mashallah bht umda thread lagaya hai anu,
apne mulk apne watan ko kya pesh karun,
waqt pare to is ki khatir jaan bhi de dun,
me sab se pehle apne mulk ka naam se sare ilzam hatana chahta hun
is k lie jo bhi mumkin koshish hoti hai me kerta hun,
her insan jo bahar dosre countries me rehta hai,
or wo apne mulk-o-qaum ka ek taree k ka ambassador hota hai,
jo apne mulk ko bahar ki dunia me represent ker raha hota hai,
humari halki c bhi ghalti pori qaum ko badnami de sakti hai,
n humare thora sa bhi acha kaam qaum ka naam roshan ker sakta hai
isi tarha me bhi yaha jab bhi koi matter ho donation ka ya
kisi ki koi bhi madad ho to me ber cher k kerta hun k im representing my nation
hume chaiye k kuch nai ker sakte apne watan k lie to
to apne watan ka naam bhi kharab na karein...
is k ilawa kya kahun me pak me tha to uni n schools concerts kerta 14 august ko
n jo earn kerta tha charity me de deta tha.
apni jaan nazar karun
apni jaan nazar karun, apni wafa paish karun
qoum ke mard-e-mujaahid tujhe kya paish karun
tu ne dushman ko jala daala hai shola ban ke
ubhra har gaam pe tu fath ka naaara ban ke
is shujaat ka tujhe kya main sila paish karun
apni jaan nazar karun, apni wafa pesh karun
qoum ke mard-e-mujaahid tujhe kya paish karun
apni jaan nazar karun
umr bhar tujh pe Khuda apni inaayat rakkhe
teri jurrat, teri azmat ko salaamat rakhe
jazba-e-shoq-e-shahaadat ki duaa paish karun
apni jaan nazar karun, apni wafa pesh karun
qoum ke mard-e-mujaahid tujhe kya paish karun
apni jaan nazar karun
dil mein paida kiya ek jazba-e-taaza tu ne
mere geeton ko naya hausla bakhsha tu ne
kiyun na tujh ko in hi geeton ki nawaa paish karun
apni jaan nazar karun, apni wafa paish karun
qoum ke mard-e-mujaahid tujhe kya paish karun
apni jaan nazar karun...