a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein [...]