Tm debate contest 2011/12 final round

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Mukhalif Team Members Ghuma phira ker phir wahi baat kertay Ja rahay hain Jin sab ka humari term ki terf se pahlay hi waziah Jawab dia Ja chuka hay aur baar baar dia ja Chuka hay..! Laken phir se repeat kiye deti hon..!

Asma sis aap keh rahe hain k English ko Tarqi hasil kernay ka zariya sabit kernay ki koshish ki Ja rahe hay..! Laken hum aise koshish kernay walay kaun hotay hain kyun aaj yah baat roz-e-roshan ki terh ayaan hay Jis se koi bhi ba shour aur aqal-o-faham rakhnay wala insan inkar nahi ker sakta. aap ko kuch Examples deti hon, English Language "Defence" ki Langauge hay. Kia Pakistan ko Defence main agay bahrnay aur Jadeed technology ki zurorat nahi..? kia Pakistan dosery countries se tarbiat laita yah deta nahi..? woh ab Isharon main tu baatain nahi kertay. Chahay woh arabic hain, Chinese hain yah phir American yah Russsain woh aak hi Langauge boltay hain Jo K English hay..! Kise bhi cheez yah Insan ko samjhnay aur apni baat samjhanay k liye aak medium ki zurorat hote hay aur medium woh Jo sab k understandable ho Jab aap kise ko samjha hi nahi skatay aap ki zurorat kia hay aap kaise us cheez ki demand ker saktay hain...! Jab aak Pakistani Bussinessman mulk se bahir apna bussiness kernay jata hay tu usay wahan establish honay k liye un logo k sath ki zurorat hote hay rehnumae ki zurorat hote hay woh tabhe communicate ker sakay ga Jab woh un ki zuban janta ho ga..! aisa hi pakistan se bahir study kernay walay students ka matter hay..!

Pakistan k andar aap urdu k sath chal saktay hain Laken Jab Inetrnation forum pe apnay mulk ko represent kernay k liye aap boltay hain tu us k liye bhi aise zuban chahhiye hote hay jo aap ka nuqta-e-nazer doseron tak pohnchnay main madad day sakay. English sekhnay se na Angraiz ban jatay hain na un k Ghulam yah baat pahlay bhi ho chuke hay Yah aap ki soch aur kirdar ki khamyan hote hain Jo aap ko urdu boltay huye bhi Ghulam bana sakti hain. Aur aap ki baat aak kamzor daleel hay kyun k ager aisa honay lagay tu her English perhnay wala Pakistani aaj Maghribi ban chuka hota her English bolnay wala Pakistan ka dushman ban chuka hota..! aur Saqafat sirf Zuban tak mehdod nahi so zuban badal lainay se saqafat ki sehat pe koi khas aser nahi paray ga balkay is k liye her us cheez ko badlna ho ga jo isay kharab ker rahe hay..!

so aaj haqeeqat yahe hay k English nay zindagi k her ahm filed main apnay panjay garh liye hain aur hum shoq se english nahi sekhtay balkay yah humari zurorat hay majbori hay. aur urdu k pechay reh janay ki waja yahe hay k woh in tamam fields ki zuban nahi ban saki ab tak..!
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Assalamo alaikum Hoor sis aap khayali baatein na karein hum smae baat ko repeat nahin
kar rahe balke aap lougon ke paas koi aur mazboot point nahin to bachne ke tareeqe talash rahe ho
jaise ke aap ne kaha tha mere point per meri khayali pulao jaisi baat hai jisme mene kaha tha
ke english ke bazariya hum barbaad bhi ho skate hain to aap ne is per prove maanga tha so baraye
meherbani aankhein khol ke dekhengeen to wahin mene wazahat bhi ki huwi hai
aur iske baad aate hain janaab Taiyab sahab ki taraf jinhein meri soch mehdood jaisi lagi
per bechare kam knowledge wale ko humare scientists ka hi pata nahin kuch to aise loug english
ka rata laga ker bhi kuch taraqqi nahin de sakte mohtaram google pe search daalein pakistani scientists
in usa to aap jaanoge ke humare scientists USA mein hain aur woh bhi tab se jab se ke english utni humare
paas nahin thi jitni ke ab hai to 1964 ke time se humare paas aise scientists hain jo dunya bhar
mein humara naam mashhoor kar rahe hain phir bila wajeh english ko qoumi zaban se bhi zyada tarjeeh kyun dena

aap keh rahi hain english language defence ki language hai to bataiye ke china iran aisa kyun nahin kar rahe
aur agar is language se hi defence milta to muslim world mein sub se zyada digree holder country Iraq tha
aaj wahi Iraqion ka kya haal hai kehne ki koi zaroorat nahin Pakistan ki taraqqi ki shuruwaat english ban sakti
hai bachpani baat hai isse zyada kuch nahin koi achha point laate to maza bhi aata debate mein doston

Hoor sis ab aap hi same baat kar rahi ho naa baar baar ke ghuma phira kar ke out of country walon ok
jore rakhne ke liye english bolni parti hai to kitni dafa keh chuka mein bhi ke english is game of 100 days
jiske baad koi bhi english bol sakta hai woh bhi kisi angreiz ki tarah aur apni marzi ke english wale books bhi
parh sakta hai aur phir aur bhi jo karna chaahe woh sub kar sakta hai jisme use english ki need hoti ho

phir kya zaroorat english ko is qadar barhawa dene ki ke humara qoumi zaban ko take over kar jaaye
to yeh koi baat hi nahin thi jo aap ne kar di ke english humein international forums mein bolni parti hai
yeh to sub hi ko pata hi hai to is per mein kahoonga ke aaj bhi Pakistan mein taqreeban 9th standard
ke student ko utni english aati hi hai jo ke kisi forum pe jaa sake online aur sahi se baat kar sake
aur hum ghulam bane bina hi unki boli bolne lagein to unhein humein ghulam banane ki koi zaroorat????

