Mout ka Manzir Mernay Kay Baad Kia Ho Ga?????????????????????

  • Work-from-home

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
Mout ka Manzir


Mernay kay Bad kia HoGa





Assalamo Alikum!!!

Is thread main hum mout per bat kerin gay jo Berhaq hai. Is thread main hum un manzer per roshni dalin gay jo kaber main hon gay aor mout kay waqat insan ki kia kaifiyat ho gi...

Humara iman boaht kamzoor ho chukka hai aor hum sabko mil ker koshish kerni chiye kay hum apnay apko badal sakhin aor apni akhrat ka saman tiyar ker sakhin..Aor apnay sath dosron ko bi is naik kam ki targeeb kerin..Youn to hum dunya key imtehan pass kernay, agey bhernay kay liye kitni koshish kertay hain..

LIKEN KIA KABI HUMNAY YEH SOCHA KAY MOUT KAY BAD KIA HO GA? KIA HUMNAY US JAHAN KAY LIYE BI KUCH JAMA KIA HAI JO HAMAREY KAM AYE GA?

YEHI WAQAT HAI JAB HUM APNAY AMAL KO BADAL SAKHTEY HAIN KYUNKAY PHIR JAB MOUT A JAYE GI TO TOUBA KA WAQAT BI KHATAM HO JAY GA…..AOR HUM KUCH NA KER SAKHIN GAY.

 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
HAZRAT IZRAEEL KA FAAJER AOR MUTEE BANDON KA JAN NIKALNAY KAY WAQAT KIS HALAT MAIN NAMUDDAR HONA


Hazrat Ibrahim (Alehe Salam) nay mulk-ul-mot se fermaya kay tum jis surat main faajer logon ki jaan nikaltey ho muje dikhao. Unhon nay arz kia kay aap iska tahamul na ferma sakhin gay. Hazrat Ibrahim ney fermaya kay nahi main tahamul ker lon ga. Hazrat Izraeel(Alehe Salam) nay arz kia kay acha dosri taraf mu kijiye. Hazrat Ibrahim (Alehe Salam) ney mu pheer lia. Iskay baad hazrat Izraeel (Alehe salam) nay arz kia kay ab dikhiye. Hazrat Ibhrahim nay jab upper dikha to aik nihayat kala admi (diyo ki shakal) baal baohat barey barey kharey hue, nihayat sakhat badbu, kalay kaprey. Uskay mu se, naak se aag ki liptain nikal rahi hain. Hazrat Ibrahim ko yeh dikh ker gash agiye. Kuch dair main afaqa hua to mulk-ul-mout apni pehli sourat main agye. Hazrat Ibrahim nay fermaya kay ager faajer shakas kay liye koi dosri aafat na ho tab yeh sourat hi uski mout kay liey kaafi hai

Hazrat Ibrahim nay mulku-mout se fermaya kay muje who surat bi dikho jo mutee bandon ki jaan nikalany kay waqat hoti hai. To hazrat Ibhrahim nay dikha kay aik nihayat khubsurat jawaan nafees labas pehnay hue khusbu mehkati hui samnay hai. Hazrat Ibrahim nay fermaya kay momin kay liye ager mertay waqat is surat kay ilawa koi bi ferhat ki cheez na ho to yeh bi kafi hai.

 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
JAHAN BI JAO MOUT AKER RAHY GI







Rawayat hai Hazrat Haseema (Razi Tala Anhu) se kay mulk-ul Mout (Hazrat Izrail)aik bar Hazrat Sulaiman (Alihe Salam) ki majles main aye aor aik shaks ki tarf tajub se kuch deer tak dikhtey rahey. Jab Mulk-ul mout chaley gay to us ne Hazrat Suliman (Alehe Salam) se pocha: “yeh koon shaks tha?” App nay fermaya mulk-ul mout . unsay kaha who meri taraf is tarahn dikhtey they gooya meri roh kabz kernay ka irada rekhtey hain. App nay fermaya” tu kia chahta hai?” unsay kaha muje Hindustan main poncha dijiye. App nay hawa ko hukam dia kay isko utha ker Hindustan main rekh dey. Hawa nay usko Hindustan main pohncha dia. Phir mulk-ul-mout Hazrat Suliman (Alihe Salam) key pas aye. Aap nay pocha : Tum kyun us shaks ko goor se dikhtey they? Kaha mujhe tajub is bat se tha Allah ka hukam meray paas pohncha hai kay uski rooh Hindustan main kabz kero aor yeh apkay pas betha hai.

