~*~ gusse ka anjaam ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بســم الله الــرحمن الرحيــم

السـلام وعليـكم ورحمـة الله وبركـاته



Delhi k qarool bagh k ilaqe ajmal khan road par jote(shoes) ki 2 dukanein hain.ek dukandaar ka naam surendar kumar aur dosre ka balraj arora hai.ek hafta(one week ago) pahle surendar kumar ki dukan se ek gaahak(cutomer) ne ek joota khareeda dukandaar ne iski qeemat 180/- hasil ki.gaahak(customer) baahar nikla to dosre dukaandar balraj ne isko bulaaya.aur isse poocha k isko tumne kitni qeemat me khareeda hai.isne bataya k 180/- rupees me.balraj ne isi qism ka joota apni dukan se nikal kar dikhaya aur kaha dekho ye wahi joota hai.aur ye main tumko 125/-rupees me desakta hon.(the polonaire 14th oct.1992).

customer ko gussa aagaya wo joota lekar dobara surendar kumar k han aaya.aur kaha k tumne iski qeemat mujhse ziada li hai.mujhko 25/- rupiye wapas karo.ispar surendar kumar ko gussa aagaya.aur wo balraj arora ko daantne laga kuch logaon ne darmiyan me aakar dono ko apni apni dukan me bhej dia.

magar surendar kumar ka gussa waisa hi raha.aur usne 13th oct.1992 ko balraj se jhagda karte hue apni pistol se 6 ki 6 golian iske oopar khaali kardin.aur wo saath hi margaya.

ab iska maamla adalat me hai.hosakta hai ab isko bhi phaansi ki saza sunayi jaayegi ya fir isko lakhaon rupiya kharch(spend) karke muqaddame ko apne huq me banana hoga.is tarha wo har tarha se nuqsan me pargaya.

mere doston isliye hame gusse se parhez karna chahiye.kyunke gussa sirf aur sirf insan ko nuqsan me mubtela karta hai.


Arshad
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Ghusse k alawa sabse bari bewakufi bhi ki usne...
Umda sharing Arshad bhayi...
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
nice sharing bhai
waqe kabe kabe hamare barso ki riyyazat 1 lamhay k gussa ki waja say pore k pore zaiel hojate hay...
sach may gussa bht karab shay hay..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
jazakallah khair janab
bohot hi achi sharing ki apne aur bilkul sahi kaha gusse se hamesha nuqsan hi hota hai gussa dikhana kamaal nahi balke usko kabu me rakhna kamaal hai

waise hame har mamle me hamara deen rehnumai karta hai har cheez ki wazahat hamare liye Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam aasan karke gaye hain Alhamdulillah

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
very nice sharing bro, n alhumdulillah mujeh ghussa nai ata, ya phir ata bhi hai to uski duration bht kam hoti hai seconds ki jis ka kisi ko pata bhi nai chalta, ghussa insan ka sab se bara dushman hai shetan k bad, ghusse me insan rishtey natey sab bhool jata hai, n kabhi kabhi wo bhi kehdeta or ker deta hai jo wo kabhi kerna ya kehna nai chahta...
JAZAK ALLAH KHER nice share
 

Jiya.

TM Star
Jan 1, 2011
7,370
4,268
113
•°Karachi
beautiful sharing{(ok)}
ALLAH PAK hamay sabr krnay ki tofeeq ataa farmaye takay hum apnay
gussay ko qabu may rakhay
AMEEN​
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
بســم الله الــرحمن الرحيــم

السـلام وعليـكم ورحمـة الله وبركـاته



Delhi k qarool bagh k ilaqe ajmal khan road par jote(shoes) ki 2 dukanein hain.ek dukandaar ka naam surendar kumar aur dosre ka balraj arora hai.ek hafta(one week ago) pahle surendar kumar ki dukan se ek gaahak(cutomer) ne ek joota khareeda dukandaar ne iski qeemat 180/- hasil ki.gaahak(customer) baahar nikla to dosre dukaandar balraj ne isko bulaaya.aur isse poocha k isko tumne kitni qeemat me khareeda hai.isne bataya k 180/- rupees me.balraj ne isi qism ka joota apni dukan se nikal kar dikhaya aur kaha dekho ye wahi joota hai.aur ye main tumko 125/-rupees me desakta hon.(the polonaire 14th oct.1992).

customer ko gussa aagaya wo joota lekar dobara surendar kumar k han aaya.aur kaha k tumne iski qeemat mujhse ziada li hai.mujhko 25/- rupiye wapas karo.ispar surendar kumar ko gussa aagaya.aur wo balraj arora ko daantne laga kuch logaon ne darmiyan me aakar dono ko apni apni dukan me bhej dia.

