mashaAllah yahan to aapne mujhpar fatwa hi dediya k main na ahal hun.khair aapne mujhe aisa kaha main iska bura nahi manunga inshaAllah kyunke main islam k maamle me abhi kamzoor hi hon.bus jitna il mere paas hai usi ko ballighu anni walao aaya k tahat logon tak pahunchaane ki koshish karta hon.
aapne jo sawal poocha k is aayath ka shaan e nazool kia hai aur kyun ye aayath Allah ne naazil ki.
ye aayath hajjat ul wida k maoqe par nazil ki gayi thi jo juma ka din tha 10 hijri aur us waqt Allah k nabi(pbuh) apne is azeem qutbe se faarigh huye hi thei k Allah ne ye aayath unpar nazil ki.aur jab ye aayath nazil hui to hazrat omar raziAllahu anhu roone lage to Allah k nabi(pbuh) ne farmaya k aye omar kyun roote ho?kaha k hum log deen k taaluq se ziadati me thei laikin ab jab wo mukammal hogaya hai to jo cheez mokammal hojaati hai wo ghatne lagti hai.aap(pbuh) ne farmaya tumne such kaha.
aur is waqiye k baad 12 rabi ul awwal 11 hijri monday k din chaahst k waqt aap(pbuh) ki wafaat hui is waqt aap(pbuh) ki omar 63 saal 4 din thi.inna lillahi wa inna ialaihi raajioon.
wah wah kia khhob likha aapne k quran ko samajhna har ksi k bus ki baat nahi.
mohtarma ye kahne se pahle zara 10 baar sonchlia hota k kia main quran k khilaaf to nahi kah rahi hon.khair aap ka kia aapkeliye to ye choti baatein hain.zara meri signature me nazar daalein aur dekhen k kia likha hai kaunsi aayath ka maine isme zikr kia hai ye surath al qamar ki aayath no17 hai.jisme wazeh aur khule alfaaz me Allah taala irshaad farma raha hai k "humne quran ko samajhne keliye aasaan kardiya hai pus kia hai koi naseehat haasil karne wala".
yahan par kinse qitaab kar raha hai Allah taala farishton ya jinon ya fir koi aur maqlooq balke yahan insanon se qitab hai.k jo samajhna chahe unkeliye isse aasaan kardiya hai laikin jinke dil terhe hon to unhe har cheez mushkil hi nazar aati hai.aur yahi bahan banakar tum log quran ko samajhkar parhte nahi ho.jiski wajah se naam nihaad log aam musalmanon ko gumraah karte firte hain.
Allah aapko hidayat de aameen.