Tujhay Aye Dil Bahut Roka Tha Rasm O Rah Nibhanay Se

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Musalsal rokti hoon usko sheher e dil main aanay se
Magar who koh kan rukta nahien deewar dhanay se
Bhala kia dukh kay aangan main sulagti larkiyaan janen
Kahin chuptay hain aansoo anchalon mein chupaanay se
Abhi to fasal taaza hai humaray harf o maani ki
Abhi darty nahien hum mausamon kay aanay jaanay se
Abhi tu ishq main aankhein bujhi hain dil salamat hai
zameenien baanjh hoti hain kabhi faslein jalanay se
Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karma hai
Nadamat hogi us kay hoslon ko aazmanay se
Humein kis zaraf kay kirdaar kay qissay sonata hai
Tujhay aye shher hum bhi jantay hain ek zamanay se
Tujhay bhi zabt e ghum kay shoq nay pathar bana dala
Tujhay aye dil bahut roka tha rasm o rah nibhanay se
 
Top