Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana'n
Yaad kya tuje ko dilaein tera peman jana'n
Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai,
Kis qadar jald badal jaate hein insaan jana'n
Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai,
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan jana'n
Dil yeh kehta hai ke shaid ho fasurda tu bhi,
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan jana'n
Awal Awal ki muhabaat ke nashe yaad to ker,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jana'n
Aakhir Aakhir to yeh aalam hai ab hosh nahi
Rag-e-Meena sulag uthi ke rag-e-Jan jana'n
Mudatoon se yahi aalam na tawaqa na umeed
Dil pukare hi chala jata hai jana'n jana'n
Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakha tha,
Gam-e-Doraan se juda hai gham-e-jana'n jana'n
Ab ke kuch aise saji mefil-e-yara'n jana'n,
Sar be zanwan hai koi sir be grebaan jana'n
Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai,
Har koi apney hi saaye se harasaan jana'n
Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hai,
Shaher ka Shaher huwa dakhil-e-Zanda'n jana'n
Ab tera zikr bhi shaid hi ghazal mein aaye,
Aor se aor Huwe dard ke anwaa'n jana'n
Aor se aor Huwe dard ke anwaa'n jana'n
Hum ke roothi hoi rut ko bhi mana lete they
Hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijra'n jana'n
Hosh aaya to sabhi khawab they reza reza,
Jaise urte huwe aoraaq-e-preshan jana'n!......