Ghazlon Ki Bait Baazi !!

  • Work-from-home

Bul_Bul

ღ му ℓιfє му ѕтуℓє ღ
Banned
Sep 2, 2014
5,605
2,169
213
mein dekh rha tha k dadi is umr main b sheesha dekh rhi hai drti nhi khd ko dekh kr :p
Jab fanii grand grand dada g iss Umar mein sheesha dekh Skte hain to mein kyun nhi dekh skti:p
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
last shair word is Main

Main khayal hon kisi or ka mujhe sochta koi hai
sar e aayena mera aks hai pass e aayena koi or hai

main kisi ke dast e talab main hon to kisi ke hurf e dua main hon
main naseeb hon kisi or ka mujhe maangta koi or hai

meri nigah ki roshni tere khad o khal se mukhtalif to nhi magar
tu qareeb aa tujhe dekh lon tu wohi hai ya koi or hai

Kabhi lout aayen to na pochna,sirf dekhna bare ghor se
jinhe raaste main khabar hoi ke yeh raasta koi or haii

ajeeb aitbaar o be aitbaari ke darmiyan hai zindagi
main qareeb hon kisi or ke mujhe jaanta koi or haii

wohi munsifon ki riwayaten, wohi faislon ki ibaraten
mera jurm to koi or tha per meri saza koi or hai

jo meri riyazat e neem shab ko saleem subha na mil saki
to phir iske mayene to yeh hoye ke yahan khuda koi or hai
Last Shair word Subha



Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona

Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley
Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona

Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi
Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe
Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!
 
  • Like
Reactions: Duffer

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Last Shair word Subha



Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona

Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley
Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona

Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi
Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe
Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!
last shair word is Sheher


Sheher ke dukandaron, karobar e ulfat main, sud kya zayan kya, tum na jaan paoge
dil ke daam kitne hain,khuwab kitne mehenge hain,or naqd e jaan kya hai tum na jaan paoge

koi kaise milta hai,phool kaise khilta hai,aankh kaise jhukti hai,saans kaise rukti hai
kaise rahh nikalti hai,kaise baat chalti hai,shoq ki zuban kya hai,tum na jaan paoge

wasl ka sukon kya hai,hijar ka junon kya hai,husn ka fasun kya hai,ishq ka darun kya hai
tum mareez e danayi,muslihat ke shedayi,raah e gumrah kya hai,tum na jaan paoge

zakhm kaise palte hain,daagh kaise jalte hain,dard kaise hota hai,koi kaise rota hai
ashk kya hain naalen kya,dasht kya hain chaalen kya,ahh kya faghan kya tum na jaan paoge

janta hon main tumko zoq e shairy bhi hai,shaksiyat sajane main ek yeh mahiri bhi hai
phir bhi hurf chunte ho,sirf lafz sunte ho,in ke darmiyan kya hai,tum na jaan paoge..
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai,
Uske liye deewar ka saya bhi bohat hai,

Dekha nahi tanhayi mein tum ne kabhi usko, ,
Bichhrre hue logon ke liye roya bhi bohat hai,

Kuch tujhko mohabbat par yakeen tha na wafa par,
Kuch dukh meri taqdeer mein likha bhi bohat hai,

Beenai andheron se bhala kaise bachata,
Ek shakhs tere hijr mein jaga bohat hai,

Wo aur hai jo chhu kar tujhe dekhna chahte,
Mujhko tere khwabki duniya bhi bohat hai,

Kirdar se mehroom tha ye sheher to is na,
Humko dar-o-deewar par likha bhi bohat hai..
 
  • Like
Reactions: Duffer

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
My suggestion is agar baat bazi he hai tu next word diya jaye for posting ghazal...

otherwise her tarah ki copy psate ho sakti hein

Next Word for Starting Ghazal is

Yey....
 
  • Like
Reactions: Duffer

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si,
Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si,
Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se,
Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.…
 

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
My suggestion is agar baat bazi he hai tu next word diya jaye for posting ghazal...

otherwise her tarah ki copy psate ho sakti hein

Next Word for Starting Ghazal is

Yey....
mashwara dene ke lye shukriya
lekin yeh thread mashware dene ke lye nhi banaya
last shair main se apni marzi ka koi b word choose kar ke us word se start hone wali poetry likhni hai ok
 

Blue_Sky

PrèÇìõÙs
Super Star
Sep 25, 2010
11,172
4,646
713
Sheher

Shahar dar shahar
Liye phir ta hum
tanha hai ho
kaun sa naam hu me teri shanna thayi ko
shahar...
koi mehfil ho tera naam ko aaja tha hai
jaan kar saat laga raha hai rus wahi ko
sa ga ma dha...dha ni dha ma ga ma ni dha ma ga ma pa ga
ma re
re ga ma pa ga ma re ni re sa pa ma ga re sa
jis tharaf jayiye hai kauk lag lafson kahajoon
kaun samje yahaan awaaz ki gehrahai ko(2)
shehar dar shahar ...
Koob baat hum mein duniyaan ke chalan se Rashid
Mein ne parbat nahi samja hai kabi rai ho (2)
 
Top