Imaan KI roshni--part 6

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
hum par thinking kis tarha asr andaz hoti hain?

har shaks is bat ko observe karta hai k jab hum sakht cheez ko dekhtay hain to us ki sakhti ka hamain ilm hojata hai lakin wo sakht cheez hum se takraati nahiisi tarah irin ya wood ki hardness ko usay choona zuroori nahi hai..yaha tak k hamaray samnay lafz "pani" water kaha jye to pani hamary zahan main tamaam tar properties k sath ajye ga hum pani k geelay pan ko bhi feel karain gay..

scientifically ye bat sabit hai k har cheez k gird 1 magnetic field hai jisay "aura"kaha jata hai . har insan doosray insan ki magnetic field ko apni soch k lehaaz se absorb karta hai..

thinking main jitni bulaandi aur achai hogiusi lehaaz se ksi personality ka tajzia karnay main help milay gi..khayal ki power ka excreation har shaks se hota hai. us ki mazbooti ya kamzori insan ki quwat-e-iraadi par hai..

1 hi jagha 1 hi waqt main khayalat insan k zahan main diffrent paida hotay rehtay hain..

aur khayalat ki ye lehrain poori dunya main safar karti hain insan diffrent halaat ka shikaar rehta hai hamesha 1 jaisay khayl us k zahan main nahi reh saktay zahan kabhi intihai pakeeza aur yaqeen k khayal ko accept karta hai..to kabhi buray aur waswasay insan k mind ko kharab kar detay hain..

ab ye insan ki will power hai k wo kitni dair tak kis khayal ko absorb kiya rakhay ga ya un se nijaat hasil kar lay ga...

negative khayal se chutkara hasil karnay k liya usually log is ko rad karnay ki try kartay hain ap jitna ksi khayal ko rad karain gay wo utna hi hawi hota jye ga..behtar ye hai in khaylat ko samjha jye aur us lehaaz se un par amal kiya jye

for example apko bhook lagti hai ya ksi khanay ka image apko ata hai to ap is ko rad karnay ki try karain lakin ye jata nahi ap is se chutkara panay k liya wo cheez kha hi lain gay us k bad wo khayal ata nahi

khayal hi insan ko amli jaddu jehad par uksata hai.

wo awamil jo khayal ki power k asar ko weak kar detay hain un main murda dili, shak , careless , negative thinking ,concentration ki kami.

in sub se bachnay k liya in cheezo ko follow karain

  1. nashay awar cheezo ka use na kiya jye
  2. emotional honay k bajye haqeeqat pasand banain
  3. doosro se co oprate karain
  4. aisi khuahish k peechay na bhagain jin ka reallity se koi talluq nahi
(continued & with thanks roohani digest)
 
Top