Make ur own page

  • Work-from-home

~Ambitiou$ Girl~

•°o.O ʍąţȼhℓ€$$ O.o°•
Super Star
May 26, 2010
6,851
2,131
1,313
pakistan
jhan tak mujhe lagta hai
na to kasur parents ka na lrki ka.
ye sb depend karta hai environment n society pe
pakistan ke bohat se aise shehr hain jahan girls ko education ki permission nahi hai..
because whan aisa environment hai ke parents apni bachiyun ko gharon se bahir nikalte hue darte hain..
warna kis ka dil nahi chahta ke unke bachon ko society mn acha status mile or log respect den
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513


well me is bat k sakht khilaf hun,
mujeh bht bura lagta hai jab ek gher me larke ko facility di jati hai ek larki ko nai
they should treat them equaly,

kam se kam me to esa apne bachu k sath kabhi nai hone dunga
infact mujeh to betia zada pasand hai

just check this thread idher mere views hain about this

>>>CLICK HERE<<<
i completelt agree with ur views adi .infect larkyun ki study jo log es waja se rok lete hian mujhe to un logo per gussa ata hy
aaj ki tareekh me larkyan larkon se education level me kam nhi hian ..there are so many professions jahan larkyun ne apna naam roshan kiya hy .ye sb hota hy bare bre shehron me but mostley chotye shron ki larkyan bas es bat ka khuwab dekhti hian .
unko b chance milan chahiye ta ke wo b agye chal ker sociaty ko jawab de sken .jo ksi b mahool ko mazeed sopil kerne me koi larki nhi hoti ..mahool banta hy insanu se .aur phr jab kuch bure log ese bura krte hian to eski saa larkyun ko kun di jati hy?????
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

i think iS Mahol OR Girlz ka QasOor hai kOi bhi parents yeh nahi Chahengay k On k baChay
unphar hO ... lkn SAry parents apni beizzati Say Darty hain
inShaa Allah may baad may iS TopiC par TafSeel Say raye dOnga
..aha thats a point also we will wailt for ur explanations
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
very nice thread dear...well actually asma,iss mn qasur hm sab ka hia..mahool ka nahi..mahool kisss sy bnta hai yaar...hm se na...???
tu mahol k khrb hone ka kon zimedar hua....hm na.....parents ka qasur nahi hai,bas zara si soch badalne ki dair hai unki,baz parents wohi purany khayalat k malik hoty hn,k wohi sab hona chahie,larkian aram se ghr mn bethen,bahir ye ho jae ga wo ho jae ga,unhn aisa nahi sochna chahie,agr maholl chnge hua hai tu insan k ander ki feelings r quwat e mudafay b tu chnge hui hai na..agr aisa kahen mahol hai b,tu zaruri tu nahi k wo b isi mahool mn dhal jae,han tab wo zarur aisa mahol adopt kry gi jab educated nahi hogi,kiun k usy pata hi nahi hoga k galat kia hai sahi kia hai...jab wo educated ho,r janti b ho k ye sab galat hai,phrr b wo koi galat kam kry tab wo qasur war hogi mahol ko bigarne mn......

mn nahi kahon ggi k sab muj se itefaq kren,sab k apne apne views hon gy,so mera tu yehi kahayl hai.....
thanxx asma for concering views :)

yahan bht c batien jati hian k kska qusoor hy .actual me these whole points are involved ...lets see other'views
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
agreed with u dear, but ye kuch esi bitter bate hain jo humare mashre me hoti rehti hain n koi is k lie step nai barhata, jo barhate hain un ko bhi mana kerdia jata hai, well per hume chaiye kisi bhi chez ko sudharna ho to apne gher se shuru kare, hum sab apne apne gher me is per work ker sakte hain,

let me share some thing with u,
mere ek bht aziz dost hain karachi se, jo ek am c family se belong kerta hai. ek din me wo mujeh apne gher le ker gae to mene dekha k un ki choti sis jo mushkil se 12 sal ki hogi wo per rai thi to mere dost ne use utha ker apne kapre press kerne k lie diye, then mere dost ne kaha k jao mere lie tea le ker ao phir tea me sugar kam hone ki waja se use danta, i was observing this whole scene, then jab me gher jane laga hum log bahar nikle room se to mene apne dost ko bht danta, k use apni choti c masoom behen ko ese treat nai kerna chaiye, use parai se utha ker apne kam kerwae jo k wo khud bhi ker sakta tha , n then phir tea banane ka hukm dia n us per danta bhi, jese wo koi ghulam ho, mene bht danta use n use samjhaya k behen hai wo tumari kal ko chali jaegi, tab tume pata chalega, ab kafi samjh gaya hai, last time jab me gher pe gaya to us ne danta bhi nai apni behno ko n normaly behave kia.

ye ek example hai is bat ki k larki gher me pare to uski akser humare yaha koi value nai hoti jab k larki ka perna bhi utna hi important hai jitna larko ka, or wo larki kyu na pare? jis k hathe kate bhai hun? kya wo apni behen ki hifazat ker k use ala taleem bhi nai dila sakte?


