Quotes Of Hazrat Ali(R.A)

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Maut ko hamesha yaad rakho magar maut ki arzu kabhi na karo

HAZRAT ALI(R.A)



Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
HAZRAT ALI(R.A)



Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai
HAZRAT ALI(R.A)


Jiska raabita
khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota

Naakaam wo
hota hai Jiski
umeedein
duniya se
waabasta hon
HAZRAT ALI(R.A)
Woh Shakhs Kis Tarah Takkabur Ker Sakta hai
Jo Matti sy Bana Ho 'Matiit MAin Milny wala ho
Aur
Matti Main Keery Makoron Ki Ghiza Ban'ny Wala ho.

HAZRAT ALI(R.A)





Agar Apas Main Raabta Na Ho To Dost B Dushman ?Ban Jaate Hain
Aur Agar Apas Main Raabta ho To Dushman B Dost Ho sakty hain.
HAZRAT ALI(R.A)



Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"

Ek dooor se..,

or

Doosra gharoor se
HAZRAT ALI(R.A)







Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin...
Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.
HAZRAT ALI(R.A)

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen"
HAZRAT ALI(R.A)

LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.
HAZRAT ALI(R.A)

"Jab main
dastar khuaan par
2 rang k
khane dekhta hoon,
to
Laraz jata hoon!
k
Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay"

HAZRAT ALI(R.A)


 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wowooww...MashAllah....
Nice sharing sissoo..
jazakAllah khair..


''Insan dukh nahi deta,insan se wabasta umeeden dukh deti hai''

HAZRAT ALI(R.A)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Jazakallah
splendid sharing
keep sharin..
 
Top