Bait Bazi

  • Work-from-home

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
ASSALAM O ALIKUM
Ayen Lafzoon Ki Bait Bazi Shoro Karte Hen,
Aap Chahen Tou Agla Shair,

Shair Men Se Mojood Kisi Lafz Se Bhi Dai Sakte Hen
Ya Phir,Aap Koi Bhi Apni Pasand Se Bhi Lafz Dai Sakte Hen

Tou Janab Phir SHROO Karen BAIT BAZI:
hamari taraf se shair arz hai :)

Kal Ro para tha January bhi Yaad-e December mei Humdum
Mosam ne mosam ka, aakhir bharam to rakh liaa

Ab ap apni pasand ka lafz chun k shair paish karen :) :)

 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam
ahan njice thread n nice shaer

BHARAM:

toot jaaye jo bharam dil ka to phir aankhon se
boondain chehre pe lahu ki tara bikhar jaati hain
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
ahan good one..
LAHOO
Lahoo na ho to qalam tarjuman nahi hota
Hamare dor may ansoo bezbaan nahi hota
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Assalam o alaikum

tu idhar udhar ki na baat kar
ye bata k qaafila kyun luta
mujhe rahzanaon se gila nahi
teri rahbari ka sawal tha​
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
koi lafz ya options tou djye ek dusre ko

---------- Post added at 12:44 PM ---------- Previous post was at 12:41 PM ----------

is rehzan e hayyat se zamane se dor chal
mar b gaye tou chadar e sehra buri nae,
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
lafz (hai)

Badla na teray bad b mozo-e-guftago”
“Tu ja chuka hai phir b meri mehfalon mein hai”
Majboorion Ki Khabar Hai Mujhey....,
Baat Baat Par Kasmein Na Khaaya Karo....;
Roz Geiron Ki Majlis Mein Jaate Ho Tum....,
Kabhi To Apno Ki Mahefil Sajaaya Karo..!!!
 

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
maine masoom baharon mein tumhe dekha hai
main puurnoor sitaron mein tumhe dekha hai
mere mehboob tere parda nasheeni ki kassam
main ashqon ki kataroon mein tumhe dekha hai
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
daikha

mom ki tara pigalte hue daikha usko
rut jo badli badalte hue daikha usko

wo jo kaanton ko bhi narmi se chua karta tha
hum ne phoolon ko masalte hue daikha usko

jaane kis gham ko chupaane ki tamana thi usse
aaj har baat par hanste hue daikha usko

jaane duaon may maange jaata hay kisse
Hatth uthte hi sisakte huey daikha usko
 

Sweet-doll

Senior Member
Dec 6, 2011
652
401
363
karachi
bichra


jo khayal thay na qayas thay wahee log humsay bichar gayay
meri zindagi kee jo aas thay wahee log humsay bichar gaya
 
Top