udas mat huva kro..

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
us ne phr ek baar meri tarf udas chehre aur khamosh nazron se dekha tha..sath kiyari me gale phool or hawaon me raqs karti titliyan udas udas lg rhe the..hawa sakat or manzr be'rang the..us ne akhiri bar wahan usi jaga beth kr (yahan hum humesha baatain krte the)muje apne jane ka bataya tha..kehne ko kuch nhi tha..hum dono kitni dair se khamosh beth kr in lamho k beet jane se rokne ki na'kam koshish kr rahe the,phr us ne hi kuch kehne ki jasarat ki thi..aao gi na..muje chorne...muje alwida kehne???
nhi..main ne be'niyazi se kaha tha..
kyun..???us ne phr pocha..
muje kisi ko alvida kehta acha nhi lgta..hum ne jitna b waqat guzara boht khoobsorat tha..main nhi chahti k jab b main in lamho ko yaad karon to mujhe alvida k ye udas lamhe b yaad aaye.,,main achi or khoobsorat yaadain sametna chahti hon..sirf khoobsorat lamhe..
jhoothi..us ne meri tarf dekh kr tanz bhara kehka lgaya tha..
mujhe pata hai tum kyun nhi aa rhi..ye sare jahan se nirali philosophiyan na jharo..
koi baat nhi hum aj sath hain to kal nhi hon ge..yahi zindgi ka taqaza hai..jb b main yaadon k ponji kholon gi to humesha tum mujhe yaad raho gi ..meri sb se achi Dost jo mujhe sb se zyda smjhti hai..meri har baat ko us se behtar koi nhi smjh sakta..jo mere jitni hi pagal hai..
tum ne hi kaha tha hume khushi se har cheez ko qabool kr lena chaheye..raste kahen b jate hon..manzalen zarur milti hain agr jazbe sache hon..plz yara udas mat hona ..
hum lakh chahye k jane wale ko hath tham kr rok len lekin nhi rok sakte..ye zindgi kbi kisi sorat me sakat nhi hoti..abi to ibtidah hai manzalon ki rahon me hume boht kuch chorna parta hai..Dost peche reh jate hain...lekin yaadain to hoti hain..apni pagal c is dost ko humesha yaad rkhna..udas mat huva kro..smjhiiii
tum esi roni roni sorat me boht dorani lagti ho..
us ne mera hi ek fikra aj mere liye istamal kia tha..
muje us k is andaz pe hansi aayi thi..
han..thek kehti ho tum..main ne us ki han me han milayi thi..
udas hone se kuch nhi hasil..akhir hum is alvida ko b to rangon ki tarha rangeen or khush'numa bna sakte the..bajaye is k rone dhone beth jayen..
chalo phr canteen chalte hain...us ne gehri si muskarahat chehre pe late huve kaha tha..
hain kya?..abi to wahan se aa rhe hain or kitna khao gi..uffff(zindgi me rang bharne ka ye wahid tarika tha us k pas{(doh)}){(moc)}
hum dono muskarai thi..
sare mosam sare manzr humare sath muskara uthe the..
zindgi ki kuch haqiqaten talkh or udas kr jane wali zarur hoti hain lekin agr hum chaheye to zindgi k canvas par udasi k rangon ko mita kr khushiyon or muskarahaton k rang bhar sakte hain..:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
zindgi ki kuch haqiqaten talkh or udas kr jane wali zarur hoti hain lekin agr hum chaheye to zindgi k canvas par udasi k rangon ko mita kr khushiyon or muskarahaton k rang bhar sakte hain..:)

true beautiful message :-bd
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
truly amazing.. such kahe tu kessi k chot jane ka dhuk wakiye mei buhut gahra hota hain chahe bahir se hum khush hone ki kitne he koshish kio na kero dil udaas tu rahta but as its mentiond above k yahi tu zindagi hain aur kessi maznil ko paane k lie tu buhut kuch khona perta hain dost aur baki sub bhi..
"hum lakh chahye k jane wale ko hath tham kr rok len lekin nhi rok sakte" completely agree so behter hain jaise aapne last lines mei likha k hum alvida ko bhi baki lamho ki terha rangeen and muskurate banaye like these two friends did.. really apreciate your work..
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mashaAllah :)
bohot hi umdagi se pesh kiya hai annu apne

hame bhi kuch sikhado ye sab kaise likhte hain
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Top