Coffee With REDROSE- Fahadd

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
rr mujhe ek din or de do plz seriously mera net nhi chal rha thats y main answers nhi de saka n bahaar u ke answers or sab ke answers inshAllah aaj zaror de dunga ok fikar nt
 
  • Like
Reactions: Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
yahin hon nelli but samjh nhi arha online kaise aon yahan light hi nhi hoti or jab light hoti hai to net hi nhi chalta or jab net b chal rha hota hai or light b hoti hai to main pta nhi kahan hota hn
awwww i wish k jaldi problem solve ho jaye
fahadd cell se online aane ka try karo na????
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
oh nhi...
fahad jaldi ans kro..
ok frdz 1 week complete ho chuka ha, ab ap log mazeed quests pochnay k bajaye Fahad k lie koi comments likhiye takay ham inhe achay words k sath yahan se ruksat karain:)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Asalam-o-alaikum
week puri hugae but I was not able to come I have just a very short question from Fahad voh yeh k:
Last time aap serious kub hue the?? ya kabhi life mei serious hue??
hahahaha...sabah sis...yh sawal aur fahadd se..?{(haha})
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Hmm.....ok.........
Chand Sanjeeda Sawalaath..........
1.......Allah k kareeb hone ka sabse asaan tareeqa kya hai?
2.......Zindagi apke nazdeek kya hai?srf do jumlon me tashreeh karen
3.......Kya rishton me ittehaad zaruri hai ya har rishta apne hisab se alag alag nibhaya ja sakta hai?
4......Mohabat apki nazar mei?
5......Insan ki zindagi ka koi maqsad hona chaahiye ya yunhi bemaanay se duniya me aao aur chale jaao? Aaap kis baat se mutafiq ho?
6.....Aaap kis kisam ki fitrat k maalik ho?Kisi ka dukh bantnewale ya srf khushi hi ahdd tak saath denewale?
7.....Aaap apne andar aisi kya ek khoobi paate hain jo apko humesha itmenan e qalb o pursukoon rakhne ka baes hoti hai?
8.....Insaan ki soch ka pahlu kitna wasee hona chaahiye ya apni soch ko mahdood dayere me rakhna bahtar hota hai?
9...... TM p koi aisi shaksiyat jisne apko mutasir kiya ho?
10.....Bahaar k liye koi aisa Mashvera jo aap samjhte hain k usme hoan chahiye...?
sorry bahaaru for late replying
1... hmm Allah ke tamam ehkamat per amal karne per hi Allah ki qurbat hasil hojati hai but namaz ki pabandi insan ko foren hi Allah ke qareeb kardeti hai

2...zindagi zinda dili ka naam hai jab tak apka dil zinda hai ap apni haqeeqi zindagi guzar rhe hote ho bt jab dil hi murda hojata hai to zindagi b sirf naam ki reh jati hai

3...beshak rishte alag alag b nibhai ja sakte hain but rishton ke ittihad main rehne se rishte zyada mazbut hojate hai

4...muhabbat mere nazdeek to sirf ek raaz hi hai coz muhabbat ki haqeeqat sirf wohi log jante hain jo khud kisi na kisi muhabbat se munsalik hote hain iske ilava i don't think ke koi muhabbat ki complete explaination de sake
5...maqsad to hr zindagi ka hota hai or is puri kainat main aisi koi b jandar cheez nhi jiska dunya main ane ka koi maqsad na ho baat to sirf apna maqsad pehchan lene ki hoti haina so jo apna maqsad pehchan lete hain woh apni life ussi maqsad ke tehet guzar dete hain or apna maqsad pehchan nhi paate unki zindagi aise hi bemaayene guzar jati hai

6...well apne bare main kya bataon khushi or khush log mujhe bohot pasand hote hain islye main b just khushi main hi saath de deta hun

7...mujhe apne andar abi tak to aisi koi khobi nazar nhi ayi jisko main yahan bata sakun bt inshAllah jald hi aisi hi khobiyon ka malik ban jaonga

