Manzar hai wahi thathak rahi hun Hairat se palak jhapak rahi hun Ye tu hai ke mera waham hai Band ankhon se tujh ko tak rahi hun Jaise ke kabhi na tha tarruf Yun milate hue jhijhak rahi hun Pahachan main teri roshani hun Aur teri palak palak rahi hun Kya chain mila hai sar jo us ke Shanon pe rakhe sisak rahi hun Ik umr hui hai khud se larate Ander se tamam thak rahi hun