mohabbat ki tamanna hai
to phir wo wasf paida kar
jahan sy ishq chala hai
wahan tak naam paida kar...
agar sacha hai meray ishq mai
to aey bani aadam
nigahe ishq paida kar
jamal e zarf paida kar...
mai tuj ko tuj say ziada
or saab say ziada chahon ga
magar shart ye hai k apnay
andar meri justaju to paida kar...
agar na badlon teri khatir har
ek cheez to kehna
tu apnay aap mai pehlay
andaz e wafa to paida kar !!
This site uses cookies to help personalise content, tailor your experience and to keep you logged in if you register.
By continuing to use this site, you are consenting to our use of cookies.