 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
KABER KI PUKAR


Hazrat Abu Huraira (RasiTala Anhu) fermatey hain kay hum aik martaba Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam kay hamra aik janza kay sath chaley. Kaberistan main pohnch ker Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam aik kaber kay pas tahreef ferma hue aor irshad fermaya kay kaber per koi din aisa nahi guzarta jis main who nihayat fasheeh aor saaf awaz kay sath yeh ailan nahi kerti kay Ay Adam: kay betay tu mujhe bhool giya. Main tanhai ka gher hon, ajnabiyat ka gher hon, main whshat ka gher hon, main keeron ka gher hon, main nihayat tangi ka gher hon, mager is shakas kay liye jis per Allah muje waseeh bana dey. Iskay baad Hazrat Mohammed Salla Hu Alihe Wasalam nay fermaya kay kaber janat kay bagoon main se aik bag hai ya dozah kay gharon main se aik ghara hai.

 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
MALK-UL-MOUT ROZANA HER GHER MAIN CHAKER LAGATAY HAIN

Hazrat Hasan (RasiTala Anhu) fermatey hain kay malkulmout her gher main teen martaba rozana chaker laga ker dikhtey hain kay kis ka rizak pura ho giya, kis ki mudat-e-omer puri ho gayi, jiska rizak pura ho jata hai uski rooh kabz ker letay hain aor jab uskay gher waley uski mout per rotey hain to malkulmout derwazay kay chukhat per kharey ho ker kehtay hain: mera koi gunnah nahi, muje to isis ka hukam dia giya tha. Wallah mainy na to iska rizak khaya na iski umer ghatai, na isli mudat-e-eomer se kuch hisa kum kia. Main tumharey gheron main baar baa rata rahon ga. Yahn tak kay tum main se kisi ko bi baki nahi choron ga.
Hazrat Hassan (RasiTala Anhu) nay fermaya ager maiyat kay gehr waley malkulmout ka khara hona dikh lain aor unka kalam sun lain to apni maiyat se gafil ho jayin aor apnay upper royin.
 

سرفروش

Senior Member
Sep 18, 2009
655
851
93
Karachi
جزاک اللہ خیرا واحسن الجزاء
قرآن نے قیامت کے ہولناک منظر کو رونگٹے کھڑے کردینے والے انداز میں بیان فرمایا ہے
کہ کاش انسان اس سے عبرت حاصل کرے اور آخرت کی فکر پیدا ہو
چند آیات ملاحظہ فرمائیں

اے لوگو اپنے رب سے ڈرو بے شک قیامت کا زلزلہ ایک بڑی چیز ہے (۱) جس دن اسے دیکھو گے ہر دودھ پلانے والی اپنے دودھ پیتے کو بھول جائے گی اور ہر حمل والی اپنا حمل ڈال دے گی اور تجھے لوگ مدہوش نظر آئیں گے اور وہ مدہوش نہ ہوں گے لیکن الله کا عذاب سخت ہوگا (۲)
جب واقع ہونے والی واقع ہو گی (۱) جس کے واقع ہونے میں کچھ بھی جھوٹ نہیں (۲) پست کرنے والی اور بلند کرنے والی (۳) جب کہ زمین بڑے زور سے ہلائی جائے گی (۴) اور پہاڑ ٹکڑے ٹکڑے ہو کر چورا ہو جائیں گے (۵) سو و ہ غبار ہو کر اڑتے پھریں گے (۶) اور (اس وقت) تمہاری تین جماعتیں ہو جائیں گی (۷)
الله کا حکم آ پہنچا
جب آسمان پھٹ جائے (۱) اورجب ستارے جھڑ جائیں (۲) اور جب سمندر ابل پڑیں (۳) اور جب قبریں اکھاڑ دی جائیں (۴) تب ہر شخص جان لے گا کہ کیا آگے بھیجا اور کیا پیچھے چھوڑ آیا (۵)
کھڑکھڑانے والی (۱) وہ کھڑکھڑانے والی کیا ہے (۲) اور آپ کو کیا خبر کہ وہ کھڑکھڑانے والی کیا ہے (۳) جس دن لو گ بکھرے ہوئے پروانوں کی طرح ہوں گے (۴) اور پہاڑ رنگی ہوئی دھنی ہوئی اُون کی طرح ہوں گے (۵) تو جس کے اعمال (نیک) تول میں زیادہ ہوں گے (۶) تو وہ خاطر خواہ عیش میں ہوگا (۷) اور جس کے اعمال (نیک) تول میں کم ہوں گے (۸) تواس کا ٹھکانا ہاویہ ہوگا (۹) اور آپ کو کیا معلوم کہ وہ کیا چیز ہے (۱۰) وہ دہکتی ہوئی آگ ہے (۱۱)
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
AHWALEY KABER
Jab koi naik banda marta hai to farishtay usko kaber main bithatey hain. Who aisi halat main beth ta hai kay na usko koi ghabrahat hoti hai na us per koi ghum musalat hota hai. Phir use awal sawal pocha jata hai tu islam kay barey main kia janta hai? Iskay bad use pocha jata hai kay Muhammad Salla Hu Alehi Wasalam kay barey main tu kia kehta hai?woh kehta hai yeh Muhammad Salla Hu Alehi Wasalam Allah kay paas se hamaray paas wazeh daleelain lay ker aye. Humnay us sab ko sacha mana jo Muhammad Salla Hu Alehi Wasalam lay ker aye they. Iskay bad usko awal dozah ka aik mukam dikhaya jata hai aor kaha jata hai jahan who dikhta hai kay admi aik dosray per totay parey hain phir use kaha jata hai kay us jaga ko dikh Allah nay tujhe is afat se najat ata ferma di. Iskay baad use janat ka aik mukam dikhaya jata hai jahan who nihayat zaib o zeenat dikhta haia ir uskay lutaf kay manazir dikhta hai. Phir use kaha jata hai kay is main yeh jaga tere rehnay ki hai.(kiyamat kay baad to yahn laya jay ga)tu dunya main akhrat ka yaqeen kernay wala tha aor isi per teri mout hui aor isi per kiyamat main to kaber se uthaya jay ga aor jab koi bura admi merta hai to usko kaber main bithaya jata hai who nihayat ghabrahat aor khofzada ho ker beth ta hai aor use bi wohi sawal kiye jatey hain to who jawab deta hai kay muje to kuch khaber nahi. Logon ko mainy jo kehtay suna wohi main keh deta tha. Usko awal janat ka derwaza khol ker wahn ki zaibo zeenat dikhai jati hai phir ise kaha jata hai kay yahn tera asal mukam tha mager tujhe yahn se hata dia gia. Phir usko dozah dikhai jati hai jahan aik dosray per tota para hai aor us se kaha jata hai ab tera thikana yeh hai to dunya main shak main raha, usi per mara usi per kayamat main uthaya jay ga.
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
ADNA DARJAY KA JANATI



