Kissi jootti wafaa se dil ko beh-laanaa nahi aata.
mujhe ghar Kaghazi pholon se mehkana nahi aata.

main jo kuch ho wahi jo zaahir hay wo batin hay.
Mujhe jhoote Dar-o-Deewar chamkana nahi aata.

Main darya hon magar behta hon main kuhsar ki janib.
Mujhey Duniya ki Pastee main Uttar jaana nahi aata.

Zar-o-maal-o-jawaahir le bhi awar tukra sakta hoon.
Koyi dil Paish jo kartaa hay phir Tukraana nahi aata.

Parindaa jaanib-e-Daana hamesha Urrh ke aata hay.
Parindey ki Taraf Urrh kar kabhi Daana nahi aata.

agr sehra main hain tu aap khod aye hain sehra main.
kissi ke ghar tu chal kar koyi weeraana nahi aata.

Howaa hay jo sadda Uss ko nasiboo ka likha samjha.
ADEEM apne kiye par mujh ko pachtaana nahi aata.