Assalaam-o-alaikum Dr. Sahab,
Main nay aap ki kayii tehreer paRhii hain, aap kay alfaaz humaray maashray kii khoob akaasi kartay hain, meray chand sawaal hain, main inn sawaal kay jawab say apni maloomat aur ilm main izaafa karna chahta hoon. Meray sawaal taweel hongain jiss kay liye pasihgii maazrat, kia karoon jab zehan kasmaskash ka shikaar hota hay tou sahii alfaaz dhoondna dushwaar ho jaata.
1. Humara maashra 'double standard' ka shikaar hay, humaray maa baap apny baitay ko kisi laRki kay ishq main mubtula honay ko 'Nadaani' keh kar taal daitay hain, aur jab kay humari behan agar kisi ko pasand karay aur apni pasandeedgi ka izhaar karay tou ussay 'khandaan ki izzat' per khatra kiyon kehtay hain?
2. Hum khudh tou Star plus or dosray channels per drama main aik laRki ko ishq main mubtula hota dekhtay hain, rape scenes, laRki ka aghwa hona, laRki ka chori chupay larkon say milna... waghaira dekhtay hain aur jab yehi amal humaray apnay ghar main hota hay tou hum kehtay hain kay 'bachay haath say nikal gaya'.... mera sawaal yeh hay kay jiss tarah ki taleem hum apnay bachoon ko dain gain humain waisa hi phal milay ga... tou humaray waaldain humain 'bad-tameez', 'bad-tehzeeb', waghaira kay alqaabaat say kiyon nawaztay hain, jab kay unhoon nay khudh humain sahii taleem say aarahasta nahin kia???
3. Hum izzat kay naam per apni beti ka qatal kardaitay hain 'Honor killing' ka naam day kar, magar yeh ganwaara nahin kartay kay apni beti ki uski pasand say shaadi karwa dain, kia yeh waqayi bohat muskil kaam hota hay?
4. Merii waalda kay intiqaal kay baad, mujh say apnay waalid ka tanha rehna nahin dekha gaya, tou main nay apnay liye ammi dhoondnay ka faisla kia, magar meray tamam baRay bhai behan iss baat per razamand na huway, yeh keh kar khandan main humari kia izzat reh jaayay gii... kia khandan ki izzat ki khaatir hum apnay walid ko akaila rehnay dain... abbu tou khudh bhi raazi nahin hain, magar meri zidd kay aagay na srif ghar waloon nay balkay abbu nay bhi ghutnay tayk diye... kia humain zaroorat nahin hay kay hum apni soch ko change karain aur kisi 'baiwa' yaa 'talaaq yaafta' ko sahara bhii dain aur apnay waali ko bhi aik 'saathi'?
5. Ishq aur Mohabbat main farq ko wazhay tour per bayan karain, main chahoon ga kay aap Quran-o-ahdith ki roshni main iss kay farq per roshni daalain... kiyonki agar Mohabbat ka wajoob ALLAH nay humaray diloon main daala hay tou itnay khoobsurat rishtay ka Quran aur Ahdith main bhi zikar hona aik laazmi fayl hay?
Baaqi saawaal main baad main poochoon ga, shukriya.