Poetry by topic (Khushboo )

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Assalam O Alaikum Frnds....:)

Aaj main aapke liye ek aur dilchusp shayri game le ke hazir huwi hoon...


Ye game hai Poetry By Topics ... {(laire)}

Is game me aapko her week ek topic diya jayga....aur us topic pe aapko koi sher ya poetry yaha post karni hogi...ek member ek hi poetry ya sher yaha post ker sakta hai....{(order)}

ek week bad RR posted poetries me se ek select karengi aur use best poetry announce karengi... v{()|aw

us poetry ke post kerne wale member ko RR ki taraf se ye khoobsoorat Trophy as award di jayegi...{(goodluck)}



Umeed karti hoon ke ye game aaplogo ko pasand aayega aur aap sab is game me participate kiya karenge....:)

her monday ko main ek topic diya karoongi aur friday tak members yaha posting karenge aur final result sunday ko RR announce karengi...:)

Is week ka topic hai...

:)... KHUSHBOO ...:)

as a example main ek sher post ker rahi hoon... :)


KHUSHBOO ki tarah aaya woh tez hawaon me
manga tha jise humne din raat duwaon me

umeed hai frnds ke aap sab ko samajh aa gaya hoga ke is game me kya karna hai...:)
so let's start...



Sare members monday - friday tak yaha sharing kar sakte hain & sunday ko result announce ker diya jayega

Note - Agar koi member yaha poetry image post karna chahta hai to use image me apna user name & tafreehmela ka naam mention karna hoga warna image accept nahi ki jaygi...{(order)}


 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
Aks-e khushboo hon bikharne se na roke koi,
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samete koi.

Kaanp uthti hon main ye soch k tanhaayi main,
Mere chehre pe tera naam na parh le koi.

Jis tarah khuwaab mere ho gaye reza reza,
Us tarah se na kabhi toot k bikhre koi.!

Main to us din se hiraasaa’n hon k jab hukum mile,
Khushk phoolon ko kitaabon main na rakhe koi.


Ab to is raah se wo shakhs guzarta bhi nahin,
Ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi?

Koi aahat, koi aawaz, koi chaap nahin,
Dil ki galiyaan barree sunsaan hain, aaye koi..



goth_girl_red_rose-313x421.jpg

 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
wow nice topic amreen ye lijiye khushboo par ek choti si koshish

Khushboo ki Tarah Aaya wo tez Hawaaon mein
Manga tha jise hum ne Din Raat Duaaon mein

Tum Chat pe nahi aaye Main Ghar se nahi Nikla
Ye Chaand bahut bhatka hai Saawan ki Ghataon mein

Is shehar mein ek Larki Bilkul hai Ghazal Jaisi
Bijli si Ghataaon mein Khushboo si Hawaaon mein

Mausam ka Ishara hai Khush Rehne do Bachhon ko
Maasoom Mohabbat hai Phoolon ki Khataon mein

Hum Chaand Sitaro ki Raahon ke Musaafir hain
Har Raat Chamakte hain Tareek Khilaaon mein
 

Just_Like_Roze

hmmmm ...
Super Star
Aug 25, 2011
7,884
5,089
1,313

KHUSHBOO
tez ho jaata hai khushboo ka safar shaam ke baad
phuul shahro.n mei.n bhi khilte hai.n magar shaam ke baad

usse daryaaft na karna kabhi din ke haalaat
sub'ha ka bhuula jo lauT aaya ho ghar shaam ke baad

din tere hijra mei.n kaT jaata hai jaise-taise
mujhse rahtii hai khafaa merii nazar shaam ke baad

qad se baDh jaaye jo saaya to buraa lagtaa hai
apanaa suuraj woh uThaa leta hai har shaam ke baad

tum na kar paaoge andaaza tabaahii ka merii
tumne dekha hii nahii.n koyii kha.NDar shaam ke baad

mere baare mei.n koyii kuCh bhi kahe sab manzuur
mujhko rahtii hii nahii.n apnii khabar shaam ke baad

ye hii milne ka samay bhi hai biChaDne ka bhi
mujhko lagtaa hai bahut apne se Dar shaam ke baad

tiiragii ho to vujuud uskaa chamakta hai bahut
DhuuND to lunga use 'JRL' magar shaam ke baad

 
  • Like
Reactions: Amreen

(åйĵΰ)

Newbie
Aug 10, 2011
88
62
0
piYa GheR
MEra Kuch saman TuMHarY paas Para hai

Aik Dafa Yaad Hai Woh Tum Ko
Bin Bati jub Cycle Ka “Challan” Howa Tha
hHm Nay Kaisay Bhookay Piyasay
Baicharon Jaisi “Acting” Ke The
“Hawaldaar” Nay Oltay “Athni”Day Ker…
Bhaaij Dia Tha…..!
Aik “Chawani” Meri The………

“Woh Bhijwa Doo………….!”

“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”

Sawan K Kuch Bheegay Bheegay Din Rakhay Hain
Or Mere Aik Khat Main Lipti Raat Pari Hai

”Woh Raat Bhjhwa Doo………..!”

“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”

Pat-Jhurr Main Kuch Patoon k
Girnay Ke Aahat…….
Kaanoon Main Aik Baar Pahen k Lot Aai The.
Pat-jhurr Ke Woh Shaakh Abhi Kaanp Rahy Hai
“Woh Shaakh Gira Doo …………!”