humare yaha k logo me awareness nai hai wohi jagani hai bas


i completelt agree with ur views adi .infect larkyun ki study jo log es waja se rok lete hian mujhe to un logo per gussa ata hy
aaj ki tareekh me larkyan larkon se education level me kam nhi hian ..there are so many professions jahan larkyun ne apna naam roshan kiya hy .ye sb hota hy bare bre shehron me but mostley chotye shron ki larkyan bas es bat ka khuwab dekhti hian .
unko b chance milan chahiye ta ke wo b agye chal ker sociaty ko jawab de sken .jo ksi b mahool ko mazeed sopil kerne me koi larki nhi hoti ..mahool banta hy insanu se .aur phr jab kuch bure log ese bura krte hian to eski saa larkyun ko kun di jati hy?????
 
  • Like
Reactions: Asma24

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
its a really touching little story u shared with us adi..thanxx alot ..
hum sab sheron me rehne wale yahan bht si batien hmare samne ati hian jo hmen normal lgti hian
magr chotey sheheron aur goan me jo larkyn hoti hian .un per na jane kitni ziyadtayn hoti hy yo to hum soch b nhi skte
bas dua hy ALLAH rehme kre .ksi mazloom ka haq marne walu ko saza de aur her qabil e taleem ko talim yafta banye aameen

kehen ko hm bht kuch keh skte hian ..magr sach to ye hy adi hum khud bebas hian .sadyun se chali arhi es rasmon ko hum badalne jate hian to hazaron ankhen humen dekhti hian...

eduaction pane ki umar me larki ki shadi ki jati hy .ghar ka kaam smnbhalan parta hy use ,,najen kitni mushkiln se wo guzarti hy

duniya me kitne mulk kitne shsher kitne gaon kitne muhallye hian .her aik arae se agr koi aik caretaker koi leader nikal ker ajye to larki ko saftey miljyegi
magr hy to phr b wohi sawal akhir kon uthega eske liye??
 
  • Like
Reactions: Sara Cilli Milli

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
Wa'alaikum assalam

pehle parents ka
phir galz ka
phir mahoul ka

let me explain mahoul ko achha bura parents khud banate hain kisi aur ko bigarte huwe
dekh khush hona ya khamosh ho jaana ya kuch ghalat karna unhein is baat ka ehsaas
dilata hai ke unke apne beti ke saath bhi kisi din yeh ho sakta hai......

phir galz ka mahoul ke jin lougon ko bura samajh kar aisa kiya jaata hai to yeh mahoul
hawaiy cheezein ko nahin kehte galz boyz shaamil hain inme khud bhi to yeh khud aksar
galz boyz ki ghalti hi hai ab 20 colleguos larke larkiyon ko bigarta dekh kounse waldein
apne bachon ko parhwana chaahengein????

mahoul ki is tarah ke jitne bhi ghair iqhlaaqiya kaarnaame hain un per hukumat se rouk lagane ki appeal karein
yaa phir kam az kam ilaaqe ke buzargaan aisa nizam qaiym karein ke inpe rouk lage khaaskar
agar mahoul aisa hoga ke 10 saal ki bachi bhi bolne lagegi munni badnaam huwi darling tere liye
to wahaan 18 saal ki larki ya larke ka kya hoga.??? humein apne mahoul me islami rawayaat laane hongein

thats it{(thx)}
thanxx alot chigoo bhaiya for cencerning points

ager dekha jye to apki sab batien aik dam correct hian ..
hum system to change nhi kerskte han mgr agr housila kren aur himmat rekhne to apne apne area me khud hi saftey rekh sktey hian ta ker koi b larki collage ya school jatey hue ghabrey nhi ...
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jhan tak mujhe lagta hai
na to kasur parents ka na lrki ka.
ye sb depend karta hai environment n society pe
pakistan ke bohat se aise shehr hain jahan girls ko education ki permission nahi hai..
because whan aisa environment hai ke parents apni bachiyun ko gharon se bahir nikalte hue darte hain..
warna kis ka dil nahi chahta ke unke bachon ko society mn acha status mile or log respect den
true points ag sisoo thanxxxx for ur views ..{(thx)}hum es bat se bilkul agreed hian environment ne hmare pairon me beriyan daal di hian ,wrna aik larki education me behad qabil hoti hy ...
kash k environement sudhar jaye ta ke log chain ki sans len
 

Sara Cilli Milli

!*!Bulbul!*!
Super Star
Oct 21, 2010
13,389
6,751
513
disney land (-'')

sara dear explain it in ur views plzz:)
i think parenrs chathy hy k jahan un k bachy taleem hasil kar rhy ho wo mahool bohat acha ho kahsss tor par girlz k liya q k parents girlz k bary mai bohat sensitive hoty hy ay din k waqiyat or un suni kahniya or newz or barthy hoy crime syed is waja sy :s fir parents dar jaty hy or taleem adhori rh jati hy
 
  • Like
Reactions: Asma24

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
hmm thatss true ...but es se girlss ko taleem ka loss hota hy na ...to aese me kya kren hum:(
 
Top