**Apni Dairy Se**

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shoq Faraz,
Jub Din Dhale Tu Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dia Kar

 
  • Like
Reactions: Atif-adi

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Hmmmm...hum funny songs nahi likh payenge..;)

shola hun bharakne ki guzarish nahi karta
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta
girti hui diwar ka hamdard hun lekin
charjte hue suraj ki parastish nahi karta
mathe k pasine ki mahak aye to dekhen
wo khoon mere jism main gardish nahi karta

subhan Allah

bohot hi umdah
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


acha rukein hum zara sidhi late hain phir niche ja ker smajhenge kitni gehri baat hai :D
SHIDDAT-E -GhUM KO TABASSUM SE CHUPANE WALE,
DIL KA HAR RAAZ NIGAHON SE BAYAN HOTA HAI.

SAMaJH SAKO TO SAMaJH LO ZINDAGI KE ULJHANE,
SAWAAL UTNE NAHI , JAWAB JITNE HAI. ........

__________________
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Wo to kuch ho hi gai tum se mohabbat varna
Hum to voh khudsar hai jo apni bhi tammanna na kare

************************************
Tum chali jaogi parchaiyan reh jaengi,
Kuch na kuch HUSN ki raanaiyan reh jaengi
Tum to us jheel ke sahil pe mili ho mujh se
jab bhi dekhunga yahin mujh ko nazar aaogi
yaad mit-ti hai na manzar koi mit sakta hai
door jaa kar bhi tum apne ko yahin paaogi
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain..


***************************************

Ek wada hai kisi ka jo wafa nahi hota
warna in taaron bhari ratoon mein kya nahi hota
Jii mein ata hai ulat dein un ke chehry ka niqaab
Hosla karty hain lekin hosla nahi hota
shama jiss abrooper jaan dy dy jhoom kar
wo patanga jal to jata hai fanaa nahi hota..
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Do hi lafzon ka tha woh afsana,
jo suna kar khamosh ho baithay..
ibteda yeh ke tum ko chaha tha,
inteha yeh ke khud ko kho baithay..

************************


Ek khushi ke lamhe se pahle sadiyon ki judaai thi.
Haasil hui jo mohabbat mein mujhe woh teri bewafai thi.
Khud jalkar bhi nikal laaye, jalte ghar se, teri us tasweer ko,
jis tasweer ko jalane ke liye,ghar mein aag lagai thi

 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
SHIDDAT-E -GhUM KO TABASSUM SE CHUPANE WALE,
DIL KA HAR RAAZ NIGAHON SE BAYAN HOTA HAI.

SAMaJH SAKO TO SAMaJH LO ZINDAGI KE ULJHANE,
SAWAAL UTNE NAHI , JAWAB JITNE HAI. ........
__________________
zindagi ko complicated banane me kya faida,
apne hi ghum me dooba rehne me kya faida,
ghum ko jab khushi me chupaya ja sakta hai,
to phir udas rehne me kya faida .. abhi abhi banay ahi janab ap k uper :)
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ahan superbb ranhger


hahahaa superb hota aap ka shaer bhi adi bhaya agar aap ne achi khaasi urdu poetry may "complicated" ka lafz use kar k baira ghark na kia hota ;))

waise realy acha shaer hay urdu thori ahem ahem hay :p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Do hi lafzon ka tha woh afsana,
jo suna kar khamosh ho baithay..
ibteda yeh ke tum ko chaha tha,
inteha yeh ke khud ko kho baithay..

************************


Ek khushi ke lamhe se pahle sadiyon ki judaai thi.
Haasil hui jo mohabbat mein mujhe woh teri bewafai thi.
Khud jalkar bhi nikal laaye, jalte ghar se, teri us tasweer ko,
jis tasweer ko jalane ke liye,ghar mein aag lagai thi

:-bd ranger jee hats off to u
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


zindagi ko complicated banane me kya faida,
apne hi ghum me dooba rehne me kya faida,
ghum ko jab khushi me chupaya ja sakta hai,
to phir udas rehne me kya faida .. abhi abhi banay ahi janab ap k uper :)

wah wah wah....
kya kahne aapke...
TM me to sare k sare shayer hazrat hain..
Likhte rahiye..apki wo jo Complication hai na khatam hojaygi..
MashAllah...keep it up...
Thankooo so much...
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
ahan superbb ranhger


hahahaa superb hota aap ka shaer bhi adi bhaya agar aap ne achi khaasi urdu poetry may "complicated" ka lafz use kar k baira ghark na kia hota ;))

waise realy acha shaer hay urdu thori ahem ahem hay :p
lols wo to tafreeh me dala tha,thora anokha bhi to lagna chaiye na sher :D
wese bhi thore din mushayere me aonga to khud seekh jaonga :D
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Top