jo english seekh ker bol raha hai woh to nahin Pakistan ka dushman per jo zaati angreiz hain khaaskar
maghribi mumalik ke leaders woh to hain hi humare mulk ke dushman sub hi jaante hain

so aap ne bhi keh diya ke zaban ko badalne se koi khaas asar nahin parega to aap hi ki baat ko le lete
hain saqafat per farq pare hi kyun.????

aaj ki tareekh mein hum muslim world mein sub se azeem hain humare 9-9 saal ke bache world records bana
rahe hain dunya bhar mein humari eik khaasi pehchaan hai aur insha'ALLAH aage bhi banti rahegi aur
yeh sub is hi urdu land se nikal rahe hain jis per aapko eitraaz hai eik aur kingdom hum se chin jaayega
agar zaban ki tabdeeli aaiy to aur woh kingdom hai poetry world ka kyunke english poetry phir is qoum ke
raghon mein us tarah nahin dourh rahegi hogi jis tarah URDU poetry kehen ko faraq chota sa hai per amal ke
baad ke haal ka socha jaaye to pata chalega ke sach kya hai

har ehem field mein zindagi ke english ke panje hain true
aur hum english nahin seekhte yeh eik jhoot hai kyunke hum
Pakistani english seekh rahe hain per taraqqi ki lalach mein use
URDU se zyada ehmiyat nahin de rahe kyunke kahin bahir koi
Pakistani jaaye to woh do cheezon se pehchaana jaayega

pehli uski soorat dekhi jaayegi to use asian maana jaayega phir
jab woh baat karega to use urdu speaking kaha jaayega
kyunke yeh humara qoumi zaban hai hum saare dunya mein
is hi zaban pe jaane jaate hain

aaj koi bhi Pakistani fakhar se keh sakta hai ke English ko saare dunya mein loug technology ke
istemaal ke gharaz se seekh lete hain per humare URDU ko apni marzi se parhte jaante bolte hain
aur shouq aur dil o jaan se URDU storiez aur URDU poetriez mein jo baat hai woh aur kahin nahin

phir jab english humare qoumi zaban se zyada value lene lagegi humare mulk mein to zahir hai ke
shayar bhi english hi nikalne lagengein

agar hum Pakistan ki baat karte hain to yeh humari soch hai sirf ke hum taraqqi nahin kar rahe
yaa phir hum peechhe hain to urdu ke sabab kyunke (ab kyunke keh kar prove de raha hoon
to sub parh hi lein aadhe post ko le kar dil na behlayen apna)
bain al aqwami zaban hum na seekhte to woh ghalat baat hoti aur hum ise urdu se zyada seekhna
chaahte hain yeh bhi ghalat baat hai woh aise ke ik cheez teh ho chuki aur woh bhi qoum ki
yeh zqaban qoumi zaban ban chuka hai to kyun badle ise koi strong reazon hi nahin humara aise
karne ke peechhe aur ho bhi nahin sakta kabhi kisi qoum ne aisa kiya hai.???

tabdeeli ki zaroorat kahan hai aur hum lana kahan chahte hain tabdeeli
agar hum apne soch ko bara karein to jaanengein kya south Africa wale
english mein peechhe hain.????

aur wahan ki ghareebi ka haal kisko nahin pata kya kar rahe hain woh sub
loug jo Pakistani ho ker USA mein parh rahe hain kya taraqqi de rahe hain
mulk ko

humare mulk mein taraqqi woh laa sakta hai jo URDU ko aage le jaana chahe
na ke woh jo english ko aage le jaana chaahe bhale hi woh international language
hai humein unki cheezon ko apna naam dena chahiye phir unke research per
khud kaam karna chahiye apne scientists ko aisi value deni chahiye ke woh yeheen
per rahein aur doosre mumalik mein na jaayen to taraqqi karengein hum to taraqqi
karega URDU to aage barega PAKISTAN naa ke english ko URDU pe fouqiyat dene se
hum taraqqi karengein agar aisa hota to English jaanne bolne wala S.Africa kyun
peechhe hai USA aur Russia se.?

at the end i will like to say

Bright stars ki team jitni respect se reply degi utna hi purkhuloos reply paayegi

aur

dour e hazir mein humare mulk mein kya nahin hai jo english
la sakta hai koi strong point hai to peish karein Bright stars
bajaye hum pe zaati tanqeed ke

english jitni bhi taraqqi laa chuki ho per english seekhna mushkil nahin huwa
aur eik mamooli sa dukandaar ya jamadaar ya phir mazdoor english bol ker
kya kar lega.????

