Koi Bhi Koo E Muhabbat Say Phir Nahin Guzra

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri
Usay khabar hi na thii, khaak kimiya thi meri
MaiN chup hua to wo samjha k baat khatam hui​
Phir us k baad to aawaaz ja ba ja thi meri​
Jo taa’na zan tha meri poshish E dardidaa par​
Usi ke dosh pay rak_khi houi qaba thi meri​
MaiN us ko yaad karuN bhi to yaad ata nahiN​
MaiN us ko bhool gaya huN, yahi saza thi meri​
Shikast de gaya apna Ghoroor hi us ko​
Wagarna us k muqabil basaat kya thi meri​
KahiN dimaGh kahiN dil kahiN badan hi badan​
Har ek se dosti yaari juda juda thi meri​
Koi bhi koo E muhabbat say phir nahin guzra​
To shahr E ishq maiN kya akhri sada thi meri​
Jo ab ghamand say Sar ko uThaaye phirti hai​
Isi tarah ki to makhlooq khaak E pa thi meri​
Har aik shair na tha dar khor E qaseeda dost​
Aur us say tab’ae E rawaaN khub aashna thi meri​
MaiN usko dekhta rahta tha hairatoN se ‘Faraz’​
Ye zindagi se ta’aaruf ki ibtedaa thi meri​
 
  • Like
Reactions: SharieMalik
Top