Hazrat Mohammed Salla Hu Ale WaAlihe wasalam ney fermaya adna darjey ka janati who shaks ho ga kay iskay liye asai hazar (80,000) hidmat guzar hon gay aor bahater (72) biwian hon gi aor uskay wastey aik khaimah lagaya jay ga jo moti aor zaberjad aor yaqoot ka bana hua ho ga aor is khaimay ka tool o arz yani lambai churai itni ho gi jitni jabiya se lay ker sana tak. Jabia aik shehr hai sham main aor sana yamen main aik mukam hai goya kay adna darjey kay janati ka khaima lambai aor churai main itna ho ga kay jitna yamen aor sham kay dermiyan fasla hai.
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
JANAT WALON SE CHAAR BATAIN

Hazrat Mohammed Salla Hu Ale WaAlihe wasalam ney fermaya jab janat main janati pohnch jayin gay to aik awaz denay wala inko awaz dey ga.

· Aye janat walo tum loog hamisha hamisha tundrust raho gay kabi bemar na ho gay.

· Aor tum zinda raho gay aor tum per kabi mout na aye gi.

· Aor tum loog hamisha jawan raho gay, kisi waqat bhuray na ho gay.

· Tumharey liye faisla hai kay tum hamisha chain aor aram main raho aor kabi takleef aor museebat na dikho.
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Allah apko Jazaye khari de
aur hame marne se pehle apne amal durust karne ki taufeeq de Aameen
 

Huda

ĂĸŠ έ ĶĦυşЊŎŏ
VIP
Jan 30, 2009
7,699
5,724
113
Karachi
TOOQ

Allah Tala fermata hai “ AUR HUMNAY KAFRON KAY LIYE ZANJEERAIN, TOOQ AOR DEHKATI AAG TIYAR KER RAKHI HAI”

Surah Momin main hai” INKO ABHI MALOOM HO JAY GA JAB KAY TOOQ UNKI GARDNOON MAIN HON GAY AOR (IN TOOQON MAIN) ZANJEERAIN (PAROI HUI HON GI AOR IS TARAHN WHO) GHASEETATEY HUE GARAM PANI MAIN LAY JAY JAYIN GAY. PHIR AAG MAIN JHOONK DIYE JAYIN GAY”

Abne Abi Hatam ki aik merfooh hadith main hai kay aik janib se siyah aber uthay ga jisay dozahki dikhain gay, unse pocha jay gat um kia chahtey ho? Who dunya per kiyaas ker kay kahin gay hum yeh chahtey hain kay aber bersay. Chunachay is main se tooq, zanjeerain aor aag kay angarey bersne lagain gay jin kay sholay unhain jalain gay aor tooqon , zanjeeron main izafa ho jay ga.

Jis kholtay pani main dozahki daley jayin gay, iskay mutaliq Hazrat Katada Razi Tala Anhu fermatey they kay gunaahgar kay bal paker ker is pani main gota diya jay ga, to uska tamam ghoosht gal ker gir jay ga aor hadiyon kay dhanchay aor do ankhon kay siwa kuch na bachay ga.
 
Top