~Bazm-e-sukhan Anaaya Ali k sath~ *Amreen*

  • Work-from-home

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
han sach hi to kaha hai ke pehle zara bhi dilchuspi nahi thi...bus sir ko hi sher parhte dekh kar ye khwahish huwi ke main bhi unke sher ka jawab sher se hi doon...bus isi khuwahish se maine sher o shyri me dilchuspi lena shuru kiya bus ek bar shuru kiya to dilchuspi barhti hi gai...aisa nahi tha ke main hamesha se hi sher o shyri ki deewani rahi thi...wo to bus ab ja ke ho gai hoon...:)
eham eham mohtarma....
ye aisa alaa zaukh hai jo har kisi k hissay me nahi ata...
isko samjhne k liye ya to Ghalib ya to Ustad Dagh Dahelvi darkar hain..{(wacko)}

Waise is bazm me hum bhi sawalth puchne k mustaheq hain?
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513



array aap to bohot gehrai me chale gaye
waise apne khayalat ko qalam k zariye kagaz par shakal deni hai aur kuch nahi
aur kuch upar niche ho to dagh dehelwi sahiba hai hamare paas

balke ham to apko sujhao denge k aap ek baar koshish zaroor karen :)
ohhh Khudaya apne to Dagh dahelvi ko zinda maar diya....{(haha}){(haha}){(haha})
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India



array aap to bohot gehrai me chale gaye
waise apne khayalat ko qalam k zariye kagaz par shakal deni hai aur kuch nahi
aur kuch upar niche ho to dagh dehelwi sahiba hai hamare paas

balke ham to apko sujhao denge k aap ek baar koshish zaroor karen :)
aapke sujhao ka bohat bohat shukriya um to bhool hi gaye the ke jab tak dag dehlavi sahiba amare sath hai hamare liye kuch bhi na mumkin nahi...{(doh)}
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India

eham eham mohtarma....
ye aisa alaa zaukh hai jo har kisi k hissay me nahi ata...
isko samjhne k liye ya to Ghalib ya to Ustad Dagh Dahelvi darkar hain..{(wacko)}

Waise is bazm me hum bhi sawalth puchne k mustaheq hain?
ustadni dag dehlavi sawal na poochen to ye kesi bazm hogi....:(
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmm aap se maira sawal

amooman aise hota hay k koi lafz ya topic suntey hi hmare mind may kuch na kuch baat aati hay kuch na kuch nazaryaat hotey hain
koi aisa topic koi aisa sawal jo kabhi kisi ne aap se poocha aur aapko laga ho k aap k paas kehne ko kuch nhi hay?
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
nahi hoor aisa swal to kisi ne nahi kiya ke jab muje laga ho ke mere pas kehne ko kuch bhi nai hai...:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
gud going dear sis:)
abi main aa rhi pa rhi...{)^})
jald hi aa k yahan ap k sath maze kren ge..{(gimmefive)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
main aa gyi...lekin ab dua kro..light hi na chali jaye...{)^})
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
aj humare shahar ka mosam boht suhana hai..barish huvi hai abi..
koi nazm ya shair hi suna den..is manasbat se..
itni dair me main pichle jawab parhti hon..:)
 
  • Like
Reactions: Amreen

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


han ji annu hum sawalat ke jawab de rahe hain...wese sawalat bohat ache hain...:)

1. annu is sawal ka jawab dena bohat mushkil hai mere liye...kyunki khud mujhe nahi pata ke shayri me meri dilchuspi kab aur kese paida huwi...shuru se mujhe zara si bhi dilchuspi nahi thi sher o shyri se...lekin jab main Masters kar rahi thi to hamare ek sir the wo apni her bat ke ikhtetam per koi sher zaroor parhte the...bus unke sher sunte sunte achanak se hi meri shyri me dilchuspi jagne lagi...mera bhi dil chahne laga ke unke sher ka jawab main sher se hi doon...bus isi khuwahish ne shyri ki taraf mere zehen ko mor diya...aur khud ba khud shayri me dilchuspi barhne lagi...to bus yehi kahani hai mere shayri me dilchuspi lene ki aisa kabhi nahi raha ke main hamesha se hi sher o shayri me interest rakhti thi ye interest to achanak se hi develove ho gaya...:)
wah..bari dil'chasp kahani hai apki...dekh len ap ka achanak shairy me dil'chaspi huvi ye baat humare liye boht khush'aind sabit huvi,warna hume itni achi shairy k mod charag ly kr dhondne se b na milti..{(thinkg)}:)

