Boycott Voting Boycott Democracy

  • Work-from-home

marzish

TM Star
Feb 6, 2013
1,359
1,004
613
Narnia
Dear brothers and sisters jiska aap bol rahe hain use " Shoora " kehte hain jisme community ke chand
moatbar buzarg loug apna khalifa chunte hain yaad rahe khilafat mein koi ye
demand nahin karta ke mujhe khilafat do khilafat do jo aise kare use to khilafat naa dene
ka hukm hai jabke Jamhuriyat ke asool iske bar aks hain

doosri baat Jamhuriyat se sirf ye ikhtilaaf nahin ke Jamhuriyat mein loug vote dete hain
Jamhuri nizam ka maqsad hai kisi bhi Mazhab o Deen se hat kar sirf insaaniyat ki
baqa ke liye qawaneen banana bamutabiq Jamhuriyat aapke Watan ke Musalmaan
ghair Mazhab eik barabar hain hatta ke koi shakhs kufr kyun na kar le agar wo kufr
aapke law ke against nahin so use kuch nahin kiya jaayega (NA'UZBILLAH) aur mein
Jamhuriyat ko sirf meri taraf se bura nahin keh raha aap loug tafseelan jaannna chahte hain
to Allama Shaikh Imran Nazar Hosein ke bayanaat suniye Jamhuriyat ke hawale se IN SHA ALLAH
mein bhi eik share karunga

wo nizaam jisme kuch Sahaba se aur qoum
ke kuch moatbar lougon se poocha jaata hai use Shoora kehte hain

...@Don @MysTeri0uS @kool~nomi @Bheegi Palkain @marzish @Sarlaa_TM

IJ means sister ??



Is sawaal ka jawaab Mulk ke moatbar shakhsiyaat de sakengen agar ye Jamhuriyat ka
corrupt tareen o kufriya nizam khatam kiya gaya to aise loug milne lagengen
ap ny bilkul theek kaha usy SHOORA kaha jata tha but khelafat k bad wo nizam kabhi dobara dekha gaya kia ??? wo to boht phly khatam ho gaya
Aj k doar mein ap hi bata dein aesy mutabar log kahan milly gay jo khud demand na karein hukumat ki
 

Iceage-TM

Tagging Master
Super Star
Sep 23, 2012
5,533
9,461
1,113
Malir Cantt Karachi
bhai main aap se agree nahi karta....
afsos main aaj pak main nahi hoon....!
Kuch bhi ho jata main apna qimti vote zaroor zaroor cast karta....i think aap jaisi soch rakhne wale logon ki wajah se corrupt log hamare hukamran ban jate hain....meri baat buri lagi ho tou lage sanu ki.....
Himmat hai to pass kar
warna bardasht kar
corruption hamare vote na dene se ni bul k hamare deen pe na chalne se hai... namazen hum parte ni jhoot hum chorte ni qatal krne se hum baaz ate ni haraam khana chortey ni or bat krtey hen vote dene ki ? bare bol her koi bol leta hai lekin usey ye ni pata hota k usne kia bola hai...hume Allah k haan jana hai isliay Allah k deen ko phelana hai... tableegh ka kam hum krtey ni or votings k chakkaron mai namazen tak chor dete hen or sara sara din TV k samne bethay rehtey hen
ap kehtey hen hamari jesi soch rakhne walo ki waja se corrupt log bare banjate hen to hamare buray aamaal phir kis khaatey mai jate hen ? agr hum Allah k hukum or Nabi k tariqon ko apnaingey to phir hume in sha Allah kisi ko vote dene ki zarorat b pesh ni aigi Q k phir Allah k han se zabardast fesley aingey lekin ap jese log esi soch rakhenge jo sirf vote he k liay ho to phir to bohot he mushkil hai k Qayamat tak b koi acha ajaye... Afsos.... Allah hidayat de hum subko aafiat k sath... aameen
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Iceage-TM