8...insaani sooch ki koi had nahi hoti islye insan ko b apni sooch ko kisi had tak mehdod rakh lena b possible nhi hota beshak ap soochon ko share karne ki had tak rok sakte hain bt dimagh ko soochne se nhi rok sakte

9...haan ek shaksiyat aisi hai jis se main kafi mutaasir hoa hon or uski post dekh ker meri aankhen herat se khuli ki khuli reh jati hain ke ek insan main itni sari qualities kaise ho sakti hain n thats y main Fahadd ko bohot pasand karta hon

10...filhaal to mujhe ap main aisi koi buri bat nazr nhi ayi ke main us burai ko dur karne ka koi mashwara de sakun or na hi mujhe khud main koi aisi quality nazr ayi ke main khud ko apki kisi buri baat ko dur karne ka mashwara dene ke qabil samjhon
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
media ka humari zindgi me kya role hai..positive or negative ..?
raat ko sone se pehle kya sochte hain or kon sa kam krte hain?
i don't think ke media ka role hamari zindagi negative hai bat sirf catch krne ki hai so agr hum negatively catch karlete hain to yeh hamari negatively thinking hogi coz achai or burai to hr jagah hi hoti hain islye hame b achai or burai ka difrence malom hona chaye na ke hawa main urne wali baat pe apne dastakath bhi laga den raat ko sone se pehle mujhe next day main karne walo kaamon ki bari fikar horhi hoti hai bt phir so hi jata hn yeh soch kr ke kal ke kam kal hi dekhenge abi ki neend kyun kharab krun
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Tsavvf kehte hain jise..?
Agr smjh lg gyi hai to jawab dy dijiye ga..warna thek hai:)


yr yeh quest samjh nhi aya mujhe sufism kehte kise hain yeh b to btao plz
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


sorry bahaaru for late replying
1... hmm Allah ke tamam ehkamat per amal karne per hi Allah ki qurbat hasil hojati hai but namaz ki pabandi insan ko foren hi Allah ke qareeb kardeti hai

2...zindagi zinda dili ka naam hai jab tak apka dil zinda hai ap apni haqeeqi zindagi guzar rhe hote ho bt jab dil hi murda hojata hai to zindagi b sirf naam ki reh jati hai

3...beshak rishte alag alag b nibhai ja sakte hain but rishton ke ittihad main rehne se rishte zyada mazbut hojate hai

4...muhabbat mere nazdeek to sirf ek raaz hi hai coz muhabbat ki haqeeqat sirf wohi log jante hain jo khud kisi na kisi muhabbat se munsalik hote hain iske ilava i don't think ke koi muhabbat ki complete explaination de sake
5...maqsad to hr zindagi ka hota hai or is puri kainat main aisi koi b jandar cheez nhi jiska dunya main ane ka koi maqsad na ho baat to sirf apna maqsad pehchan lene ki hoti haina so jo apna maqsad pehchan lete hain woh apni life ussi maqsad ke tehet guzar dete hain or apna maqsad pehchan nhi paate unki zindagi aise hi bemaayene guzar jati hai

6...well apne bare main kya bataon khushi or khush log mujhe bohot pasand hote hain islye main b just khushi main hi saath de deta hun

7...mujhe apne andar abi tak to aisi koi khobi nazar nhi ayi jisko main yahan bata sakun bt inshAllah jald hi aisi hi khobiyon ka malik ban jaonga

8...insaani sooch ki koi had nahi hoti islye insan ko b apni sooch ko kisi had tak mehdod rakh lena b possible nhi hota beshak ap soochon ko share karne ki had tak rok sakte hain bt dimagh ko soochne se nhi rok sakte

9...haan ek shaksiyat aisi hai jis se main kafi mutaasir hoa hon or uski post dekh ker meri aankhen herat se khuli ki khuli reh jati hain ke ek insan main itni sari qualities kaise ho sakti hain n thats y main Fahadd ko bohot pasand karta hon