“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”



Aik Akali “Chahthri” Main Jab
Aadhay Aadhay Bheeg Rahay Thay
Aadhay Sokhay Aadhay Geelay….
Sokha To Main Lay Aai The
Geela Mun Shayad Bister k Pass Para Ho…!!!
“Woh Bhijwa Do…………..!”

“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”


116 Chaand Ke Raatain
Aik Tumharay Kaandhay ka Til
Geeli Mehndi ke Khushboo
Jhoot Moot k Shikway Kuch
Jhoot Moot K Waday Bhe
Yaad Kara Doon…?
“Sab Bhijwa Doo………………!”

“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”



1 Ijezat Day Doo Bus
Jab Is Ko Dafnaoon Gay
Main Bhe Wahain Soo Jaoon Ge...!!!



“Mera Kuch Samaan
Tumharay Pass Para Hai
Who Lota Doo….”
 
  • Like
Reactions: Amreen and Aara'af

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Khushbu hai wo to chhoo ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajood ke andar utar na jaaye

khud phool ne bhi honth kiye apne neem-vaa
chori tamaam rang ki titli ke sar na jaaye

iss khauf se wo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladki kahee’n dukh se mar na jaaye

palko’n ko uss ki apne dupatte se ponch doon
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye

main kiske haath bheju’n usse aaj ki dua
qaasid hawa sitaara koi uss ke ghar na jaaye.

Poet: Parveen Shakir
 

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Aks-e khushboo hon bikharne se na roke koi,
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samete koi.

Kaanp uthti hon main ye soch k tanhaayi main,
Mere chehre pe tera naam na parh le koi.

Jis tarah khuwaab mere ho gaye reza reza,
Us tarah se na kabhi toot k bikhre koi.!

Main to us din se hiraasaa’n hon k jab hukum mile,
Khushk phoolon ko kitaabon main na rakhe koi.


Ab to is raah se wo shakhs guzarta bhi nahin,
Ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi?

Koi aahat, koi aawaz, koi chaap nahin,
Dil ki galiyaan barree sunsaan hain, aaye koi..





Bhout Khoob Very nice
 

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Khushboo ki tarah dil ma basa kar use dekho

logon ki nigaahon se chupa kar use' dekho

Kehte hain ke yaad us ki wabaal_e_dil_o_jaan hai

Aisa hi agar hai to bhula kar use dekho
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Gureez Karti Hawa Ki Lehron Pe Haath Rakhna

Main Khushboun Main Tumhe Milonga

Mujhe Gulaabon Ki Pattiyon Main Talaash Karna

Main Oos Qatra Ke Aayenon Main Tumhe Milonga

Agar Sitaaron Main Oos Khushboun Main Na Paao Mujhko

To Apne Qadmon Main Dekh Lena

Main Gard Hoti Musafaton Main Tumhe Milonga

Kahin Pe Roshan Chiragh Dekho To Jaan Lena

Ke Har Patange Ke Saath Main Bhi Sulag Chuka Hon

Tum Apne Haaton Se Un Patango Ki Khaak Dariya Main Daal Dena

Main Khaak Ban Ker Samandar Main Safar Karunga

Kisi Na Dekhe Hoye Jazeere Pe Ruk Ke Tumhe Sadain Dunga

Samandaron Ke Safar Pe Niklo

To Us Jazeere Pe Kabhi Utarna!!



 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Gureez Karti Hawa Ki Lehron Pe Haath Rakhna

Main Khushboun Main Tumhe Milonga

Mujhe Gulaabon Ki Pattiyon Main Talaash Karna

Main Oos Qatra Ke Aayenon Main Tumhe Milonga

Agar Sitaaron Main Oos Khushboun Main Na Paao Mujhko

To Apne Qadmon Main Dekh Lena

Main Gard Hoti Musafaton Main Tumhe Milonga

Kahin Pe Roshan Chiragh Dekho To Jaan Lena

Ke Har Patange Ke Saath Main Bhi Sulag Chuka Hon

Tum Apne Haaton Se Un Patango Ki Khaak Dariya Main Daal Dena

Main Khaak Ban Ker Samandar Main Safar Karunga

Kisi Na Dekhe Hoye Jazeere Pe Ruk Ke Tumhe Sadain Dunga

Samandaron Ke Safar Pe Niklo

To Us Jazeere Pe Kabhi Utarna!!



good one amjad islam amjad ki khubsurat ghazal ..
 

Just_Like_Roze

hmmmm ...
Super Star
Aug 25, 2011
7,884
5,089
1,313
Ta’zeer-E-ehtimaam-E-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khadd-O-khaal to socha hai baarhaa
Sehra ki chaaNdni ko badan kaun day gaya

Meri jabeeN ki saari lakeeraiN teri ataa
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya
Teray hunar mai khilwat-E-khushboo sahi magar
KaantoN ko umr bhar ki chubhan kaun day gaya
Jungal say poochti haiN hawaaoN ki barhami
Jugnoo ko tairgi mai kiran kaun day gaya
Kis ne basaaye aaNkh mai ashkoN kay qaaflay
Be-ghar musaafiroN ko watan kaun day gaya
Tujh say to khair pal ki musaafat ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya
ToRa hai kis nay nok-E-sinaaN par sakoot-E-sabr
Lab bastagi ko taab-E-sukhan kaun day gaya
‘Mohsin’ wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh fun kaun day gaya

 
Status
Not open for further replies.
Top