Tagging Master
Super Star
Sep 23, 2012
5,533
9,461
1,113
Malir Cantt Karachi
sb yahi soch kar beth jaen to tabdeli kaisy aey nd agar ALLAH na kary apko us blast mein koi nuksan pohchna hota to ap wahan zrur jaty ye trust hona chaeay jo hona hy wo ho k rahna hy
to jo hona hai wo ho k rehna hai phir hamare vote dene ya na dene se kia hoga ? voting b to sai se ho ? hum vote kisi ko den or jai kisi ko ye thik hai ?
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
assalam alaikum tamam islami bhaion aur bahno :)

hazrat allama iqbal rahimahumullah ne bahot khoob kaha tha k -- jamhuriat me insan ko gina jaata hai aur shariat me insan ko tola jaata hai -- ye baat waqayi bahot sunehre alfaaz me likhne k qaabil hai.jamhuri nizaam me ek literate aur illiterate dono barabar hain laikin shariati nizaam me literate aur illiterate alag alag hain.dono barabar nahi.

laikin ab masla hamare paas ye hai k shariati nizaam ki jitne log bhi baat karte hain.unse agar ye sawal kia jaaye k aapke paas kia iska koi nizaam ya structure moujood hai.to jawab aksar ka na me hi hota hai.hum me se aksar shariati nizam ki baat to karte hain laikin awaam ko dene aur samjhaane keliye inke kuch nahi hai.

ab aayiyye dosre masle ki taraf.sharayi nizam agar hum naafiz karna chahen to kaunsa naafiz karenge quran o sahih aahadees ki roshni me ya fir fiqa ki roshni me????

agar hum me se chund log kahen k nahi sharayi nizam sirf aur sirf quran o aahadees ki roshni me hi naafiz hona chahiye to aise logon ki tedaad pakistan me bahot hi qaleel hai.to ye system adopt hone se to raha.

laikin agar koi ye kahe k nahi sharayi nizam e hukumat fiqah ki roshni me hona chahiye to fir hamare zahan me sawal paida hota hai k kis fiqah ki roshni me sharayi nizam naafiz kia jaaye.fiaqah hanfia,fiqah maaliki,hanbali,shafayi ya jaafria????

agar in tamam me se kisi ek fiaqah ka inteqaab hojaye to hamara khalifa kaun ho????kia koi hamari nazar me aisa insan moujood hai???kyunke barelvi bhi hanfi,tableeghi bhi hanfi,jamat e islami bhi hanfi,tanzeem e islami bhi hanfi.

yahan to fasaad hojayega kahlifa k inteqaab par.

isliye pahle hame sharayi nizaam naafiz karne keliye logon me deen ka shauoor bedaar karne ki zaroorat hai jab hum samjhenge k waqayi hamari qoum me aksariyat deeni shaoor ki hamil hogayi hai.to fir tawakkalna alallah.

ab dekhiye hakeem ullah mahsood ne jo tahreek e taliban pakistan ka leader hai usne yesterday ek dhamki di k saare pakistan me is nizam ko fail karne keliye khudkush hamle kiye jaayen.aur aaj humne dekha k ye hamle waqayi hue aur kitne log be gunah log maare gaye ,kitni maayishat tabah hui.ye sab kiska nuqsan hua kis ko mar rahe hain aap?kia ye tareeqa sahi hai??

nahi na.

ksi ko agar meri baat se takleef hui ho to main muazirat chahta hon.:)
Agree with yOu..!

sab se pahlay tu humain as Muslim apni Life main Islam ko pori terah implement kernay ki zruorat hay..! Jab Individually Hum Islam ki sahi Talimaat se awareness hasil ker lain gay tu as Nation Hum us system main Dhal sakain gay..!

Laken sab zyda afsos ki baat hay k Jo log Islam aur Shariat Nafiz kernay ki baat kertay hain Un main se zyda ter K Kirdaar or amal hi Islam K khilaaf hain..!
 

kingnomi

Doctor
Super Star
Jan 7, 2009
12,873
10,849
1,313
Owsum , Superb , Very Nice :P
assalam alaikum tamam islami bhaion aur bahno :)

hazrat allama iqbal rahimahumullah ne bahot khoob kaha tha k -- jamhuriat me insan ko gina jaata hai aur shariat me insan ko tola jaata hai -- ye baat waqayi bahot sunehre alfaaz me likhne k qaabil hai.jamhuri nizaam me ek literate aur illiterate dono barabar hain laikin shariati nizaam me literate aur illiterate alag alag hain.dono barabar nahi.