aur eik english jaanne bolne wala banda bina certificate ke dawaiy de sakta hai
bina parhe aur practical ke science mein exams de sakta hai so jawab hai nahin

humein tabdeeli tarz e tarbiyat mein laani hai naa ke zuban mein

thats it
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam khushi huwi aapka reply dekh kar bhai jan:)

to hum ne kirdaar ada kiya is hi awaam ne urdu schools mein parhne

walon ke liye english language ke courses open kar rakhe hain

woh loug wahan se ba asaani english seekh sakte hain

aur agar ghareebtar students hain to Karachi mein bhi english

language ke free courses bhi hote hain

humein tabdeeli ki zaroorat hai pore system mein hai woh cheezein

badalni hain jo ghalat hain aur hum laaye hain naa ke woh jo humare

quaid de gaye hain to wahi baat hum bhi kar rahe hain janaab

ke english ka eik mehdood istemaal hona chahiye thats it

ji bilkul bare shouq se bolein dafatar mein english balke khud

doosra dafatari zaban Pakistan ka english hi hai

ji nahin hum english se ta had e zaroorat kaam lein to koi harj

nahin harj ise urdu se zyada value dene mein hai jisse

faiyda to koi nahin hoga balke nuqsan hoga humara

kyunke shayari ki dunya mein humare parcham sar buland

hain aur mulk mein english ki leher dourne ke baad hum

isse zahir si baat hai kho dengein kyunke aksariyat english

ki ho jaayegi phir shayar bhi angreiz aane lagengein humare

insaniyat ka maseeha english ke istemaal se bilkul banda ban

sakta hai aur english ko bohot hi asaani se seekh sakta hai

is baat ko yahan karne ki zaroorat kya thi.???

yeh to sub hi ko pata hai aur is baat se kisi ne inqaar bhi nahin

kiya phir bhi keh diya to achha kiya aap ne

waise english ko parhna hchaiye zaroor parhna chahiye ise jaanna

chhaiye leikin computers world mein aur bainalaqwaami zabaan ke

gharaz se naa ke ise apni qoumi zaban pe fouqiyat de di jahiye

kyunke aisa karne se humare saqafat per bura asar parega aur

english jitni ab hai Pakistan mein us hi mein se Arfa jaise students

nikel r rahe hain to english ko isse barha ker hum kya 9 maah ke

bache ko bhi mcp bana dengein

agar koi proove kar sakta hai ke english ko urdu pe fouqiyat dene se

hum taraqqi karengein to woh prove kare na ke english ke baare mein

woh sub bole jo hum bhi jaante hain thanks

thats it
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam walaikum guys debate main aik din se zyada ka time zaya huwa tha is waja se debate thread close karney ki date aik din aur agey barha raha hon ub thread kal raat 12 bajey tak close ki jaye gi..

aik baat aur dekhne main arahi hai ke dono teams ke kuch members aik dosrey pe personal attacks kar rahe hain. aur out of topic baten bhi buhat ho rahi hain . well maine kaha tha darmyan main nahi bataon ga magar aik baar phir se inform kar don aap dono teams ke kafi points is waja se kat jayen ge.

Shukrya
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Assalamo alaikum Hoor sis aap khayali baatein na karein hum smae baat ko repeat nahin
kar rahe balke aap lougon ke paas koi aur mazboot point nahin to bachne ke tareeqe talash rahe ho
jaise ke aap ne kaha tha mere point per meri khayali pulao jaisi baat hai jisme mene kaha tha
ke english ke bazariya hum barbaad bhi ho skate hain to aap ne is per prove maanga tha so baraye
meherbani aankhein khol ke dekhengeen to wahin mene wazahat bhi ki huwi hai
aur iske baad aate hain janaab Taiyab sahab ki taraf jinhein meri soch mehdood jaisi lagi
per bechare kam knowledge wale ko humare scientists ka hi pata nahin kuch to aise loug english
ka rata laga ker bhi kuch taraqqi nahin de sakte mohtaram google pe search daalein pakistani scientists
in usa to aap jaanoge ke humare scientists USA mein hain aur woh bhi tab se jab se ke english utni humare
paas nahin thi jitni ke ab hai to 1964 ke time se humare paas aise scientists hain jo dunya bhar
mein humara naam mashhoor kar rahe hain phir bila wajeh english ko qoumi zaban se bhi zyada tarjeeh kyun dena

aap keh rahi hain english language defence ki language hai to bataiye ke china iran aisa kyun nahin kar rahe
aur agar is language se hi defence milta to muslim world mein sub se zyada digree holder country Iraq tha
aaj wahi Iraqion ka kya haal hai kehne ki koi zaroorat nahin Pakistan ki taraqqi ki shuruwaat english ban sakti
hai bachpani baat hai isse zyada kuch nahin koi achha point laate to maza bhi aata debate mein doston

Hoor sis ab aap hi same baat kar rahi ho naa baar baar ke ghuma phira kar ke out of country walon ok
jore rakhne ke liye english bolni parti hai to kitni dafa keh chuka mein bhi ke english is game of 100 days
jiske baad koi bhi english bol sakta hai woh bhi kisi angreiz ki tarah aur apni marzi ke english wale books bhi
parh sakta hai aur phir aur bhi jo karna chaahe woh sub kar sakta hai jisme use english ki need hoti ho

phir kya zaroorat english ko is qadar barhawa dene ki ke humara qoumi zaban ko take over kar jaaye
to yeh koi baat hi nahin thi jo aap ne kar di ke english humein international forums mein bolni parti hai
yeh to sub hi ko pata hi hai to is per mein kahoonga ke aaj bhi Pakistan mein taqreeban 9th standard
ke student ko utni english aati hi hai jo ke kisi forum pe jaa sake online aur sahi se baat kar sake
aur hum ghulam bane bina hi unki boli bolne lagein to unhein humein ghulam banane ki koi zaroorat????