2. Jis tarah khwaab mere ho gaye reza reza
Is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
boht umadh...
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
aj humare shahar ka mosam boht suhana hai..barish huvi hai abi..
koi nazm ya shair hi suna den..is manasbat se..
itni dair me main pichle jawab parhti hon..:)
barish to abhi abhi hamare yaha bhi shuru huwi hai to aapke sath sath hamare yaha ka mausam bhi suhana ho raha hai...aapki farmaish per ye nazam hazir hai...:)

barishoN ka mausam hai
rooh ki fizaaoN maiN
besabab udasi hai

is ajeeb mausam mai
beqarar ratoN maiN

beshumar bateN haiN
un ginat fasane haiN

jo bohat khamoshi se
dil pe sehte phirte hai

aur yeh amr-e-majboori
sab se kehte phirte haiN

............................aaj mausam acha hai
aaj ham bohat khush haiN
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113



3. han kabhi kabhi...baz dafa aisa hota hai ke hum her bat jaban se nahi keh pate...wo baat hamare dil me hi dabi reh jati hai...per kabhi agar koi sher hamari nazar se guzarta hai aur use parh ke lagta hai ke ye to hamare hi dil ki awaz hai jo hamare dil me hi dabi reh gai kabhi zaban se ada nahi ho saki ye to wohi bat hai....to is lehaz se shayri sach bolti hai....:)
han g bilkul...

4. badalte mausamo me mausam ke hisab se dil kabhi khush to kabhi udas huwa jata hai...per barish aur sardi dono hi mere pasandeeda mausam hain...barish me bheegna mera pasandeeda shaghal hai...tab tak bheegti rehti hoon jab tak ammi se dant na par jaye...:D
hahhaha..barish me dant par jaye to barsat ka maza dubala ho jata hai..{(moc)}

dicember ki thithurti sardiyon me dhundh ki chadar me lipta zard sa chand dekhna aur dhundh me door tak chalte chale jana dhundh ke wajah se aage kuch na dikh raha ho per chalte hi chale jana mera pasandeeda shaghal hai.... :)
wah g..boht ba'zoak hain ap to muhtar ma:)
wese ap k andaz-e-bayan semuje lga k ap kuch acha likh b skti hain..try kijiye ga..nsr ya shairy likhne ki..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113


barish to abhi abhi hamare yaha bhi shuru huwi hai to aapke sath sath hamare yaha ka mausam bhi suhana ho raha hai...aapki farmaish per ye nazam hazir hai...:)

barishoN ka mausam hai
rooh ki fizaaoN maiN
besabab udasi hai

is ajeeb mausam mai
beqarar ratoN maiN

beshumar bateN haiN
un ginat fasane haiN

jo bohat khamoshi se
dil pe sehte phirte hai

aur yeh amr-e-majboori
sab se kehte phirte haiN

............................aaj mausam acha hai
aaj ham bohat khush haiN
wahhh..boht khoob..
aj phr humare han barish huvi..:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
5. Han sunaya to hai...aur wo main aapko sunati hoon...:)

chup ke aalam me wo tasweer si soorat uski
baat karne me badal jati hai rangat jiski

jo parh sako to un aankhon ki wo tehreer parho
moo se iqraar na karna to hai aadat uski
wow..kya waike hi esa hai..:)

6. Han na...;;)

aarzoo sabar talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karoon khon e jigar hone tak
hum ne mana ke taghaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak....:d

ye maine apne beqaraar qism ke dost ke liye parha tha aksar mazaq mazaq me ye shair parh ker use chera karti hoon...:p
hum ne mana ke taghaful na karoge lekin
khak ho jayenge hum tum ko khabar hone tak...
Acha..wahhh..han g ese dost hote hain jin se shairy me baatain krne me boht maza aata hai..:)


 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
welcomeee amreeeen ji aapka yahan swagat hai.inshaAllah thodi der baad sawalat bhi karenge aap jawab k saath tayyar rahiyega.
 
Top