جھے زندگی میں قدم قدم پہ تیری رضا کی تلاش ہے

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
مجھے زندگی میں قدم قدم پہ تیری رضا کی تلاش ہے
تیرے عشق میں اے میرے اللہ! مجھے انتہا کی تلاش ہے

میں گناہوں میں ہوں گھری ہوئی ، میں زمین پہ ہوں گری ہوا
جو مجھے گناہوں سے نجات دے ، مجھے اس دعا کی تلاش ہے

میں نے جو کیا برا کیا ، میں نے خود کو خود ہی تباہ کیا
جو تجھے پسند ہو میرے رَبّ ! مجھے اس اَدا کی تلاش ہے

تیرے در پہ ہی میرا سر جھکے مجھے اور نہیں کچھ چاہیے
مجھے سب سے کر دے بے نیاز ، مجھے اس اَنا کی تلاش ہے

 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
bohot khoob :)
bas ishq ki jagah Muhabbat hota to zyada behtar hota
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
ishq mashook k liye bola jata hai biwi k liye bhi aur isme shahwat hoti hai
lekin Muhabbat har kisi k liye istemal hosakta hai aur isme sirf Muhabbat hi hoti hai

kya ham ye keh sakte hain ke ham apni maa se bahen se ishq karte hain?
issi tarah se ye ishq ham Allah k liye bhi nahi keh sakte wallahu aalam
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
ishq mashook k liye bola jata hai biwi k liye bhi aur isme shahwat hoti hai
lekin Muhabbat har kisi k liye istemal hosakta hai aur isme sirf Muhabbat hi hoti hai

kya ham ye keh sakte hain ke ham apni maa se bahen se ishq karte hain?
issi tarah se ye ishq ham Allah k liye bhi nahi keh sakte wallahu aalam
Phir Ishq e Haqeeqi kiun Bola jata hy?
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
kahan bola jata hai?
ab bhi ap samjhe nahi ishq aur muhabbat me farq?
i understand ,
Aur jo School me Iqtebas hote the ,
Ishqe Haqeeeqii kia Hy Aur IShq e Mijaazi , uska pooch rahi.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
i understand ,
Aur jo School me Iqtebas hote the ,
Ishqe Haqeeeqii kia Hy Aur IShq e Mijaazi , uska pooch rahi.
school ya kahin aur deeni baton ka itna dhyan nahi dete
behre haal shayari me aksar aise alfaz hote hain jo ghulu me aate hain aur bohot se shayar ashar likhte likhte shirkiya kalam bhi kar jaate hain

chunke wo koi bada shayar hai to iska ye matlab nahi ke wo deen k lihaz se har baat sahi keh raha ho

ye alag topic tha lekin samjha ne k liye ham keh rahe hain k kahin isse parhaya jaye ya kahin hai to iska matlab nahi ke ye sahi hi ho ya phir kahin aur bhi fit ho jaye yane mutabik ho jaye
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
bilkul..

Aur ALLAH pak k lie ISHQ ka lafz istemaal karna jaayez b hy.

kya aap Allah ke liye lafz ISHQ ka istemal karna quran aur hadees se daleel de sakte hain?
Allah ko uske asma e husna se pukara jayega aur wohi chezen Allah ki taraf boli jayengi jo uski shaan k layakh hai kisi shayar ka kehna 100% sahi nahi ho sakta aur wo kis maine me liya gaya usko bhi ghaur karna parhega wallahu aalam
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
kya aap Allah ke liye lafz ISHQ ka istemal karna quran aur hadees se daleel de sakte hain?
Allah ko uske asma e husna se pukara jayega aur wohi chezen Allah ki taraf boli jayengi jo uski shaan k layakh hai kisi shayar ka kehna 100% sahi nahi ho sakta aur wo kis maine me liya gaya usko bhi ghaur karna parhega wallahu aalam
Bhia ISHQ ka lafz ..ALLAH ki muhabbat k lie istemal karna ,
Isme Asmaaye Husna Ka Zikr Kaise aaya ?

ISHQ keh kar ALLAH ko pukaar to Nahi Rahi main..

Jis tarha ISHQ E RASOOL hota hy..
Same kind of Thing ALLAH k ishq k lie Bola tha mene.
 
  • Like
Reactions: Abidi and whiteros

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Bhia ISHQ ka lafz ..ALLAH ki muhabbat k lie istemal karna ,
Isme Asmaaye Husna Ka Zikr Kaise aaya ?

