taraqqi karne ya wusa'at paane main fitri tour par qaabil nahi....zarurat is bat ki hai k is ki fitri salahiyatton ko baru'aekaar laya jaae...
yahan main apk saamne kuch aese mamlaat ya halaat paish karta hon..k jis se angrezi zubaan ki aehmiyat bht sada alfaazz r sada waqiyat se samjh ajaegi.....

ek aesa bhi waqt dekha gaya hai k jahan bht azeem sho'ara urud zuban ko hi istemaal karna fakhar samjha karte the.....or ek aesa hi dour hamare nazroon k saamne hai k jahan urdu bolne wale ki wiqa'at ek "jahil " se ziada ki nahi....

wese to hamari zuban "urdu " mian bht c zubaanain tehleel hogai hian..is tarah k 90% logo ko andaza bhi nahi hota k jo lafz wo arse se bolte arahe hain wo aya faarsi ka hai ya arabi ka...lekin urdu zuban main jo lafz angrezi k bole jaate hain unka zarur pata hota k ye angrezi zuban ka lafz hai........



Jaate jaate ek sher aaplogon ke pesh-e-khidmat karna chahta hoon..

Daagh Dehelvi ne kya khoob kaha hai

Urdu hai jis ka naam hamai jaantay hain DAGH!
saray jahan main dhoom hamari zubaaN ki hai
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
walikumu salam

main apny respcted bro safi ki baat ka jawab detay huye debate ko agay barhana chahon ge..! Bhiya aap nay kaha k english bolna bais-e-fakhr samjha jata aur jo english nahi bol sakta usay Jahil tasvur kia jata hay..! main aap ki baat se itna agree zuror kerti hon k aise soch bhi hay logo ki. kuch log sirf doseron per apna acha Impression dalnay k liye english ka sahara laitay hain..! Laken un bohat se logo k Jazbaat ka khyal bhi keran Jo english apni zindagi ka koi aim hasil kernay k liye sekhtay hain. Jo english ko ilm hasil kernay k liye sekhtay hain. Jo english ko apnay dushman k barber anay k liye sekhtay hain, Jo English ko apnay mulk o qoum ka naam roshan kernay k liye sekhtay hain..! "English" word main nay is liye use kia beacuse aaj 90% se zyda Fields ki zuban aur requirement English Language hay. so aap ilm bhi tabhe samjhain gay Jab zuban ki samjh ho ge warna koi humray dimagh main tu ghol ker dalnay se raha.

aap nay Arabic zuban ki baat ki Laken aap woh Hadees-e-Pak S.A.W.W bhool gaye "ILM hasil kero chahay tumhain Cheen jana paray" so is hadees-e-Pak se yah baat clear hay k Islam main ilm hasil kerna aham chahay woh kise bhi mulk yah zuban main hasil kia jaye. Humray Jo student dosery countries main highter education k liye Jatay hain kia woh wahan urdu main study kran..? kia aisa possible hay..? ager English ki ahmiat na hote tu sir syed Ahmed Khan kabhe bhi Musalmano ki zawal pazeeri ki waja English se nafrat ko qarar na detay..! Quaid-e-azam nay Musalmano k mutaalbat angrazo k smanay paish kiye unhee ki zuban istymal ker..!

Political Leaders apnay sath translators lay ja saktay hain Laken kia ab her bahir janay wala banda apnay sath translator lay ker jaye..? kia yah mumkin hay..? Baqi baaton k Jawab main apnay previous replies main day chuke hon Thanks..!
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
mohtaram judges aur meri mukhalif team ke memberssss ASSALAM WALIEKUM frdsss{(thx)}

hazir hoon debate ke topic per mazeed kehne k liye.(.ENGLISH) ko kitna b higher studies me ghaseeta jaye but frdss wo rahegi to aik languge hi na..mere mukhalif frdsss BS team ye batane ko koshish kun ker rahi h k ajakl englsih se tarakey hasil ki ja sakti hy...??mujhe ye batyen hmne jo azadi hasil ki ..aik united mulk ko fateh kiya kya uska zariya englsih thi??nahi na....to phr aaj kun englsh ko aik ehem zariya sabit kiya ja raha hy..

hm aagye ka soch soch ker apni tehzeeb aur saqafat ko peeche chor rahe hian ....jabke agr aap aik bar peeche mur ekr dekhogye to bht si aisi nishaniyan milnegi jn se aaj hm muslim log paksiatni kehlatey hian...hmen hamra mulk pakistan mila aik united nation mila ..ksliye?sirf es liye k hm aik azad qoam apne tehzeeb ,rehen sehen,boli,,saqafati tor per apni aik lag pehchan ban sken..
hamre leadersss ne kayi qurbaniyun se hmen ye mulk fateh ker k diya ...
aik lag khita jahan muslim log apni marzi se apni riwayat se zindagi basar ker sken...agr us waqt b hm angreezon ki trha english ko apni zuban maan lete to hm me aur angreezon me kya farq reh jata?hota to wohi na na aik ghulam qoam ki nisbat me hmen angreez smjhte .

engslih seekho ye burayi nahi ..han magr apni qomi zuban se ziyada tarjeeh na do...

hamre leadersss ne kaha hy k ksi b mulk ko harana hy to uski zuban cheeno...hmne wo ker dkhiya aaj..its true..hm me qabiliat hy its also true...magr agey barhne ke chakr me hmne kya khoya ??hmari zuban ko ...

frdssss ksi b language seekhne per qulaified hona ye lag baat hy

magr ksi b education se qualified hona ye sbse ehem hy...englsih sirf aik language hy not a qualification..urdu hamra wirsa hy ..

hm use kabhi nahi bhool skte to hmen hmari wirasat me mila hy js se aaj hamri pehchan hy

thanxxxx
 
Status
Not open for further replies.
Top