*its Long Bt Breath Taking* ** Yuh'll Love It, If U Ever Loved**

  • Work-from-home

CuTe_HiNa

TM Star
Jan 7, 2013
1,621
2,437
1,313
Hyderabad
Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha...
Woh bikhri zulfe woh maila kuchaila libas...
woh dhaka chehra dekh kar,
Dil mera tarap jata tha...
Na jane Q uski aawaz me ek dard tha, ek apnapan tha...
Poochne par bhi dil ka haal na batata tha..

Paraai ho chuki thi main ek dard sa seeney me tha..
Apni jaan k bina nahi koi maza ab jeene me tha...
Poocha jo us fakir se kya karu bataiye...
Q main usay bhoolti nahi muje is
gunaah se bachaiye...

Dekha jo meri taraf uski aakho me aasoo aa gaye...
Shayed meri tarah usko bhi mehboob ka gham satata tha...

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha....

Ek roz mere ghar yeh paigaam aaya tha...
Logo ne mujhko mere mehboob ke janaze mei bulaya tha...
Yeh aarzoo thi uski main maujood rahu waha par...
Kehne walo ne kaha mera hi naam tha aakhri waqt bhi uske labo par...

Kis muh se main uska aakhri deedar karugi...
Woh jee raha hai yeh soch kar main khush thi...
Ab kis dilase par main zinda rahugi...

Har chehre pe udasi har aakh me aasoo ka samandar tha...
Yeh aalam mere liye mano Qayamat ka manzar tha...
Har shaks waha khamosh tha koi, kuch na batata tha..

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha....

Uski behno ne mujhe dekh kar, rote hue kaha... Aap thodi der bhetiye Bhai hain naha rahay..
Unki batein sunkar mano main cheekhne lagi...
Diya khuda ka wasta aur poocha,
yeh kaise hua kuch to bataogi...
Kehne lagi behan, Aap kuch na poochiye humse...
Phirte thy deewana waar na jane kin kin galiyon me...

Pooch lo is bagh se, dhoondha tha aapko na janay kin kin kaliyo
me...
Kabhi pagal to kabhi majnu yeh zamana unhe bulata tha...

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha......

Jab ho chuka nehlana aakhri,
deedar ke liye unhe laya gaya...
Farsh ki chataiee pe jis dam unhe litaya gaya...

Maa ne kaha beshak mere
bachay ko le jaiye...
Par ek baar mere lal ka chehra tou dikhaiye...
Bade armaan thy main isko apne hatho se sajaoogi...
Mere chand ke liye chand si dulhan laoogi...
Mere lal tujhse mera aagan jagmata tha.....

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha....

Jab kafan ko uske chehre
rukhsaar se hatane lage sabhi..
Yeh armaan mere dil me bhi tha dekhu bas ek baar dkhu uss masoom ko mai b...
Jab hat chuka kafan aur unka deedar ho gaya...
Yeh kya khata maine ki yah kya mujse aaj parvar_di'gaar ho gaya...

Gham ki chadrr orhay tum mere ghar aate thy main jan na saki...
Woh fakir tum hi thy main pehchaan na saki...
Q kiya tumne aisa khud ko detay rahe saza...

Ek baar to pukara hota, main tou tumhari thi sada...
Aaj meri samajh me aaya, q tumhari aakho me aasoo chalak aata tha...

Jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha......

Jab ho chuki vidai aur meri duniya loot gayee... Jo aas dil me thi woh aas bhi toot gayee...
Rukhsati ke liye uthi aur kiya behno ko salam...
Ek behan ne rotay hue kaha, yeh aakhri khat hai bhai ka aapke naam....

Khat me likha tha usne ke tum muje ab jaan jaogi...
Mere chehre ko dekhkar, woh fakir main hi tha yeh pehchaan jaogi...
Na jane kitne dino tak main tumhe dhoondta raha..

Aaya taras khuda ko tumhara ghar mila...
Khush tha main apni zindagi se, nahi tha ab koi gila...
Woh na miley gham nahi deedar-e- yaar tou mila...

Par ek roz mujhpe jo beeti nahi sun payega jahan... Tumne meri yado ko mujhse hi kaha "gunaah"...
Mujhko bhoolne ke liye tumne mangi meri madad, Ya khuda...

main apne dil ko kaise sambhalta..
Koi khwaish na ab tak tumhari tali thi, yeh baat kaise taalta...
Isiliye aaj main tumhari
khwaish poori kar raha hu...
Duniya murdo ko bhool jati hain,
yeh sochkar main bhi mar raha hu...

Par ho sakayy tou tum meri yeh aarzoo poori karna...
Jab kabhi bhoole se yaad aa jaoo,
to un yado ko gunaah na
samajhna...
Us din se har raat jab maine aasman me dekha...
Woh banke taara jagh_magata tha...
jab kabhi mere darwaze woh fakir aata tha.....!!
 
Top