Pashto Nasheed by Junaid Jamshed

  • Work-from-home

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
This is one of my favorite video of Junaid Jamshaid and this poem mostly reminds me of Ramadan because it was continously played in each sahri after Adhan-e-Fajar...



Here I've written its pashto poem with urdu meaning.... and this Poem is by famous Poet of pashto language Rahman Baba

Rasha makawa le cha sara Jafa
leg jwandun de zaya kegi bewafa

AA JAO KISI K SAATH BHEE JAFA MAT KARO…
THORI SI ZINDAGI HAI IS KO ZAYA MAT KARO BEWAFA…


pe donia ki suk ne de pate shewae...
wara tlune de ka nan de ka nen de ka saba...

DONIA MEI KOI BHI BAKI NAHIN RAHA
SABHE KO JANA HAIN AJ HO YA KAL


ka dedan de decha khwakh we werta gura
che fana she ba ba kala she paida...

JIS KA DEEDAR KERNA CHAHTE HO, US KA DEEDAR KER LO…
JAB EIK BAAR FANA HO GAYE TO PHIR KESE PAIDA HOGAY…


Da khazan paran’ chay bailay shee la shaakha…
Pa hikmat ba yah paiwand na kay moukama…

KHAZAN (autmn) K PATTAY JAB EIK BAAR SHAKH SE ALAG HO JAEIN…
PHIR ALLAH K HUKUM K SIWA KOI USSAY JOR NAHI SAKTA…


Hokhyaar megana hokhyaar dede donia
bewakuff de wakufdaar de de donia

HOSHYAAR MAT SAMJHO ES DONIA K HOSHYAAR LOGU KO
BEWAKUFF HAIN WAKUFDAAR ES DONIA KI


rukhnaye pa hagha zrona da harama
che pe kegi gerd o ghubaar de de donia

UN DILON PER NOOR HARAM HAI…
JIN DILON PER DUNIYA KA GARD-O-GHUBAR LAGTA HAI…


her bemaar lara daro pe jahan shta de
daroo ne lare beemaar de de donia

HER BEMAAR KA ILAJ HAIN ES DONIA MEI
GER ILAJ NAHIN TU DONIA K BEEMAAR KA


a sok chay srow lambo k da oor swazee…
Hasay swazee talabgar da day duniya…

JESAY KOI AAG K SURKH SHOLOON MAIN JALTA HAI…
ISI TERAH JALTA HAI IS DUNIYA KA TALABGAR…


Hamesha ba yeh yo pand da gham pa sar wee…
Chay pa sar yeh wee dastar da day duniya…

US K SAR PER HAMESHA GHAM KA BOJH HOGA…
K JIS K SAR PAY DUNIYA KI PAGRI HO…


Ka tamam jehan pakhpala kheta oo khuri…
Yaad ba na shee pa darood o ba dua…

IS JEHAN MAIN JO SIRF APNI FIKR KERTA HAI…
WOH KABHI KISI KI DUA KA HISSA NAHI HOTA…


Ka yo wa dana da ooghi pa laas warkaray…
Hum dagha ba day tokha shee da auqba…

AGAR TU KISI BHOOKAY KO EIK LUQMA DE DAY…
TO YEH TERI AKHIRAT KI NIJAT BAN JAE GA…

Ka yo saaz k oobow taghee la warkaray…
Da dozakh oo sta tarmanz wa shee darya…


AGAR TU PIYASAY KO EIK GHOONT PANI PILA DE…
TO YEH TERAY AUR DOZAKH K DARMIYAN DARYA BAN JAYE GA…

Ka yo zal sar da khuday pa loree teet karay…
Pa qayamat ba sar bulund shee da her cha…


AGAR TU NAY EIK BAAR ALLAH K HUZOOR AAJZI SE SAR JHUKA DIYA…
TO QAYAMAT K DIN TU SERBILAND HOGA HER KESSI SE…


Khudaya aman werkaray sa hasay jwandun…
Chay ta bad dua ye la bal la bal la ta…


AH ALLAH MUJHE AESI ZINDAGI SE PANNAH DE DAY…
K JIS MAIN MAIN KISI KA BURA CHAHOON AUR KOI MERA BURA CHAHAY…


Zehr kha di ka pa sulah pa salah wee…
La shakaray pa fitno oo pa ghogha…


PYAR AUR AMAN K SAATH ZEHR BHEE KOI DE TO ACHA HAI…
FITNAY AUR BAD-AMNI KI SHAKAR KISI KAAM KI NAHI…


Chay nazar da cha pa deen o pa eeman wee…
Khwak na kawee intezar da day duniya…


AUR JIS KA NAZAR DEEN AUR EEMAN PER HO…
WHO KABHI BHEE DUNIYA KA TALABGAR NAHI HOTA…


Za REHMAN da aagha ilm a pannah gwarum…
Chay la deen na la mazhab a wee sewah…


MAIN "REHMAN" US ILM SE PANNAH MANGTA HUN…
JO DEEN AUR MAZHAB K SIWA HO…





or simpy download its MP3 version
 

Attachments

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
beautiful work, n yep i also used to listen all the naats n nasheed by junaid jhamshed speacialy in ramadan, n ap ne jo lyrics di hai, with tranlation its awsome, cuz i just use to recite this nasheed but was doubt that may b i would say some thing wrong by mistake :)

inshallah will try to recite in my voice n soon share with u guys :)
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

St0rm

Hot Shot
Jan 28, 2009
23,678
5,392
1,313
very nice shairing sabah... :)

ye translation apne khud kee hai.... ?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)
jazakallah khair sabah
bohot hi umdah sharing hai apki

hamne suna to nahi kyun k pashto hame nahi aati lekin apne jo tarjuma kiya hai usme ye wazhe tambi hai har duniya parast k liye jo duniya k piche bhagta hai na usko duniya me kamiyabi aur nahi usko akhirat me kamiyabi hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
very nice sabah...pashto to mujhe nahi aati per urdu translation bohat umda laga mujhe...thx for sharing dear... :)
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
beautiful work, n yep i also used to listen all the naats n nasheed by junaid jhamshed speacialy in ramadan, n ap ne jo lyrics di hai, with tranlation its awsome, cuz i just use to recite this nasheed but was doubt that may b i would say some thing wrong by mistake :)

inshallah will try to recite in my voice n soon share with u guys :)
ahan great
gud luck....
it ll be glad hearing from u...:)
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
very nice shairing sabah... :)

ye translation apne khud kee hai.... ?
Hmmm shoro k sub lines tu khud he ki but es poem ka jub google mei search ker rahe the then saath mei urdu translation bhi the but it was little bit diffrent buss kuch pashto words ka jho urdu mei nahin athe waha se liye baki ka translation khud he likhe hain....
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
subhan Allah :)
jazakallah khair sabah
bohot hi umdah sharing hai apki

hamne suna to nahi kyun k pashto hame nahi aati lekin apne jo tarjuma kiya hai usme ye wazhe tambi hai har duniya parast k liye jo duniya k piche bhagta hai na usko duniya me kamiyabi aur nahi usko akhirat me kamiyabi hai

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
Ameen
pashto mei yeh read ker k and sunne mei buhut acha lagta hain kio k poetry k hessab se sub lines set hue but ofcourse ager eske terjuma bhi kessi ko samjhaye then eska matlab ache se bayan hota hain....
 
Top