Namaz Wazoo Ke Fazail aur Barkaat

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum Assalam zeeshan
jazakAllah khair k aapne ye mufeed baatein hame batlaayin.
laikin isme chund ek cheezen hain jo ksi bhi sahih aahadees se saabit nahi hain.

01 . wazoo karne se pahle koi khaas niyyat karna.
02 . wazoo se pahle bismillah poori parhna.halanke sahih muslim ki hadees me sirf bismillah parhne ko kaha gaya hai aur yahi Alah k nabi(pbuh) se sabit hai.
03 . gardan ka masah karna.ye bhi ksi sahih hadees se sabit nahi hai.balke sahih aahadees me jo tareeqa bataya gaya hai wo sirf sir(head) ka masaah karne keliye kaha gaya hai.

laikin aksar ye dekha jaata hai k hind o paak me logon ki aksar tadaad in cheezon par amal karti hai.jabke ksi bhi arab mulk me aisi baton ka koi khaas chalan nahi milta.Allah hame sahih baaton ki taraf rahnumaayi farmaaye aameen.
 
Top