jo english seekh ker bol raha hai woh to nahin Pakistan ka dushman per jo zaati angreiz hain khaaskar
maghribi mumalik ke leaders woh to hain hi humare mulk ke dushman sub hi jaante hain

so aap ne bhi keh diya ke zaban ko badalne se koi khaas asar nahin parega to aap hi ki baat ko le lete
hain saqafat per farq pare hi kyun.????

aaj ki tareekh mein hum muslim world mein sub se azeem hain humare 9-9 saal ke bache world records bana
rahe hain dunya bhar mein humari eik khaasi pehchaan hai aur insha'ALLAH aage bhi banti rahegi aur
yeh sub is hi urdu land se nikal rahe hain jis per aapko eitraaz hai eik aur kingdom hum se chin jaayega
agar zaban ki tabdeeli aaiy to aur woh kingdom hai poetry world ka kyunke english poetry phir is qoum ke
raghon mein us tarah nahin dourh rahegi hogi jis tarah URDU poetry kehen ko faraq chota sa hai per amal ke
baad ke haal ka socha jaaye to pata chalega ke sach kya hai

har ehem field mein zindagi ke english ke panje hain true
aur hum english nahin seekhte yeh eik jhoot hai kyunke hum
Pakistani english seekh rahe hain per taraqqi ki lalach mein use
URDU se zyada ehmiyat nahin de rahe kyunke kahin bahir koi
Pakistani jaaye to woh do cheezon se pehchaana jaayega

pehli uski soorat dekhi jaayegi to use asian maana jaayega phir
jab woh baat karega to use urdu speaking kaha jaayega
kyunke yeh humara qoumi zaban hai hum saare dunya mein
is hi zaban pe jaane jaate hain

aaj koi bhi Pakistani fakhar se keh sakta hai ke English ko saare dunya mein loug technology ke
istemaal ke gharaz se seekh lete hain per humare URDU ko apni marzi se parhte jaante bolte hain
aur shouq aur dil o jaan se URDU storiez aur URDU poetriez mein jo baat hai woh aur kahin nahin

phir jab english humare qoumi zaban se zyada value lene lagegi humare mulk mein to zahir hai ke
shayar bhi english hi nikalne lagengein

agar hum Pakistan ki baat karte hain to yeh humari soch hai sirf ke hum taraqqi nahin kar rahe
yaa phir hum peechhe hain to urdu ke sabab kyunke (ab kyunke keh kar prove de raha hoon
to sub parh hi lein aadhe post ko le kar dil na behlayen apna)
bain al aqwami zaban hum na seekhte to woh ghalat baat hoti aur hum ise urdu se zyada seekhna
chaahte hain yeh bhi ghalat baat hai woh aise ke ik cheez teh ho chuki aur woh bhi qoum ki
yeh zqaban qoumi zaban ban chuka hai to kyun badle ise koi strong reazon hi nahin humara aise
karne ke peechhe aur ho bhi nahin sakta kabhi kisi qoum ne aisa kiya hai.???

tabdeeli ki zaroorat kahan hai aur hum lana kahan chahte hain tabdeeli
agar hum apne soch ko bara karein to jaanengein kya south Africa wale
english mein peechhe hain.????

aur wahan ki ghareebi ka haal kisko nahin pata kya kar rahe hain woh sub
loug jo Pakistani ho ker USA mein parh rahe hain kya taraqqi de rahe hain
mulk ko

humare mulk mein taraqqi woh laa sakta hai jo URDU ko aage le jaana chahe
na ke woh jo english ko aage le jaana chaahe bhale hi woh international language
hai humein unki cheezon ko apna naam dena chahiye phir unke research per
khud kaam karna chahiye apne scientists ko aisi value deni chahiye ke woh yeheen
per rahein aur doosre mumalik mein na jaayen to taraqqi karengein hum to taraqqi
karega URDU to aage barega PAKISTAN naa ke english ko URDU pe fouqiyat dene se
hum taraqqi karengein agar aisa hota to English jaanne bolne wala S.Africa kyun
peechhe hai USA aur Russia se.?

at the end i will like to say

Bright stars ki team jitni respect se reply degi utna hi purkhuloos reply paayegi

aur

dour e hazir mein humare mulk mein kya nahin hai jo english
la sakta hai koi strong point hai to peish karein Bright stars
bajaye hum pe zaati tanqeed ke

english jitni bhi taraqqi laa chuki ho per english seekhna mushkil nahin huwa
aur eik mamooli sa dukandaar ya jamadaar ya phir mazdoor english bol ker
kya kar lega.????

aur eik english jaanne bolne wala banda bina certificate ke dawaiy de sakta hai
bina parhe aur practical ke science mein exams de sakta hai so jawab hai nahin

humein tabdeeli tarz e tarbiyat mein laani hai naa ke zuban mein

thats it
Chiragh bro at least reply kertay waqt thora hosh main rah ker baat keran..! Anakhain khol ker, bachnay ka tareqay soch rahay hain etc Jaise words se aap kia prove kerna chahtay hain..? aap yahan debate ker rahay hain tu humain bhi us topic ki fevour main bolna hay so zara dil bara ker k sunaen. bass mujhay yahe kehna hay aur Kindly Is se related koi aur reply na keray mujahy..! Go Ahead..!
 

