Nazr mila ke zara dekh mat jhuka aankhen
barha rahi hain nigahon ka hosla aankhen
-
jo dil mein aks hai aankhon se b wo chlake ga
dil aaina hai magr dil ka aaina aankhen
-
wo ek sitara tha jaane kahan gira ho ga
khala mein dhoond rahi hain na jaane kia aankhen
-
gham-e-hayat ne fursat na di tthehernay ke
pukarti he rahi hain mujhe sada aankhen
-
ye us ka tarz-e-takhatub b khoob hai mohsin
ruka ruka sa tabassum... khafa khafa aankhen