Zamane ko apna bana kar to dekho

  • Work-from-home

pink-rose

Newbie
Jul 19, 2008
325
120
0
Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

Honthon ke paas aye hansi, kya majaal hai
Dil ka maamla hai, koi dillagi nahin
Zakhm pe zakhma kha ke jee, apne lahoo ke ghoont pee
Aah na kar labon ko see, ishq hai dillagi nahin

Dil laga kar pata chale ga tumhein
Aashiqui dillagi nahin hoti
Kuch khel nahin ishq ki laag,
Paani na samajh yeh aag hai aag

Khoon rulaye gi yeh lagi dil ki
Khel samjho na dillagi dil ki
Yeh ishq nahin asaan, bas itna samajh li jiye
Ek aag ka daryaa hai aur doob ke jana hai

Wafaon ki humse tawaqqo nahin hai
Mager ek baar azmaa kar to dekho
Zamane ko apna bana kar to dekho
Humein bhi tum apna bana kar to dekho

Rukh se naqaab utha ke bari der ho gayi
Mahol ko tilawat-e-Quran kiye hue
Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
Kabhi pardah kabhi jalwa yeh tamasha kya hai

Khudah ke liye chor do ab yeh parda
Ke hain aaj hum tum nahin ghair koi
Shab-e-wasl bhi hai hijaab is qadr kyun
Zara rukh se aanchal utha kar to dekho

Jafayein bahut ki, bahut zulm dhaye
Kabhi ek nigaah-e-qaram is taraf bhi
Hameshaa hue dekh kar mujhko barham
Kisi din zara muskura kar to dekho

Jo ulfat mein har ek sitam hai ganwaara
Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
Satate ho din raat jis tarha mujhko
Kisi ghair ko yun sata kar to dekho

Ager jey kisi baat par woh khafa hain
To acha yehi hai tum apni si karlo
Woh maanein na maanein yeh marzi hai unki
Mager unko purnam mana kar to dekho

Tumhein dillagi bhool jani pare gi
Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho
Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
 
Top