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Assalamualaikum Hazeeren
Sabse pehle mai bhi apni team ki taraf se muazerat khwaha hu agar koi baat se kisi ko thes pohchi ho to.....

Mukhalif Team k tassuraat parhne ka baad mei apna bayan lekar hazir hun
Guriya ne apni post me strong economy,weak countries ki buniyad ko Zaban se jor diya..mera sawal ahi k Kya english bolne se ya rabtay ki zaban Angrezi ko lahay e amal laane se humare mulk ki ma'ashi halath mustahkim ya so called STRONG hoajygi...
Mukhalif Team ki baat maan leta hun k Angrezi ka chalan zamanay k hisab se rayej hona zaruri hai..Angrezi ko apna kar humne kitni Tarraqi ki?
Mohatarmeen Tarraqi nahi hum zawaal ki simt barh rahe hain...Ikhlakhi zawaal,muasharati pasmandagi,..Humne jab humari wirasat chori,(ji haan ye humari qaumi zaban humari wirasat hi hai)to apnaya kyaa?ghairon ka lab o lahja ,gahiron ki zaban,Tarraqi k naam par wo sab apna liya jisse hum uta hi pasti me girte chale gaye jitna Jitni khubsurti se aur tezi se Angrezi ko apnaya...Ji haan jab kisi ki zaban apnayi jati hai to us zaban se related uska culture uska rahen sahen phir Us ahl e zaban ki tarz e zindagi sab kuch dheere dheere humne apne aap mei aise rayej kiya k aaj khud hum Mghribi chalan ka roan rote hain,humare bacchon k bigarne p aansoo bahate ahin ,darasal humne hi to di hain inko ye Angrezi ki khubsurat zaban..Baccah agar Angrezi an seekhay to uske liye laakh jatan bahtreen ustad faraham karna humara zimma hojata hai..aur agar wahi baccha Islami ilm se be behra ho to kay koi tawajju ya uski koi fikr lahaq hoti ahi waledain par?Jaisa k post se zahir hai k bairuni mumalik me huamre log jate hain bare bare scientists,aur dusre shobon me bahtreen kaam saranjam derahe hain amhez Angrezi k sabab.Mei Ek sawal yahan sabse karna chahunga k jis waqt Angrezi ka chalan nahi tha,kya humare yahan sciencedan maujood nhi thy?Mashoor sceintist ARASTU jise ARISTOTLE kaha jata hai,kya usko angrezi ati thi?Kya uske sare mekhale,sari tahkheekhat Angrezi mei thin jo k sari duniya ko samjh agayin? nahi,Latin,Unani aur German zabanon me mashoor hastiyon ne apne karnaamay ya tahkheeqat qalamband kiye jinko angrezon ne apni zaban me tarjuma kiya..aur na srf angrezi balkay duniya ki taqreeban har zaban me inko parha jata hai..
ek baat aur kahi k URDU srf Pakistan me boli jati hai duniya ki kisi aur mulk me nahi,mujhe yahan hum apni Qaumi zaban ki baat karahe hain na k URDU ki aur mohatma ne ahle ilm hazraat jo k Angrezi se waqfiyat nhi rakhte unko ''EDUCATED STUPID'' kaha hai..iska matlab ye k zamanay me ajtak jitne bhi danishwar,aalim aur sahiban ilm hazrat jinko Angrzi nahi ati thi sabke sab ""EDUCATED STUPID'' k dayere me agaye?

Allah talah ka irshad ha k shirq k baad sab se bara gunna maa baap ki na farmani ha insan ka jo rista apne maa baap se ha wohi rista apni koom aur apni madi zubaan se hota ha jis k zariye woh bay-takalfi se izhaar e kheyal kerne k qabil hota ha ,tahreeri aur takreeri tor par is se izhar e kheyal ka yeh zariya cheenana isay ik baray nafseeyati azaab mein mubtalah kerne k mutradif ha...

Ek baat aur yahan bari ahmiyat ki hamil hai wo hai humara Ilm,ji haan dunayvi nhi deeni ilm..
Allah tala ne Quran ko Arbi zuban me utara humara sara deeni khazana Arbi zaban me hi hai,Uska adha hissa Faarsi me tarjuma hua aur uska bhi adha hissa urdu me hua to maloom ye hua k agar hum apni zaban se hi nabald rahe to islami taleemat kahan se aghz karoge?Angrezi zaban apko taleeme islami deti ahi?apko shariyat samjhati hai?apko tarz e zindagi batati hai?
haan ye zaban unki apni tahzeeb,unka culture zarur humare bacchon ki ragon me pahuncah rahi hai jo k ajkal k waledain k liye baes e fakhr bat hai..


angrzi zuban ab itni ahmiyat ki haamil hogai hai k ab humain hamare urdu ya arbi k ustaad hi be zarar se mehsoos hote han...jab k angrezi ya isi zuban main parhae jaane wale sabaq k ustaadoon ko rashk ki nazar se dekha jata hai.........

wo bacha ya barra jo angrezi main baat kare to bht qaabil mhsos hota hai...bht jald hi hr shaks us bande se mutaasir ho jata hai jo bht rawani se angrezi bole...ba nisbat us shaks k jo apni baat ki shuruwaat se le k ikhtitaam tak urdu ko istemaal kare.....

aj kal aese waaldain ki bohtaat hai ....jo apne kisi rishtedaar k bachon ko rawaani se angrezi zuban main bat karte dekh lain to apne bachon ko un ki misaalain de k un ki tarah banne ki khuaish zaahir karte hain....

hamare maashre main kuch aese bhi log paae jaate hain k jo baqaida apni bachon ko kisi k ghar jaane se pehle tanmbeeh karte hain...k un k samne khirki ko window..chamche ko spoon,kaprroon ko cloths ..... hi kehna.....warna hamari "insult" hojaegi...


