Du'a Meri taraf aa kar to dekh mutawajja na hoon to kahna

  • Work-from-home

Khamoush_Naina

TM Star
Sep 18, 2010
1,423
467
383
32
Karachi
Meri taraf aa kar to dekh mutawajja na hoon to kahna
Meri rah main chal kar to dekh rahain na khol doon to kahna
Meray liye beqadar ho kar to dekh qadar ki hudd na kar doon to kahna
Meray liye malamat seh kar to dekhikram ki inteha no kar doon to kahna
Meray liye khud ko luta kar to dekh rahmat k khazanay na luta doon to kahna
Meray kouchay main bik kar to dekh anmol na kar doon to kahna
Wafa ki laaj nibha kar to dekh atta ki hudd na kar doon to kahna
Mujhay apna "RUB" maan kar to dekh sub se be-niaz na kar doon to kahna
Meray khof se aannsoo baha kar to dekh maghfirat kay darya na baha doon to kahna
Mujhay "HAYYULQAYOOM" maan kar to dekh abdi hayat ka ameen na bana doon to kahna
Apni hasti ko fanah kar kay to dekh JAAM-E-BAQA se sarfaraz na kar doon to kahna
Bila akhir mera ho kar to dekh har kisi ko tera na bana doon to kahna.......
 
Top