laikin ab masla hamare paas ye hai k shariati nizaam ki jitne log bhi baat karte hain.unse agar ye sawal kia jaaye k aapke paas kia iska koi nizaam ya structure moujood hai.to jawab aksar ka na me hi hota hai.hum me se aksar shariati nizam ki baat to karte hain laikin awaam ko dene aur samjhaane keliye inke kuch nahi hai.

ab aayiyye dosre masle ki taraf.sharayi nizam agar hum naafiz karna chahen to kaunsa naafiz karenge quran o sahih aahadees ki roshni me ya fir fiqa ki roshni me????

agar hum me se chund log kahen k nahi sharayi nizam sirf aur sirf quran o aahadees ki roshni me hi naafiz hona chahiye to aise logon ki tedaad pakistan me bahot hi qaleel hai.to ye system adopt hone se to raha.

laikin agar koi ye kahe k nahi sharayi nizam e hukumat fiqah ki roshni me hona chahiye to fir hamare zahan me sawal paida hota hai k kis fiqah ki roshni me sharayi nizam naafiz kia jaaye.fiaqah hanfia,fiqah maaliki,hanbali,shafayi ya jaafria????

agar in tamam me se kisi ek fiaqah ka inteqaab hojaye to hamara khalifa kaun ho????kia koi hamari nazar me aisa insan moujood hai???kyunke barelvi bhi hanfi,tableeghi bhi hanfi,jamat e islami bhi hanfi,tanzeem e islami bhi hanfi.

yahan to fasaad hojayega kahlifa k inteqaab par.

isliye pahle hame sharayi nizaam naafiz karne keliye logon me deen ka shauoor bedaar karne ki zaroorat hai jab hum samjhenge k waqayi hamari qoum me aksariyat deeni shaoor ki hamil hogayi hai.to fir tawakkalna alallah.

ab dekhiye hakeem ullah mahsood ne jo tahreek e taliban pakistan ka leader hai usne yesterday ek dhamki di k saare pakistan me is nizam ko fail karne keliye khudkush hamle kiye jaayen.aur aaj humne dekha k ye hamle waqayi hue aur kitne log be gunah log maare gaye ,kitni maayishat tabah hui.ye sab kiska nuqsan hua kis ko mar rahe hain aap?kia ye tareeqa sahi hai??

nahi na.

ksi ko agar meri baat se takleef hui ho to main muazirat chahta hon.:)
Walaikum salam .. Arshad bro boht hi khoob kaha hai aap nay strongly agree with you brother ... Jab firkawariyat khatam nhn hogi sharayi nizam nhn aa sakta aur idher toh 100 firqay aur shirk aur bidat inteha per hai aur loug bhi had se ziyada jis me touheed walon ko taadad bht kam aur woh loug sharayi nizaam nhn laa saktay aur sahi kaha phele deeni shaoor peda karna hoga logo me {()|564 ...
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

MysTeri0uS

Super Star
Oct 31, 2012
8,792
1,497
1,213
corruption hamare vote na dene se ni bul k hamare deen pe na chalne se hai... namazen hum parte ni jhoot hum chorte ni qatal krne se hum baaz ate ni haraam khana chortey ni or bat krtey hen vote dene ki ? bare bol her koi bol leta hai lekin usey ye ni pata hota k usne kia bola hai...hume Allah k haan jana hai isliay Allah k deen ko phelana hai... tableegh ka kam hum krtey ni or votings k chakkaron mai namazen tak chor dete hen or sara sara din TV k samne bethay rehtey hen
ap kehtey hen hamari jesi soch rakhne walo ki waja se corrupt log bare banjate hen to hamare buray aamaal phir kis khaatey mai jate hen ? agr hum Allah k hukum or Nabi k tariqon ko apnaingey to phir hume in sha Allah kisi ko vote dene ki zarorat b pesh ni aigi Q k phir Allah k han se zabardast fesley aingey lekin ap jese log esi soch rakhenge jo sirf vote he k liay ho to phir to bohot he mushkil hai k Qayamat tak b koi acha ajaye... Afsos.... Allah hidayat de hum subko aafiat k sath... aameen
Hazaaron jawabon se achi hai meri khamoshi.........!
 
Top