Wajha ye nahin hai k angrezi turrah e imtiyaz hai, wajha aap ki apni shakhsiyaat hai......laikin hamara alamiyaa ye hai k hum khud ko kamzoor aur angrezi ko "besakhi" samjhty hain.....main daway se keh sakta hon aur ye baat sabit bhi kar sakta hon k America aur Canada main rehnay walay Hind o Pak k bashinday taraqqi o faroogh e urdu main jis qadr koshaaN hain hamaray apnay mulk main aisa koi kaam nahin ho raha hai....Canada / America main Adabi halqay banaye gaye hain jahan log URDU ki khidmat kar rhay hain bila imtiyaz k wo Pakistani hain ya Hindustani unhain sirf URDU zubaan se mohabbat hai.

laikin hum log jo k Pakistan ya Hindustaan main rehty hain yehi samjhty hain k angrezi wo seedhi hai jis per qadam rakh kr hum aasmaan ko cho sakty hain........ji nahin "English is only a medium of communication as a global language and nothing else".
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam wrwb
mere mohtaram qaabil dost wasif ne apni post post me chund baatein kahin jinme se ek hai k hum agrezi seekh kar ulta zawaal pazeer ho rahe hain.aqlaaqi taur par pasmaanda ho rahe hain.etc.

laikin main bhai se ye poochna chahta hon k kia log bina angrezi seekha sahih hain.kia wo aqlaaqi taur par kore nahi hain.kia sirf angrezi seekhne wale hi aqlaaq se koore hain baaqi sab acche hain kia humey aisa daawa karna sahih hai.nahi

main batata hon k angrezi ek adabi language hai agar hum dekhenge ghaur se to hame pata chalega k english people ek dosre ko jitna respect dete hain wo dosri languages me bahot kum nazar aata hai.jaisa k kuch ghalati par sorry kahna ye aam baat hai isi tarha my pleasure,yours faithfully etc.

aaj hum dekhte hain k hamara muashera din ba din bigarta jaa raha hai.uski ye wajah nahi k hum eng/urdu janne wale hain.balke ye un samaj k chund ek awamil ki wajah se hai jo khudko roshan qayal kahlaan pasand karte hain.aur ye bhi ek haqeeqat hai k jo shaqs jaisi cheezein khaata hai uspar waise hi asraat murattab hote hain.ye scientifically proof hochuka hai.aur jab hum maghrabi muashera par nazar dauraate hain to hame pata chalega k wo log pig k ghosht ka istemal kasrat se karte hain.aur pig k ghosht me sex power bahot ziada hoti hai isi liye in logon me bhi uryaaniyat ziada paayi jaati hai.

isiliye mere qaabil dost main aapse kahunga k in dalayel k baad ab aur koi sabab baaqi nahi rah jaata jisse ye saabit kia jaaye k english zuban fahashi aur uryaaniyat ko farogh deti hai.balke is language ko hum istemal karke is daur e jadeed me kamiyabi o kaamrani ki taraf aasani se barh sakte hain.kyunke aaj har cheez english language me dasyaab hai.aur dost main aapko batata chalon k aaj english language ko apni universities aur schools me kasrat se istemal karne wale countries ki tadaad 33 hai jahan par bina english language istemal kiye aap koi sanad hasil nahi karsakte.to ab aap hi batayyiye k enlish language is a international.jispar aaj dunya ka maashi aur sifarati nizam tika hua hai.
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Standard time raat ke 12 baje se shuro hota hai last date 28 thi mean 28 ko debate thread closed kar di jati toe maine kal raat 12 bajey thread closed nahi ki aaj close karon ga 12 bajey mean 29th Jan ko . hope u understand now. and is baat ke lye aap pm main pochte toe zyada behtar hota anyways continue u peoples have 10 hours left Thanks
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam Aara'af bhai
hum bilkul angreizi seekh kar achha
karte hain aaj ki tareekh mein
dunya ke liye angreizi seekhna
behetter sabit ho raha hai

per ise qoumi zaban se zyada value dena
hargizz kisi qoum ne pasand nahin kiya
chaahe woh woh koi bhi qoum ho

iqhlaaq ki to baat nahin karni chahiye per
PAKISTANI jaise ke mein pehle bhi keh chuka
aur unfortunately meri baaton ka koi bhi
jawab Bright stars ne nahin diya ke humari
pechhaan URDU se ki jaati hai other countriez
mein jiski wajah hai ke yeh humari qoumi zaban hai

aapke mutabiq english peole baaqi tamaam zaban bolne
walon se zyada izzat se baat karte hain to mujhe
yeh baat ghalat lagi bilkul hi ghalat

kyunke dunya mein dour e badshahat se URDU ne mein ko
hum banaya aur aise hi bohot se alfaaz add kiye jo ke
yekjehti ki pehchaan hain aur jiske sabab dunya ki
misaliya zaban bani URDU

hahha to janab urdu mein bhi muazrat lafz hai
aur bhi iase bohot se lafaaz hain jinka kehna aam
si baat hai

aur phir jo aap ne pig wali baat ki to woh baat lagi
out of topic mujhe to uspe itna hi kahoonga ke

