Wazoo

  • Work-from-home

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Assalamoalaikum


Mera question ye hai k ager hum wazoo ki halat may hon or achanak ankh lag jay or 10 min tuk ager ankh kholay or namaz ka waqt ho to kia aisi halat may wazoo kayim rahayga ya dobara say kerna pareyga

Plz islamic roshni may iski wazahat ker dejiyay

Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakathu

Wazoo ki halat main agar halki si bhi aankh lug jaay to wazoo khatm ho jata hai.

Aap naheen bata sakti k aap kitni dair k liaay so gaeen theen aur neend ki halat main aap say koi wazoo tootnay ka amal huwa k naheen. So jis kaam main aap mazoor hon k kuch pata naheen chala sakti to sak k saath aap namaz hargiz naheen parhna chahain ki k pata naheen mara wazoo tha k naheen namaz huwi k naheen yay shuk hamaysha rahay ga.

Is liaay zaroor wazoo kar lena chahyay k sub ko maloom hai baghair wazoo k namaz naheen hoti to shuk ka kaam hamaisha chornay ka kaha gia hai k shuk aa jata hai.


Halki si bhi aankh lagnay say wazoo khatm ho jata hai is liaay wazoo kar k namaz parhna chahyay khud k dil ko bhi itminaan ho ga k apni taraf say aap nay har amaal poora kia agay Allah nain qubool kia k naheen yay us pay munhasir hai.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamoalaikum

Mera question ye hai k ager hum wazoo ki halat may hon or achanak ankh lag jay or 10 min tuk ager ankh kholay or namaz ka waqt ho to kia aisi halat may wazoo kayim rahayga ya dobara say kerna pareyga

Plz islamic roshni may iski wazahat ker dejiyay

isme mukammal wazoo ka tareeqa hai nazar dalen
http://www.tafrehmela.com/islam/128605-wazoo.html

aur jo baten is thread me bayan huyi hain wo aksar galat hain
neend se wazoo toot jata hai aur tv dekhne se nahi toot ta wallahu aalam
 
Top