Aik purana Silsila Naye Sire Se Shuru kiya Ja Raha hai,
@Mahen ne Kal behad behtareen andaaz me Rubaru Ka Tarruf Kar wa diya tha,
Par phir bhi mazeed batana chahungi ke,
Inshallah Rubaru Series main TM ke musannif/musannifa,shayer/shayera, ya Urdu adab ke ta'alluq se behad Aala zauq rakhne waale memberan ko mad'oo kiya jaega,taki unke aur unke zauq ke baare main hum mazeed jaan saken..
To Rubaru ke hamare pehle mehmaan wo hain jo khususan shero shayeri main
behad aala zauq rakhte hain.
To mazeed waqt zaaya na karte hue unke aur unke zauq ke baare main mazeed jante hain aur
unhe Interview k liye Mad'oo karte hain,
Gulon me Rang bhare baad-e-no Bahaar chale..
chale b aao k Gulshan ka karo'bar chale..!!!
@Asheer
Ye rahi Aapki Pehli Q. Sheet..