ہمیں کس طرح بھول جائے گی دنیا

  • Work-from-home

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki
Khamushi Main Bhi Wo Baten Us Ki

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gain
Sher Kahti Hui Ankhen Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Hui Sansen Us Ki

Aise Mausam Bhi Guzare Ham Ne
Subhen Jab Apni Thin Shamain Us Ki

Dhyan Main Us K Ye Alam Tha Kabhi
Ankh Mahtab Ki Yaden Us Ki

Faisala Mauj-E-Hawa Ne Likkha
Andhiyan Meri Baharen Us Ki

Nind Is Soch Se Tuti Aksar
Kis Tarah Katati Hain Raten Us Ki

Dur Rah Kar Bhi Sada Rahti Hai
Mujh Ko Thame Hue Bahen Us Ki
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna
Main Samandar Dekhti Hun Tum Kinara Dekhna

Youn Bicharna Bhi Bahut Asan Na Tha Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur K Dubara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwaze Pe Chand
Ay Shab-E-Hijran Zara Apna Sitara Dekhna

Aaine Ki Ankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kya Kya Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Ku-Ba-Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazirai Ki

Kaise Keh Dun K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki

Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Pas Aaya
Bass Yahi Baat Hai Achi Mere Harjai Ki

Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe
Tujh Pe Guzre Na Qayamat Shab-E-Tanhai Ki

Us Ne Jalti Hui Peshani Pe Jo Hath Rakha
Rooh Tak Aa Gai Taasir Masihai Ki
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Ek Shakhs Ko Deakha Tha Taro Ki Tarha Ham ny
Ek Shaks Ko Chaha Tha
Apno Ki Tarha Ham ny
Ek Shaks Ko Samjha Tha Phoolo Ki Tarha Ham ny
Wo Shaks Qayamat Tha Kya Us ki Karen Baten
Din Us Ky Liye Paida Aor Us ki Hi Thi Raten
Kab Milta Kisi Sy Tha Ham Sy Thi Mulaqaten
Rang Us ka Shahabi Tha Zulfon Men Thi Mehkaren Aankhen Thi K Jadoo tha
Palken Thi K Talwaren Dushman Bi Agar Dekhen So Jan Sy Dil Haren
Kuch Tum Sy Wo Milta Tha
Baton Men Shahabat Thi
Ha Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Men Shararat Men
Lagta Bi Tum hi Sa Tha
Dastur-E-Mohabt Men
Wo Shaks Hamen 1 Din Apno Ki Tarha Bhoolla
Taro Ki Tarha Doobba Phoolo Ki Tarha Tootta
Phir Hath Na Aaya Wo Ham ny Bohat Dhoondha
Tum Kis Liye Chonky Ho
Kab Zikar Tumhara Hy?
Kab Tum Sy Takaza Hy?
Kab Tum Sy Shikayat Hy?
Ik Taza Hikayat Hy Sun Lo To Inayat Hy
Ek Shaks Ko Cha’ha tha apno Ki Tarha Ham ny
Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo To
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Aaj Yun Mausam Ne Dee Jashn-E-Muhabbat Ki Khabar
Phoot Ker Rone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Hum Ney Joon Hi Ker Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Raastey Khone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Chaand Ki Kirno Ne Humko Is Tarah Bosa Diya
Devta Hone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Aaj Phir Mehroomiyon Ki Daastane Orh Ker
Khak Mai Sone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum

Kho Gaye Andaaz Bhi Awaz Bhi Alfaz Bhi
Khamshi Dhone Lage Hain Mai Muhabbat Aur Tum
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
ye nuur kaisaa hai
raaKh kaa saa rang pahne
barf kii laash hai
laave kaa saa badan pahne
guuNgii chaahat hai
rusvaa’ii kaa kafan pahne
har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par
ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai
rupahlii chaaNv meN – badnaamioN kaa Deraa hai
ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai
ek intizaar-e-mujassam ka naam – Khamoshii
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii?
dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke
nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil
har ek moR pe bas do hii naam milte haiN
maut kah lo – jo muhabbat nahiiN kahne paa’o
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Aj Unhen Kuch Is Tarah Ji Khol Kar Dekha Kiye
Ek Hi Lamhe Mein Jaise Umr Bhar Dekha Kiye

Dil Agar Betab Hai Dil Ka Muqaddar Hai Yahi
Jis Qadar Thi Ham Ko Taufiq-E-Nazar Dekha Kiye

Khudfaroshana Ada Thi Meri Surat Dekhna
Apne Hi Jalwe Ba-Andaz-E-Digar Dekha Kiye

Nashanas-E-Gam Faqat Dad-E-Hunar Dete Rahe
Ham Mata-E-Gam Ko Ruswa-E-Hunar Dekha Kiye

Dekhne Ka Ab Ye Alam Hai Koi Ho Ya Na Ho
Ham Jidhar Dekha Kiye Pehron Udhar Dekha Kiye

Husn Ko Dekha Hai Main Ne Husn Ki Khatir ?Hafeez?
Warna Sab Apna Hi Mear-E-Nazar Dekha Kiyea
 
Top