english ya urdu bolne se humare pehchaan pe faraq
aata hai saqafat pe faraq aata hai jabke jitni english
aaj humare paas hai woh kaafi hi hai isse mazeed ki
mulk ko zaroorat nahin kyunke aaj ki tareekh mein jiski
marzi woh english seekh sakta hai mulk mein even
free courses bhi hone lage hain ab to humare mulk mein

ji haan technology mein hum aage jaa sakte hain
english ke istemaal se per sirf uski usage mein humein
uske banane wali kamyabi chahiye to english nahin
knowledge pe zour dena hoga aur apne watan ke
buzargon ki baaton per amal daramad karna hoga

aur jo aapka last point hai usse agree karte huwe kehna
chahunga ke bilkul english seekhne se manah koi nahin
kar raha english dunyavi kamyabi mein kaam aa sakti hai
humara aetraz ise urdu per fouqiyat dene ki baat per hai

to agar aap ise sabit karne per ghour dein to achha hoga

at last i will say ke

English ko mein bura nahin kahunga na kehta hoon per ise
apne qoumi zaban pe fouqiyat dena bura bhi hai ghalat bhi hai
woh kaise mein apne pichle posts mein keh chuka jinka jawab
nahin aaya ab tak masalan

shayari dunya mein peechhe ja sakte hain

URDU se jaane jaana wala muslims mulk phir english se jaana

jaayega jo ke ghalat baat hogi

English aaj jitni hai us hi se humein behetter se behetter loug

mil rahe hain to ise isse bhi bara kar kyak ar lena hai

aur jab aaj PakistaN ke andar kisi ko bhi english seekhne mein

dushwari ka saamna nahin phir ise urdu se bhi zyada value

kyunker dena

thats it
 

faari

Super Star
Nov 13, 2009
6,380
4,321
713
Allama iQbal ki zameen
well in the end chirag bro kisi bi mulk ki qoom ki tridition ,culture ,us mulk ka tahushaz sirf is waja se hatm nae ho jata k us qoom ne english zubaan ko ziyada zaroori samjha aur aj ke is era me koi bi country pechy nae hai ap me se koi bi is baat se inkaar nae kr sakta k har county ne englisg ko sab se upar rakha hai chahy wo nisaab ho , ya kuch bi lkn wo loog tu pechy nae hein na hi un ka tridition hatam howa hai aur bhai wasif ne kaha k Quran Majeed Ka tarjuma farsi me hai ,urdu me hai tu jnab us ka tarjuma english me bi hai kya english me koi duwa nae ki jati khair ye tu aur baat hai lkn eik bacha jo apne bachpan se burhapy taak urdu bolta hai wo apni zubaan kese bhool sakta hai bs halat k taqazoon ko dekh kr waqt ke sath usay bi changing chahiye hoti hein ta k apna muqam bana saky

wasif bro ne bola k arstu ne apni zubaan me book likhi ap ye kese bool sakty ho k us ne english ki book se kuch muwad nae lya ho ga ya us muwad ko samne rakh kr tehqiq nae ki hoon gi us waqt ka door aur tha tb ap k pass tamaam facilities goverment provide krti thi ap agr bary scientist ho tu tamaam chezein wohi deti thi lkn aj kkon kis ko kya provide krta hai tu zahir hai hmary mulk k logo ko unhi book se help leni ho gi ab greek ya latin tu hum samjh nae sakty aur urdu me esi book ki edition nae hoti tu zahir hai english ki hai jo pary jaye gi in short ,and in the end english hi hai jo aj kl ki tamaam zaroorayat ko puri krti hai aur na tu hum ne apna culture ,tridition , rasm ,rawayaat change ki hein aur na hoon gi hum is zubaan se apni zarooyat puri kr rahe hein

aur hum english ko ly kr nae chal rahe english hume ly kr chal rahi hai agr ap hmary national leader ki example de rhe hein tu hmary national leader Quaid, sar syed , Allama iqbal ye kiyun out of coutry english higher studies k liye gy wo bi englisg universities me kya tab urdu nae thi .......tab urdu bi thi farsi bi thi aur arabi bi .......lkn un ko bi koi muqaam hasil krna tha tab bi english logoon ka galba tha english k bageer ap kuch nae thy aj bi bilkul esa hi hai thanxss
 

*khushi*

Senior Member
Oct 18, 2011
6,444
1,468
263
Ghar :p
jaisa k hoor sis ny kaha k hmaari team aik hi baat baar baar duhra rahi hai to my dear sister aap ki team b yahi kr rahi hai .....or main is baat ko maanti hoon k hum aisa hi kr rahy hain kion k hamen aik hi topic pr baat krni hai....

aap ki team English ki favour main hai or usi ki favour kr rahi hai hum against hain to hum against hi baat kren gay na....:)

well main yahi kehna chahoon gi k hamen apni qomi zubaan ko khtm nahi krna kion k ye hmaari pehchaan hai....or agr oi apni pehchahn kho day to us ki kia zindagi hoti hai ye aap sb smjh skty hain...

and Faari sis aap ny kaha k hr mulk ny English ko sb say ooper rkha hai lakin un ka tradition khtm nahi hooaaa ...yahi baat to hum b keh rahy hai na k jb baaki sb mumalik english ko ooper rkhty hooye taraqqi b paa rahy hain or apny tradition ko b saath lay kr chl rahy hain lakin hum apni Qomi zubaan ko peechy kion chor rahy hain?