ISHQ keh kar ALLAH ko pukaar to Nahi Rahi main..

Jis tarha ISHQ E RASOOL hota hy..
Same kind of Thing ALLAH k ishq k lie Bola tha mene.
ishq na Allah ke liye bolna sahi hai na Allah k rasool alayhi salam k liye

misal k taur pe Allah farmate hain

وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِلہِ› البقرۃ: 165
ایمان والے اللہ سے بہت زیادہ محبت کرتے ہیں۔


aur Nabi e kareem sallellahu alayhi wasallam ka farman hai


«لاَ يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ، حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ» صحیح البخاري: 15
تم میں سے کوئی شخص اس وقت تک مؤمن نہیں ہوسکتا جب تک میں اسے اس کے والد، اولاد اور تمام لوگوں سےزیادہ محبوب نہ ہوجاؤں۔ ایک روایت میں نبی کریمﷺ نے یہ بات قسم اٹھا کر بھی فرمائی ہے۔



ishq lafz k maine hi aise hain k wo ham na to Allah k liye istemal kar satke hain na hi Allah ke rasool sallellahu alayhi wasallam liye

agar aap kisi cheez ko Allah aur uske rasool sallellahu alayhi wasallam k liye jayez keh rahe hain to phir uske liye zaroor hai daleel

wallahu aalam :)
 

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
bohat
مجھے زندگی میں قدم قدم پہ تیری رضا کی تلاش ہے
تیرے عشق میں اے میرے اللہ! مجھے انتہا کی تلاش ہے

میں گناہوں میں ہوں گھری ہوئی ، میں زمین پہ ہوں گری ہوا
جو مجھے گناہوں سے نجات دے ، مجھے اس دعا کی تلاش ہے

میں نے جو کیا برا کیا ، میں نے خود کو خود ہی تباہ کیا
جو تجھے پسند ہو میرے رَبّ ! مجھے اس اَدا کی تلاش ہے

تیرے در پہ ہی میرا سر جھکے مجھے اور نہیں کچھ چاہیے
مجھے سب سے کر دے بے نیاز ، مجھے اس اَنا کی تلاش ہے

zabardast :)
 
  • Like
Reactions: S!dd!Qá

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
d
ishq na Allah ke liye bolna sahi hai na Allah k rasool alayhi salam k liye

misal k taur pe Allah farmate hain

وَالَّذِينَ آمَنُوا أَشَدُّ حُبًّا لِلہِ› البقرۃ: 165
ایمان والے اللہ سے بہت زیادہ محبت کرتے ہیں۔


aur Nabi e kareem sallellahu alayhi wasallam ka farman hai


«لاَ يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ، حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ» صحیح البخاري: 15
تم میں سے کوئی شخص اس وقت تک مؤمن نہیں ہوسکتا جب تک میں اسے اس کے والد، اولاد اور تمام لوگوں سےزیادہ محبوب نہ ہوجاؤں۔ ایک روایت میں نبی کریمﷺ نے یہ بات قسم اٹھا کر بھی فرمائی ہے۔



ishq lafz k maine hi aise hain k wo ham na to Allah k liye istemal kar satke hain na hi Allah ke rasool sallellahu alayhi wasallam liye

agar aap kisi cheez ko Allah aur uske rasool sallellahu alayhi wasallam k liye jayez keh rahe hain to phir uske liye zaroor hai daleel

wallahu aalam :)
dekhen bhia jin jin Ahaadees aur Ayat ka Aap hawala die hyn ,
bilkul bilkul Durust hai...

Par Kahin bhi ISHQ ka lafz ALLLAH ya Uske Rasool (s.a.w) k lie Istemaal nahi klarsakte hain..iski mumaniat bhi nahi hy.


«لاَ يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ، حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ» صحیح البخاري: 15
تم میں سے کوئی شخص اس وقت تک مؤمن نہیں ہوسکتا جب تک میں اسے اس کے والد، اولاد اور تمام لوگوں سےزیادہ محبوب نہ ہوجاؤں۔ ایک روایت میں نبی کریمﷺ نے یہ بات قسم اٹھا کر بھی فرمائی ہے۔


is k mutaabiq...MEHBOOB lafz k maana kia hua?? Jo sabse Azeeez ho ? Aur Ashiq k Maana?? jo Kisi KHAAS cheez ho behad Azeez Rakhe..

So mere khayal se Behes nahi banta is bare me Kuch :)
jazakallah!
 
Top