Poetry by topic....

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
Masha Allah bohat tough muqabla ja raha hai...result announce karne me bohat pareshani ka samna karna parega RR ko... :)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Wa'alaikum assalam bada hi umdaah kheil start kiya hai ji
i love poetry games thanks for adding it
aur jab poetry allow likha hai means ghazal peish ho sakti hai to
i will share a ghazal in my next post ok friends{(gimmefive)}


---------- Post added at 11:26 AM ---------- Previous post was at 11:20 AM ----------

Ik kaam karo tum aaj mujhe mohabbat ka pata do
agar yeh ek haqeeqat hai to is haqeeqat ka pata do

yaa mein samajh paun mohabbat ki sachaai ko
tum mujhe kisi aisi anokhi taaqat ka pata do

kya yeh mohabbat hai ke tum mujhe wafa ki saza do
to phir tum mujhe kisi rouz shouq e zalaalat ka pata do

ya yeh hai mohabbat ke mein pal pal tumhe jafaon ka gila dun
agar hai ye mohabbat to tum maqaam e shikayat ka pata do

jo log kar ke mohabbat umr bhar khamosh reh jaate hain tum
un pyar ke maaron ko aaj intehaa e sharaafat ka pata do

murjha gaye jitne bhi the khile phool pyaar mein gar hai koi
salaamat to tum mujhe us phool e salaamat ka pata do

apni majboorian bata kar mehboob ka dil jalaana baar baar
jo ise pyaar kehte hain tum unhein ibtida e nafrat ka pata do

kehte hain log mujhse ishq nahin hai kisi qism ki bhi ibaadat agar
sab se bari ibadat ishq e khuda nahin to isse bari kisi ibadat ka pata do

***Saifali_ChiragH***
boht khoob ..boht aala....
last shair to boht hi umdah hai..{(ok)}
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang
Maine samjha tha ke tu hai toe darakhshaan hai hayyaat
Tera gham hai to Gham-e-dahar ka jhagra kya hai
Teri soorat se hai aalam main baharoon ko sabaat
Teri aankhoon ke siwa dunya main rakha kya hai
Tu jo mil jaye toe taqdeer nigoon ho jaye
Youn na tha maine faqat chaha tha youn ho jaye

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujhe pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Angeenat sadiyon ke tareeq bahimanaa talism
Resham-o-atlas-o-kamKhwaab main bunwaye huwe
Jaa-ba-jaa biktey huwe koochaa-o-bazaar main jism
Khaak main litharey huwe, khoon main nehlaaye huwe
Lot Jati Hai Udhar ko bhi nazar kya Ki Jiye
Ub Bhi Dil Kash Hai Tera Husn Magar Kiya Ki Jiye
Aur Bhi Dukh Hain Zamaney Main Mohabbat Ke Siwa
Rahaten Aur Bhi Hain Vasal Ki Rahat Ke Siwa

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang

Thanks Zee
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ok g main QATEEL uncle ki aik ghazal share kar deti hoon aur to koi mili nhi :s



Yeh Mojza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhey​

Keh Sang Tujh Peh Girey Or Zakham Aye Mujhey


Main Apney Paoon Taley Rondta Hoon Saye Ko

Badan Mera Hi Sahi, Dopehar Na Bhye Mujhey


Main Gher Sey Teri Tamanna Pehn Ker Jab Nikloon

Barhana Sheher Main Koi Nazar Na Aye Mujhey


Wohi To Sab Sey Zyada Hey Nukta Cheen Mera

Jo Muskra Key Hamesha galey Lagaye Mujhey


Who Mera Dost Hey Sarey Jahan Ko Hey Maloom

Dagha Karey Who Kisi Sey To Sharam Aye Mujhey


Who Meherban Hey To Iqrar Kyon Nahi Kerta

Who Badguman Hey To so Baar Azmaye Mujhey


Barangey Aud Miley Gi Usey Meri Khushboo

Who Jab Bhi Chahey Barey Shoq Sey Jalaye Mujhey


Main Apni Zaat Main Neelaam Ho Raha Hoon Qateel

Gham-E-Hayat Sey Keh Do Khareed Lye Mujhey


 
  • Like
Reactions: Amreen

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Bohaat khoob

No doubt, Zabardast intekhaaab


Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang


Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang
Maine samjha tha ke tu hai toe darakhshaan hai hayyaat
Tera gham hai to Gham-e-dahar ka jhagra kya hai
Teri soorat se hai aalam main baharoon ko sabaat
Teri aankhoon ke siwa dunya main rakha kya hai
Tu jo mil jaye toe taqdeer nigoon ho jaye
Youn na tha maine faqat chaha tha youn ho jaye

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujhe pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Angeenat sadiyon ke tareeq bahimanaa talism
Resham-o-atlas-o-kamKhwaab main bunwaye huwe
Jaa-ba-jaa biktey huwe koochaa-o-bazaar main jism
Khaak main litharey huwe, khoon main nehlaaye huwe
Lot Jati Hai Udhar ko bhi nazar kya Ki Jiye
Ub Bhi Dil Kash Hai Tera Husn Magar Kiya Ki Jiye
Aur Bhi Dukh Hain Zamaney Main Mohabbat Ke Siwa
Rahaten Aur Bhi Hain Vasal Ki Rahat Ke Siwa

Mujhse Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Mang

Thanks Zee
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
bohat umdah sharing ki hai hoor tumne bhi...tough pe tough hota ja raha hai game...good going frnds... :)
 
Status
Not open for further replies.
Top