~*~ facebook ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Facebook_1299512c.jpg

~ Assalam o alaikum ~

doston jaisa k aap jante hain k aaj dunya me rishtaon ko ek nayi jahat mil rahi hai.dunya k ksi bhi area k logaon se taaluqaat qayam karna aasan hogaya hai.aur is sub k peeche jo shaqsiat kaarfarma hai wo "Mark elliot zuckerberg" hai.

american magazine "time" ne mark zuckerburq ko 2010 ki shasiat qarar dia hai.mark zuckerburq ne 26 yrs before apni aankh kholi thi jab pahli baar pikosh computer aam hua tha.tab hi se wo apne zahan me kuch karne ka jazba liye hue tha.

4th february 2004 ko ek din wo bhi aaya k usne apni kum umr me ek bada kaarnama anjam dia.aur ek aisa pro. mutaaruf karwaya jisse log facebook k naam se jante hain.aur iske zarye se isne dunya k mukhtalif areas k 60 crore logaon ko ek plattform par jama kardia.jisse china aur india k baad teesri badi jamhuriat(democracy) kaha jaskta hai.

mark zuckerburq koi scientist ya engineer nahi balke ek aam qism ka school boy tha.wo 1984 me newyork me paida hua.aur sirf 12 saal ki umr me usne apna computer family network banaya.isi tarha isne apne classmates keliye kayi computer games bhi banaye.

apne education k dauraan usse kayi badi companies k offer bhi aaye laikin usne in sub ko thukraate hue apni taaleem ko jaari rakha aur harvard university me addmision lelia.

ye ek hairat aur taajub ki baat hai k itni kum umr me usne itna bada karnaama anjam dia.laikin aaj hamare aksar naujawan roadaon ki nukkadaon par ladkiaon ko cherte hue hotels me gupshup ya net chatting me apni zindagiaon ko guzar dete hain.laikin allama iqbal rahimahumullah ne is ummat ko dekhte hue kaha tha k

nahi hai na umeed iqbal apni kusht e weeran se
zara num ho to ye mitti badi zarqez hai saaqi
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
nice sharing brother .. aur umar se koi farq nahi parta just insan main kuch karney kii justuju honi chaye ..
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
nice sharing...

mehnat maen azmat hai or sub se barh kar manzil wohi pataa hai jo next qadam uthataa hai...

well done and keep it up
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
thnks to all beshak sahih kaha aap logaon ne k mehnat aur saath me knowledge hoto dunya me har cheez haasil ki jaasakti hai.laikin hum apna waqt yunhi barbaad karte rahe to zindagi bhi barbaad hojati hai.
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Good one we have a proverb in persian which says( بدون رنج گنج میسر نمی شود ) it means k zahmat ki bagahir kabhi rahat nahin melti so ager insan her ek kaam k lie thora sa khud ko zahmat de and mahnut kare then ofcourse usay rahat bhi melegi...
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Good one we have a proverb in persian which says( بدون رنج گنج میسر نمی شود ) it means k zahmat ki bagahir kabhi rahat nahin melti so ager insan her ek kaam k lie thora sa khud ko zahmat de and mahnut kare then ofcourse usay rahat bhi melegi...
sahih kaha aapne thnks.:)
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
very nice sharing Arshad bhai....beshak mehnat ka jazba ho to kisi ke liye kuch bhi namumkin nahi...:)
 
Top