10...filhaal to mujhe ap main aisi koi buri bat nazr nhi ayi ke main us burai ko dur karne ka koi mashwara de sakun or na hi mujhe khud main koi aisi quality nazr ayi ke main khud ko apki kisi buri baat ko dur karne ka mashwara dene ke qabil samjhon
hmmm...........Nice answers..............
Allah apko humesha khush o kamyab rakhe..
Aanewalon dino me apki tamam muraden,aarzuyen poori hon...Ameen
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
muhabbat or ishq me kya fark hota hai..?
ishq haqeeqi or majazi me kya fark hota hai?
aham aham muhabbat to woh hoti hai jo hame kisi se b or kabi b hojati hai lekin jab koi muhabbat apni hado ko choh leti hai tab usse ishq kehte hain lekin phir yeh jo muhabbat ka naya rukh jo ishq main change ho chuka hota hai yeh hame baar baar or har kisi se nhi hota yeh insani zindagi main sirf ek hi bar or sirf ek hi insan se hota hai kyunke uske bad ek zindagi hi bohot kam lagti hai usko bhula dene main ya uske saath zindagi guzar dene main
n ishq e mijaazi or ishq e haqeeqi sirf hamare tarf se hi change kye gaye naam hain ishq e haqeeqi wohi ishq hota hai jiska maine oper bataya n ishq e mijaazi sirf unko hi hota hai jo mizajan ashiq hote hain ya hr pasand krne wali cheez ko ishq samj lete hain
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Thek kaha...
Har cheez k ache ya bure hone ka inhasar khud insan pe hota hai..

Gud


i don't think ke media ka role hamari zindagi negative hai bat sirf catch krne ki hai so agr hum negatively catch karlete hain to yeh hamari negatively thinking hogi coz achai or burai to hr jagah hi hoti hain islye hame b achai or burai ka difrence malom hona chaye na ke hawa main urne wali baat pe apne dastakath bhi laga den raat ko sone se pehle mujhe next day main karne walo kaamon ki bari fikar horhi hoti hai bt phir so hi jata hn yeh soch kr ke kal ke kam kal hi dekhenge abi ki neend kyun kharab krun
 

Dreamy Boy

Tm Lecturar
Banned
Oct 31, 2009
33,484
10,995
1,313
Pakistan


aham aham muhabbat to woh hoti hai jo hame kisi se b or kabi b hojati hai lekin jab koi muhabbat apni hado ko choh leti hai tab usse ishq kehte hain lekin phir yeh jo muhabbat ka naya rukh jo ishq main change ho chuka hota hai yeh hame baar baar or har kisi se nhi hota yeh insani zindagi main sirf ek hi bar or sirf ek hi insan se hota hai kyunke uske bad ek zindagi hi bohot kam lagti hai usko bhula dene main ya uske saath zindagi guzar dene main
n ishq e mijaazi or ishq e haqeeqi sirf hamare tarf se hi change kye gaye naam hain ishq e haqeeqi wohi ishq hota hai jiska maine oper bataya n ishq e mijaazi sirf unko hi hota hai jo mizajan ashiq hote hain ya hr pasand krne wali cheez ko ishq samj lete hain
very well said.........
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
apne fesle khud krte ho ya kisi se mashwara lete ho?
kbi kisi fesle par pashtawa huva?
kis se dost ko humesha apne rabte me rakhna chaho ge
kya kisi insan ko sedhe raste par aane k lye 1 lamha hi kafi hota hai ya aahesta aahesta wo sirat-e-mustakeem ki tarf bharta hai?
jb ap boht khush hon to kya krte ho?
boht udas hon to kya krte ho?
kesi shopping krte ho ap?
kisi ko eidi dete ho ya sirf lete ho?
kis bat pe muh sharam se laal ho jata hai?{(haha})
1..khud hi karleta hun afterall itna bara to ho hi gaya hn
2..pachtawa to hr faisle ke bad hota hai coz hamesha ghalt faisle hi krta hn
3..shani ko ek frnd hai childhood se saath hai islye chahta hn hamesha hi sath rahe
4..yeh Allah ki marzi se hi hota hai ya phir us baat per us insan per or uske raaste per munhasir hoga coz kuch baaten hi aisi hoti hain ke insan ussi lamhe seedhi rah apna leta hai to kuch insan hi aise hote hain jinko pehli ghalti main hi samjh main ajata hai ya phir woh raasta hi aisa hota hai ke usko ek hi lamhe main change krlya jata hai warna phir in sab ka ulat b posible hai
5..hmm nice quest bohot khush hone per main zyada ter bohot khush hi horha hota hon
6..udass hone per chup chup rehta hn
7..main shopping nhi krta maximum ammi ko hi keh deta hn jo b chaye hota hai ya phir koi cheez khud hi leni pre to kisi frnd ko le jata hn
8..ab kahan ab to bas deni hi parti hai lene wale din to guzr chuke
9..shadi ki baat pe
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
COFFEE WITH RR

