Zeest

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Jisey Naaz Sheesha E Dil Pe Hai
Usey Shayed Is Kii Khabar Nahi
Ke Yeh Pathroun Ka Dyaar Hai
Yahaan Koii Aaiyena-Gar Nahi

Wo Musafir E Shab E Zeest Hon
Ke Kisi Ki Mujh Pe Nazar Nahi
Meray Raastey Kii Sehar To Hai
Meray Raastey Mein Sehar Nahii

Meray Saath Saath Ravaan To Hai
Koii Saya Sa Kisii Yaad Ka
Hai Wohii Shareek E Saffar Mera
Jo Mera Shareek E Saffar Nahii

Gham E Dil Tera Gham E Dil Sahii
Isey Kar Too Nazar E Gham E Jahaan
Wo Charagh Koii Charagh Hai
Jo Charagh E Raah E Guzar Nahi

Yeh Shameem E Ishq Kii Be-Dilli
Yeh Hyaat E Fan Kii Udaasiyaan
Merey Shehar E Gham Mein Hai Kon Sii
Wo Galli Jo Khaak Basar Nahi

Main Kisi Ke Husn Kii Dil-Kashii
Jo Byaan Karoon To Bhi Kis Trah
Ke Nazar Ke Pass Zubaan Nahii
To Zubaan Ke Pass Nazar Nahi

Yeh Dyaar E Ghaflat E Shouq Hai
Na Humarey Saath Chaley Koii
Ke Guzar Rhien Hain Whaan Se Hum
Jhaan Khud Humarii Guzar Nahii

Na Shameem Ghuncha E Dil Khilla
Na Milli Hyaat Ko Roshnii
Yeh Sehar To Aur Kisii Kii Hai
Yeh Sehar Humarii Sehar Nahii
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Chalo khatam hoi aaj se dastaan_e_mohabbat
Ab hum tareekh_e_wafa main tera naam kanda kerte hain
Chalo aaj se hum chahat k zindaan main muqeed hoye
Teri yaad k sehra main dard_e_maazi ki waeed hoye
Chalo ab kitaab_e_zeest se auraq_e_wafa palatte hain
K ab hum wafa ko jafa likhen ge, saza likhen ge...!

K ab hum apni bheegi janwari ki shuroaat
Tere bakhse hoye azaab_e_tanhai se kerte hain
Chalo ab tumhari mohabbat ki umr-qaid muqaddar hoi
K hum ko wafa nibhaane ki saza to milni thi
Chalo ab hum apne haathon ki lakeeron se
Tera aks_e_jaan mita dain ge
Qalb_e_jaan main saji tasveer_e_mohabbat
Shab ki tanhai main chupke se hata dain ge...!

Is per bhi sehar koi gham nahi hota
K hum ko zamaane main teri ruswaai manzoor nahi
Shayad isi liye ye lehja gham nahi hota
Magar jab faseel_e_jaan se saans ukharrti hai to
Aese main hum aseer_e_mohabbat
Phir se ahed_e_wafa dohraane lagte hain
Itne zakhm khha kar bhi
Nishtar jaan ko teri aankhon ka
Surmai samander yaad aata hai...!

Aise main hum dair tak mazaar_e_mohabbat per
Nuha-giri kerte hain, aahain bharte hain
Aese main yaad_e_maazi ki her yaad
Nakhl_e_yaadan se mahev ho jaati hai
Aese main bus december ki
Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
Alwidaai manzer yaad aata hai
Aese main humen tu bhi nahi, teri chahat bhi nahi
Bus woh moabbat ka aakhri december yaad aata hai

Haan! Bus wo aakhri december...!!!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Mataa-e-zeest

meray ajnabi
meray bay-khabar
meray haath maiN kahaan ye hunar
k main beech raah sey wapsi ka
khayaal dil mein bhii la sakuN
tumhain chohR kar kisi moR par
kisi aur rastay pe jaa sakuN
meray chaara-saz-o-rafiq-e-jaaN
meray ajnabi meray aashna
koi aisa wesaa gumaN na kar
mujhay teray sath sey baRh k tou
kisi hamsafar ki talab nahi
k jo haath main tera hath hey
tou safar hii meri hayaat hey
ye safar thamay ga....
tou mera naam-o-nishaN kahan?
meray hamsafar
main teray bina
kahiN moat-o-zeest k darmiyaaN
na zameen meri na aasmaaN
meray badgumaaN meray mehrbaaN
meray raah-bar
meri iltajaaoN pe dhiyaaN kar
meri zindagi k safar ko dil sey dawam day
meri manziloN ko dhuwaaN na kar
tera saath hey meri zindagi
mujhay is tarah be-amaaN na kar...!
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
...( kash men tera ik haseeN kheyal hota)....



kash men tera ik haseeN kheyal hota.

teri subah ka agaz shub ka zawal hota.

tery wehm o guman sy khuwab o kheyal main,

daer o makaan sy hijr o wisaal main,

shuk o imkaan sy dard o wabaal main,

manoos tum mujh sy hoty apny kamal main,

teri soch ki hakoomat mery jah o jalal main,

tum Qaed kar k rakhty mujhy husn o jamal main,

tery shaok sy khelee mohabat ki bazi ka,

shutranj ki terha mohroN ka saQoot o chaal hota.

teri gardish e lahoo aor jism main hi rehta,

laboN per khushee aor tabasum sy obherta,

teri khilwatoN k zakhm ka men hi merhum hota,

teri julwatoN k jahan main mera bharum hota,

teri zeest ka humnawa aor yaar-e-gum hota,

zikr o afkaar k daery main Qaed ho kar,

teri daleel-e-muskorahut wa runj o malal hota.


kash men tera ik haseeN kheyal hota,
teri subah ka aagaz shub ka zawaal hota.
 
  • Like
Reactions: Rubi

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
bohat mumkin tha
mere paon meri zeest k kantey
nikal jate
bohat mumkin tha
meri raah k pathar pighal jatey
jo diwarein mere rastey mein hayel thi
mere agey se hat jati
agar tum ankh utha kar dekh letey
kohsaron ki taraf aik pal
chatanein ik tumhari junbsh-e-abru se kat jati
bohat mumkin tha
angaron bhari is zindagi mein
tumhare paon k ujley kanwal khiltey
rafaqat ki sunehri jheel mein
dono k aks-e-zulfishan hiltey
bus ik khwab -e- musalsal ki fiza rehti
hamari rooh hum se kab khafa reti?
ye sab kuch ain mumkin tha
agar tum mujh ko mil jatey
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Wo ek masoom si chahat
Wo ek benam si ULFAT
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mujhe mehsus hota hy
Wo mery pas hy ab b
Wo jub jub yad ata hy
Nigahon may samata hy
Zuban khamosh hoti hy
Magr ye ankh roti hy
Mein khud se poch leta hon
Jise mein yad krta hon
Usay kya pyar tha mujh se
Jwab "han" soch leta hon
Usay b pyar tha Shayad
Isi "Shayad" se wabasta hy ab to hr khushi meri
Yahi ek lafz "Shayad" ban gya hy zindgi meri....!
 
  • Like
Reactions: Asma Shah
Top