or hmaary National leaders ny English higher study ki lakin unon ny apni Qomi zubaan ko b tareeki main nahi jaany dia....Urdu ko b saath saath rkha ....

or ye baat bilkul ghlt hai k English k bagher hum kuch nahi thy....ab ki baat keh skty hain k ab kuch nahi lakin pehly thy....:)

hum baar baar keh chuky hain k hum English seekhny pr aitraaz nahi kr rahy English seekhni chahiye but Urdu ka kia?

aap log ye bta skty hain k hum ny apni Qomi zuban ko kia dia?
kitni ahmiyat di?
kis had tk roz marra k istmaal k baawajood isy fnni zubaan bnaany main kirdaar adaa kia?
is ny to phir b hamen adab dia shayer diye zubaan daan diye waghera waghera mgr hum ny isy kia dia?

kia ye is zubaan ka qasoor tha k ye technology ki zubaan na bn ski ya is k bolny waaly ahl e zubaan ka?

ye sb hmaara qasoor hai k hum apni Qomi zubaan ko chor kr us ki taraqqi ko chor kr English k peechy bhaag rahy hain...

ML bhai bilkul theek frmaya Allama Iqbal ny k

Afraad k haathon main hai aqwaam ki taqdeer
hr frd hai mulk k mqdar ka sitara

to hmaary mulk k muqaddar ka sitara kon hai?hum hi hain na?to hum apni zubaan ko kahan lay jaa rahy hain ?tareekion main...

Allama Iqbal ko apny hum watnon say ye shikwa hai k wo maghrib ki taqleed ko taaqqi ka zeena smjhty hain halan k taraqqi k liye libaas ki khaas wiza qitaa or apni zubaan chor kr bdesi zubaan ikhtyaar kr lena zaroori nahi.....

 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalam aapka jawab to qabil e tareef hai taiayb bhai
sub se pehle mein Taiyab bhai ki taraf aaunga ke mehdood english bolnesem urad
yeh hai ke jis tarah aur jitni einglish is waqt humare mulk mein hai aur boli jaa rahi hai woh kaafi hai

aur aapki scientist wali baat thread se related nahin uska kahin aur answer dengein insha'ALLAH

aur agar aapka koi aur sawal rehta hai to poochh lijiyega kyunke mujhe aapke us post mein koi aisi
baat mazeed nahin dikhi jo pendig ho thanks

ab aate hain Faari sis ki taraf to sis khatam to nahin ho jaata per nuqsan mein zaroor aa jata hai
kyunke aaj humara mulk URDU ka mulk hai urdu bolne walon ka mulk hai out of country yeh humari
pehchaan hai phir humari pehchaan bhi english ban jaayegi

is baat ka inqaar karte huwe mein aapko China ka misaal doonga jiski moviez jiske games aur
deegat tamaam cheezein english nahin balke chinese mein hain haan sirf unke ilawa jo woh
waise mumalik mein bheijta hai jo english wale hon

ji haan to use us maqaam pe pohnchne ke liye english ke istemaal se koi nahin rok raha sis
we are always with english but after URDU kyunke agar international language english hai
to URDU humari pehchaan hai aur kya aap lougon mein se koi keh sakta hai ke
URDU per english ko fouqiat dene se kya hasil ho jaayega.????

aapke team ke kaafi members ne book ki hi baat ki aur meinne bhi 50 dafa english courses
ke har jageh dastyab hone ki baat ki hai

aur yeh jo end mein aap ne kahak e english hi k
hai jo zarooriyat ko poora kar rahi hai to aisa bilkul nahin hai
kya mujhe english aati hai to mein achhe jobs kar sakta hoon
nahin uske liye mujhe digree chahiye hogi english nahin
sirf english se hum faqat technologyz ka istemaal kar sakte
hain bas aur kuch nahin jabke aaj ki tareekh mein jahaan jahaan
hum kamyab hain URDU ke sabab woh sub to hum zahir hai
gawa dengein urdu pe english ko fouqiyat de kar

to is baat se koun inqaar kar raha hai ke Quaid ne wahan taleem
hasil nahin ki leikin unki jaisi taleem unke mulk mein hasil ki
agar english humare liye utni behetter hoti to woh us hi waqt se
na kehte ke english ko tarjeeh dein urdu ko chorh dein balke humein
kaha gaya ke yeh aap sub ko aati hai URDU aap loug ispe chalna

aur ji haan taleem ki hidayat unhone bhi di thi dunyavi taleem ke liye
be shaq english seekhi jaaye sikhaiy jaaye parhi jaaye parhaiy jaaye

per is liye na seekhi jaaye ke hum kal URDU mein beith kar english parh
ker aaj urdu ko dabana chaahte hain to yeh ghalat hoga naa

aur eik baat agar aaj ki tareekh mein Pakistanion ke liye english seekhne
mein is liye dushwari hai ke english kam boli jaati hai to aap english ko
udu se zyada tarjeeh dene ki baat kar sakte the per yahan aaj ki tareekh
mein unheen lougon ko english nahin aati jo khud seekhna nahin chaahte

phir english kitna hi aam ho jaaye jo khud na chaahe use koi
bhi sikha nahin sakta english

aur aap khushi sis ki baat ka jawab hi de dete
apne post mein to achha lagta hmmmm

at the and i will like to say...........

no words remaining for saying on this topic i think :)

thats it
 
Status
Not open for further replies.
Top