PART 5


41..aise to bohot sare hi lamhat hote hain jinko hum chahte hain ke dobara hamari life main na aye bt jin lamhat se main guzar chuka hn un lamhat ke bad muje kisi lamhe se koi dar nhi

42..hmmm yaqeenan mumkin hote hain internet per relations but makhsos time ke lye ya phir tab tak jb tak hum net use kar rhe hote hain

43..raat ko 12 se 1 ke darmiyan so jata hon or subha b 12 se 1 ke darmiyan uth jata hon

44..hmm ghar ka koi kaam nhi krta main han bas subah ki jharo or raat ke khane ke bartan dho leta hn lekin bartan shoq se dho leta hn bt jharo lagana bohot mushkil hota hai or chir b hoti hai

45..khobsorat larkiyan or bewaqof larkay

46..
yr mere pas 45 quest tak hi load horhi hai pic baqi answrs rat ko dunga abi net b nhi chal rha or lite b jane wali hai n plz rr kal ka din or dena mujhe
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
COFFEE WITH RR

PART 5



46..hmm shaadi to zaror krni chaye balke jb larka khud b zidd kr rha ho tab to yeh baat kehni hi nhi chaye ke pehle bare bhai ki hone do uske bad tumhara number ayega im tottely dissagree with this number

47..hmmm dosti ki apni importance hoti hai or muhabbat ki importance apni jagah but agr dekha jai to dosti muhabbat se b zyada mazbut or pakiza rishta hota hai kyunke muhabbat khudgarz hoti hai hum jis se muhabbat karte hain usko pana b chahte hain or apne isi mufad ke lye hum kabi apne doston ko to kabi apne parents ko b ignore krdete hain bt dosti main aisa nhi hota coz dosti main hum kuch pane ke bajai dost ki khatir kuch kho dene pr b afsos nhi krte so i think ke dosti muhabbat pr foqiyat rakhti hai bt agr dekha jai to dosti b bina muhabbat ke complete nhi so dosti ka relation agr itna importance rakhta hai to woh b sirf or sirf muhabbat ki wajah se hi

48..tooba ke heart main

49..hmm only 5 words main ok had se zyada attractive tawaqqoat se zyada samjhdar yaqeen na krne ki had tak zaheen or jealous hone ki had tak handsom n jhoot bolne ki had tak jhoota

50..such pocho to boht relax feel hoa warna ap yaqeen nhi kro gi apke yeh questions maine parso hi dekh liye the but mujhe yeh net or lite 5 min b nhi de rhe the ke main in sab questions ke answers de sakun bt nw m relax
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
faddi mera sawal ye hay k apni zindage ka wo raz batao na,jo yaha kise ko b maloom nae hay.....{(spiteful)}{(spiteful)}
nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
plzzz tooba kuch b poch lo per woh raaz na pocho ke main jb TM pe first time aya tha to ek tooba naam ki larki ko first time dekhte hi mujhe first time love hogaya tha main yeh raaz kisi sorat yahan nhi bata sakta afterall itne arse tak is raaz ko poshidah rakha ab is interview ke chakkar main aise hi thori wo raaz bata dunga sab ko
 
Status
Not open for further replies.
Top