~Bazm-e-sukhan Anaaya Ali k sath~ *Amreen*

  • Work-from-home

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
assalam o alaikum amreen jiiiii.ye lijiye hamare chund sawalat

1 . aap kis medium se apni taaleem hasil kin?
2 . urdu adab se kahan tak lagao hai?
3 . jab koi urdu bolta hai to aapko kaisa mahsoos hota hai?
4 . urdu zuban ka pahla naam kia tha?
5 . urdu adab ki baqa keliye hamey kia iqdamaat karne chahiye.

note : last sawal bahot imp.hai iska jawab bhi maaqool dijiye.

ye rahe chund ek sawalat iske jawab den main fir se naye sawalat k saath hazir e qidmat rahunga inshaAllah amreen jiiiiiiiiii.
walekum salam...:)

bohat ache sawal kiye hain main koshish karti hoon aapke sawalon ke jawab ache se de sakoon...:)

1. maine hinglish medium se taleem hasil ki hai means english aur hindi dono se...:)

2. bohat zyada lagao hai ... bachpan se hi taleem to urdu medium me nahi li maine per abbu ghar me hi urdu story books , novels , risale waghaira la ke dete the to is tarah urdi adab se lagao bana raha...:)

3. bohat khushi hoti hai ke aaj ke zamane me bhi jab log english ko zyada fauqiyat dene lage hain english bolna status symbol samajhne lage hain...aise me koi khalis urdu bolne wala mil jaye to bohat khushi hoti hai ke hai koi aisa bhi abhi jo urdu tahzeeb ki izzat karta hai usko value deta hai... :)

4. mujhe to ye bhi nahi pata ke urdu zaban ka koi pehla naam bhi tha...kitni nikammi hoon main...{(oh0(}

5. logo ke beech urdu adab ke liye dilchuspi paida karne ki zaroorat hai sabse pehle...jab tak dilchuspi paida na hogi iski baqa ke liye koi kya kar sakega...:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
mohtarma Amreen agar apko shayari likhna pare to ap konsa mauzu chunenge

agar ap hamse guftugu karna chahen shayarana andaz me to wo kaise karenge
shayri likhna ho to mauzoo main khwab chunna chahoongi kyunki khwab me her cheez mumkin hoti hai...:)

aapse shayrana andaz me guftgu...ok chaliye main aapke sawal ka intezar kar rahi hoon isi per kuch arz karti hoon...{(thinkg)}

Betabi ka hamari na aap haal poochiye
kab se muntazir hain ek sawal pochiye...

kesa hai...:)

are wah ye to mera sher ho gaya sach much ka...{(yahoo12)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


shayri likhna ho to mauzoo main khwab chunna chahoongi kyunki khwab me her cheez mumkin hoti hai...:)

aapse shayrana andaz me guftgu...ok chaliye main aapke sawal ka intezar kar rahi hoon isi per kuch arz karti hoon...{(thinkg)}

Betabi ka hamari na aap haal poochiye
kab se muntazir hain ek sawal pochiye...

kesa hai...:)

are wah ye to mera sher ho gaya sach much ka...{(yahoo12)}

masha Allah khwab bohot acha topic rahega lekin konsa khwab khuli ankh wala ya band ankh wala ?

Betabi ka hamari na aap haal poochiye
kab se muntazir hain ek sawal pochiye...
waah kya baat hai

haal to khud apne bayana kardiya
ab ham puchen bhi to kya puchen
 

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad





4. badalte mausamo me mausam ke hisab se dil kabhi khush to kabhi udas huwa jata hai...per barish aur sardi dono hi mere pasandeeda mausam hain...barish me bheegna mera pasandeeda shaghal hai...tab tak bheegti rehti hoon jab tak ammi se dant na par jaye...:D


خوش آمدید
Amreen

ویسے شاعری میں ہم زیادہ تر بھیگے موسم اور سردی کا لحاف ہی پڑھتے ہیں، شاید شاعروں کو بھی یہ موسم اچھے لگتے ہیں۔
بڑی خوشی ہوئی کہ آپ ڈاکٹر بھی ہیں جس طرح آپ کے استاد صاحب آخر میں ایک شعر کہا کرتے تھے آپ بھی مکمل شاعرہ بننے کے بعد ہر مریض کے نسخے کے بعد ایک شعر لکھا کریں گیں۔
بڑی خوشی ہوئی آپ کا انٹریو پڑھ کر
شکریہ

 
Top