Nakaami

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
main nay hur chund ghuam a ishq ku khoona chaha!
ghum a ulfat ku ghuam a duniya main samoona chaha

wohi afsanay mari simat rawaan hain ab tuk
woh shoolay mairay seenay main nihaan hain ab tuk
wohi baysud see khulaash maray seenay main hanooz
wohi baykaar tamaniyaan jawan hain ab tuk
wohi gaisoo mari ratoon pay hain bikharay bikharay
wohi aankhiaan mari janab nigra'an hain ab tuk

kusarat a ghuam be maray ghuam ka madawa na hoi
maray baychain khayaloon ku sakoon mil na saka
dil nay duniya kay hur durad ku apna tu kiya
muzmahil rooh ku aandaz a janoon mil na saka
maray takhiyal ka sheeraza burham hai wohi
maray bhujtay howay ihsas ka aalam hai wohi

wohi bay jaan iraday wohi bayrung sawal
wohi bay rooh kashakush wohi baychain khayal

aah iss kushmakush a subha o masa ka anjaam
main be nakaam mari saiee a amal be nakaam
 
Top