Wasi Shah Poetry Collection

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Chandni raat ke hathon pe sawar utri hai

Koi khushboo meri dehleez k par utri hai

Is mein kuch rang bhi hain khawab bhi khushboen bhi

Jhilmlati hoi khwahish bhi aarzooen bhi

Isi khushboo mein kai dard bhi afsany bhi

Isi khushboo ne bnaey kai deewany bhi

Mery aanchal pe umeedon ki qataar utri hai

Koi khushboo meri dehleez ke par utri hai

Isi khushboo se kai yaad k dar khulty hein

Mery peron se jo lipty to safr khulty hain

Yehi khushboo jo mujy ghar se utha lai thi

Ab kisi tor palt kr nahi jany deti

Meri dehleez bulati hai mujy lot aao

Yehi khushboo mujhy wapas nahi aany deti

Ranj aor dard mein doobi yeh bahar utri hai

Koi khushboo meri dehleez k par utri hai

Chandni raat ke haton pe sawar utri hai

Koi khushboo meri dehleez k par utri hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aaj yon mousam ney di jashan-e-muhabat ki khabar
Phoot phoot kar rony lagy hein main muhabat aor tum
Hum ney jonhi kar liya mehsus manzil hai qarib
Rasty khony lagay hein main muhabat aor tum
Chand ki kirnon nay hum ko iss tarha bosa diya
Devta hony lagy hein main muhabat aor tum
Aaj phir mehrumiyon ki dastanen orh kar
Khak mein sony lagy hein main muhabat aor tum
Khho gaey andaz bhi aawaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhony lagy hein main muhabat aor tum
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhe to ishq mein aysa bhe haal hona ha
K aashk rokna tum se mahaal hona ha
Her aik lab pe hain mere wafa k afsaney
Terey sitam ko abhi lazaval hona ha
Tumhein khabar he nahin tum to laut jao ge
Tumharey hijr mein lamha bhe saal hona hai
Hamari rooh per jab bhi azab utrein ge
Tumhari yaad ko uss dil pe dhaal hona ha
Her aik shakhs chaley ga hamare rahon per
Muhabbaton mein humein woh misaal hona ha
Zamana jis k khum-o-paich mein ulajhe jaye
Hamari zaat ko aisa sawal hona ha
Wasi yaqeen hai mujh ko woh laut aaye ga
Usey bhi apney kiye ka malaal hona ha
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi
Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi
Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi
Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon,
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho,
Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho,
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho,
Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon,
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho,
Soch raha hon kitne zyada alag alag hain,
Teri meri soch ke dhaarey,
Kitne zeyada judaa judaa hain,
Soch raha hoon,
Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese,
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain,
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain,
Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon,
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain,
Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye,
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain,
Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai,
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain,
Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata,
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai,
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,
Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain,
Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai,
Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai,
Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai,
Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon,
Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai,
Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne,
Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai,
Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain,
Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai,
Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta,
Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai,
Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat,
Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe
Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di
Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe
Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein
Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe
Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe
Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”
Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe
Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai
Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tum wahan ho, yahan nahin ho tum,
Gham hi gham hain, jahan nahin ho tum,
Ab kisi aur simt dekhta hoon,
Ab mera aasmaan nahin ho tum,
Ishq zinda rahe ga mera,
Haan magar jaavedaa’n nahin ho tum,
Yeh zameen, aasman, hamara dil,
Har jagha ho, kahan nahin ho tum,
Tum karri dhoop ka safar na sahi,
Haan magar saayebaa’n nahin ho tum,
Meri yadain tumhare sar per hain,
Jane man! be’imaan nahin ho tum,
Kis liye aap aap karte ho,
Mujh se gar bad’gumaan nahin ho tum..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main,
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe,
Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi,
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe,
Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai,
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se,
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leti hai,
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana,
Doston per fikray qassna,
Nit’naye masoom mansoobay banana,
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main bohat masroof rehti hai,
Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko,
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hai,
Ke mehke khawab bun’ne, khelne ka waqt hai uska,
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski,
Sadaa se hum ne dekha hai,
Mohabbat aadmi ko is’qadar sanjeeda karti hai,
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain,
Main darta hoon
Kahin yeh bhol’pan us ka,
Yeh har pal cheh’chihaana muskurana sab,
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye,
Kahin us shokhh ko bhi rog koi,
Chup chaap na lag jaye,
Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se….
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain,
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain,
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi,
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain,
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi,
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain,
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka,
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Zar ki namoos ki rasmon se baghaawat kar ke,
Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke,
Baiy’n karti huyi aankhain, yeh pareshan zulfain,
Aur kya chahte ho us se mohabbat kar ke,
Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan,
Hum ne dekha hai bohat in ki ibadat kar ke,
Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain,
Zulam karte hain woh zaalim ki himayat kar ke,
Dil ke sehraao’n ki veeraaniya’n jati hi nahin,
Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke,
Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi,
Laut jaye ga kisi roz sharaarat kar ke..
 
Top