magar surendar kumar ka gussa waisa hi raha.aur usne 13th oct.1992 ko balraj se jhagda karte hue apni pistol se 6 ki 6 golian iske oopar khaali kardin.aur wo saath hi margaya.

ab iska maamla adalat me hai.hosakta hai ab isko bhi phaansi ki saza sunayi jaayegi ya fir isko lakhaon rupiya kharch(spend) karke muqaddame ko apne huq me banana hoga.is tarha wo har tarha se nuqsan me pargaya.

mere doston isliye hame gusse se parhez karna chahiye.kyunke gussa sirf aur sirf insan ko nuqsan me mubtela karta hai.


Arshad
hmmmmm beshuk gusse mei insan hamisha voh ghalti ker baita hain jeska baad mei afsoos kerne k ilawa koi aur chara nahin hota tu insan ko chahye k voh aapni gusse per ghalib ho yeh na k uska gussa usay maghlob banaye, and by the way yeah true story hain I think?
 

ShahzadFaiz

TM Star
Jul 25, 2010
1,319
324
783
45
Multan, PK
very nice sharing bro, n alhumdulillah mujeh ghussa nai ata, ya phir ata bhi hai to uski duration bht kam hoti hai seconds ki jis ka kisi ko pata bhi nai chalta, ghussa insan ka sab se bara dushman hai shetan k bad, ghusse me insan rishtey natey sab bhool jata hai, n kabhi kabhi wo bhi kehdeta or ker deta hai jo wo kabhi kerna ya kehna nai chahta...
JAZAK ALLAH KHER nice share
same brother
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
very nice sharing bro, n alhumdulillah mujeh ghussa nai ata, ya phir ata bhi hai to uski duration bht kam hoti hai seconds ki jis ka kisi ko pata bhi nai chalta, ghussa insan ka sab se bara dushman hai shetan k bad, ghusse me insan rishtey natey sab bhool jata hai, n kabhi kabhi wo bhi kehdeta or ker deta hai jo wo kabhi kerna ya kehna nai chahta...
JAZAK ALLAH KHER nice share
belkul sahi
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u alaikum
behtareen sharing...{(ok)}
kya hasil huva itna gussa krne se 25 kiwja se jan chali gyi ek insan ki or dosre ki zindgi barbad ho gyi..
Allah hume rah-e-hidayat pe laye.or sabr aata farmaye..
 

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad


جزاک اللہ بڑی نصیحت آموز اور درد ناک کہانی ہے۔
اس میں صرف مجھے غصہ کا پہلو نظر نہیں آتا بلکہ دوسرے دکاندار کا عمل بھی درست نہیں بلکہ اگر یہ کہا جائے کہ اصل فساد ہی دوسرے دوکاندار کا پھیلایا ہوا ہے تو غلط نہیں ہوگا۔ یہ دوکانداری یعنی بزنس کے اصول کے خلاف ہے۔
دوسری بات جو بہت ضروری ہے وہ یہ کہ غصہ باعث رحمت بھی ہے اور باعث زحمت بھی غصہ بذات خود برا نہیں ہوتا انسان کا فعل اسے برا کردیتا ہے۔
ہر انسان میں غصہ قدرت کی طرف سے ودیعت کیا گیا ہے اب دیکھنا یہ ہے کہ انسان اس کا استعمال کیسے کرتا ہے
ایک استاد اپنے شاگرد پر غصہ کرتا ہے، والدین اپنے بچوں پر ایک حد تک غصہ کرتے ہیں تو وہ اس کے مستقبل کو سنوارتے ہیں۔ لیکن اگر غصہ میں انسان حد سے بڑھ جائے اس کا یہ فعل متعین حدود یا اصول سے باہر نکل جائے تو وہ غصہ ایک عذاب بن جاتا ہے۔
سب سے بڑی بات یہ ہے کہ آج کے دور میں عدم برداشت کا مادہ انسان کے اندر سے ختم ہوگیا ہے چھوٹی چھوٹی باتوں پر انسان ایک دوسرے کو قتل بھی کردیتا ہے۔ یہ عدم برداشت کا معاملہ ہے۔
اللہ تعالی انسانیت کو ایک دوسرے کا احترام نصیب فرمائے
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wahhh kya baat hai Rehan Bro....Umdagi se apne apne khayalat pesh kiye and Ameen k waqei insaan insan hi rahe janwar na ban jaye
 
Top