khuda k paak logon ko khua se nusrat ati hai
jub ati hai to phir alum ko ik alum dikhati hai
wo bunti hai hawa aur har khas e raah ko udati hai
wo ho jati hai aag aur har mukhalif ko jalati hai
kabhi wo khak ho kar dushmano k sir pe padti hai
kabhi ho kar wo pani un pe ik tufaan lati hai
gharz rukte nahin hargiz khuda k kam bundon se
bhala khaliq k age khalq ki kuchh paish jati hai
(from dur e sameen)