Wo Aainay Ko

  • Work-from-home

diya ali

TM Star
Nov 23, 2010
1,104
661
1,013
Rawalpindi
Wo aainay ko bhi hairat mai daal daita hai
kisi kisi ko Khuda ye kamal daita hai



ajeeb shakhs hai, milta hai kutch nahi kehta
jawab sabko ko magar hasb e haal daita hai

bara e naam bhi jis ko wafa nahee'n aatii
wo sabko apni wafa ki misaal daita hai

junoon e ishq k hotay hain mukhtalif aadaab
kisi ko hijr kisi ko wisaal daita hai

tamam umr bhi jin ka jawab mil na sakay
wo imtehaan mai aisay sawal daita hai

ye wo hunar hai jo harr shakhs ko nahi aata
wo aansuo'n ko tabassum mai dhaal daita hai

ta'alluq apna hai EJAZ uss qabilay se
bhalai karr k jo darya mai daal daita hai
 
Top